Page 55 of 65

Posted: Mon Jun 05, 2006 6:37 pm
by zmufti
zabaan-e-gul se chaTTaane.n taraashane vaale
sukuut-e-naqsh me.n aaraa_ish-e-namuu rakh de

sukoot

Posted: Mon Jun 05, 2006 11:44 pm
by Abdullah Nazir



sukoot-e-lab se bhi izhaar-e-Haal-e-dil houtaa

nigaah-e-yaar agar deti aasraa mujhko


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Jun 07, 2006 11:15 am
by Leo
nigaah wo nahiN jo surkh o zard pehchaane

nigaah wo hei jo muHtaaj-e-mehr o maah nahiN

Allamah Iqbal

nigaah / nahin

Posted: Wed Jun 07, 2006 7:49 pm
by zmufti
nigahoN ke andaaz badle gaye haiN
wohi hai magar rasm-e-jalwa numaaii

vohee

Posted: Thu Jun 08, 2006 1:41 am
by Abdullah Nazir



Vohee hei unkaa andaaz-e-taghaaful

Vohee hei meraa iSraar-e-muHabbat


vohee / muHabbat.

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


magar

Posted: Thu Jun 08, 2006 8:52 pm
by Abdullah Nazir



magar tumhaare dil-e-badgumaa ko kyaa kartaa

hazaar mujhko bharousah thaa paas aane kaa


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Jun 10, 2006 1:51 pm
by ummassad
hazar berq ne chal phir ke machaq ki lekin
ada nh aaye tery muskura ke jany ki

"adaa"

Posted: Sun Jun 11, 2006 7:02 am
by Abdullah Nazir



adaay-e-naz se wo chouRkar chale tou gaye

magar sazaa mili mujhko fareb khaane kee.


magar /kee

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Jun 12, 2006 2:37 pm
by zmufti
ki wafa ham se to ghair isko jafa kehte haiN
hoti aayii hai keh achchoN ko bura kehte haiN

"houti"

Posted: Tue Jun 13, 2006 1:47 am
by Abdullah Nazir



houti hei jis ghaRee miri saaqi se guftgoo

aate heiN jaane kis liye paimaane beech meiN.


aate / meiN

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Jun 13, 2006 8:19 am
by hassan_bashir
aate haiN Ghaib se ye mazaamiN khayal mein,
Ghalib sareer-e-khama nava-e-sarosh hai !

Ghalib / hai

ghlalib

Posted: Thu Jun 15, 2006 10:17 am
by Abdullah Nazir



Ghalib aajaati hei gar neend shab-e-furqat meiN

wo samajhte heiN keh hooN unki adaa se waaqif


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Jun 15, 2006 11:06 am
by hassan_bashir
vo mujhase puuChhate haiN eik maqasad merii hastii kaa
bataauuN kyaa ki meraa mudda'a yuuN bhii hai aur yuuN bhii

bataauN / bhii

baataoN

Posted: Thu Jun 15, 2006 5:12 pm
by Abdullah Nazir



baataoN baataoN meiN yeh izhaar-e-shikaayat kiyuN hei

maiN ne kab tum se kahaa thaa keh miri baat suno.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Jun 18, 2006 7:09 am
by zmufti
maiN kaha keh "bazm-e-naaz chaahuye ghair se tahi"
sun ke sitam zareef ne mujh ko uthaa diyya keh youN