Page 54 of 65
sunte
Posted: Sat May 27, 2006 1:10 am
by Abdullah Nazir
sunte heiN uski baat ke naaraaZ ho nah jaaye
yuN to khabar hei hmko, Sadaaqat nahiN koii
YuN / koii
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Sat May 27, 2006 2:04 pm
by Leo
koii ay SHAKEEL puchey yh junoun nahi tu kya hy
ke usi ke ho gye hum jo na ho saka hamara
hamaara
Posted: Sun May 28, 2006 12:15 am
by Abdullah Nazir
hamaaraa kyaa thaa ham to lauT jaate raah-e-manzil se
magar yeh fikr thee rastah nah bhoole kaarwaaN apna.
magar / apnaa
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun May 28, 2006 6:33 pm
by zmufti
ham ki maGaluub-e-gumaa.N the pahale
phir vahii.n hai.n ki jahaa.N the pahale
phir
Posted: Mon May 29, 2006 4:16 am
by Abdullah Nazir
phir kisi ne zikr-e-bazm-e-gulAzaaraaN cheRkar
kardiyaa hei dil ko mere mubtalaay-e-dard o gham
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon May 29, 2006 5:29 pm
by zmufti
pa ba zanjeer hui waqt ki raftaar kahaN
jo kabhi kat na sake aisi shab-e-taar kahaN
Posted: Tue May 30, 2006 9:22 am
by hassan_bashir
maiN royaa pardes meiN bhiiga maaN ka pyaar,
dukh ne dukh se baat kii biin ChiThhii biin taar!
dukh / taar
dukh
Posted: Tue May 30, 2006 8:35 pm
by Abdullah Nazir
dukh houN yaa sukh hameN her Haal meiN jeenaa hougaa
Khud-gharaZ loagaoN se ummeed-e-wafaa kaise hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 31, 2006 6:33 am
by zmufti
Khud dil me.n rah ke aa.Nkh se pardaa kare ko_ii
haa.N lutf jab hai paake bhii Dhuu.NDhaa kare ko_ii
Posted: Wed May 31, 2006 6:57 am
by hassan_bashir
ko'ii umeed na thii, phir bhi paas aa hi gayaa
agarche jhooTa tha va'ada magar nibhaa hi gayaa!
agarche
Posted: Thu Jun 01, 2006 12:21 pm
by Abdullah Nazir
agarche mausam-e-gul thaa magar gulistaaN meiN
bahaar nauHa-kunaaN thee khazaaN ke punje meiN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jun 02, 2006 4:27 pm
by zmufti
bahaar aa_ii to jaise ek baar
lauT aaye hai.n phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n
HeiN
Posted: Fri Jun 02, 2006 5:53 pm
by Abdullah Nazir
HeiN aarzo'aoN ke diye raushan dil-e-barbaad meiN
jis din se chaahaa hei tujhe maiN ne mukarrar dekhnaa
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Jun 03, 2006 5:49 pm
by zmufti
jis bazm me.n tuu naaz se guftaar me.n aave
jaa.N kaalabad-e-suurat-e-diivaar me.n aave
jaaN
Posted: Sun Jun 04, 2006 7:04 am
by Abdullah Nazir
JaaN bhi tire liye dil-e-barbaad bhi tiraa
meraa Wujood kuch bhi nahiN hei tire baghair.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.