Page 56 of 65

"sun"

Posted: Sun Jun 18, 2006 6:21 pm
by Abdullah Nazir



sun ke faryaad miri zuAm-e-wafaa karte hou

kyaa Ajab shoAbada-e-kizb o riyaa karte hou.


kyaa / hou

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Jun 19, 2006 9:06 pm
by ummassad
kyaa laaiq.e.situm bhi nahi ab main doostoo
patuer bhi gher main aaye zamaney guzer gayee

patthur

Posted: Tue Jun 20, 2006 3:20 pm
by Abdullah Nazir



patthar thaa jis kaa dil use ham chaahte rahe

aakhir sazaa mili hameN apne gunaah ki.


patthar / ki

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Jun 21, 2006 7:36 pm
by zmufti
kiije na das me.n baiTh kar aapas kii baat chiit
pahu.Nchegii das hazaar jagaah das kii baat chiit

pauhchegi

Posted: Thu Jun 22, 2006 7:11 pm
by Abdullah Nazir



PauhNchegi jab khabar na dil-e-beqaraar ki

ummeed kyaa hou aamad-e-ghaflat shiAar kii.


ummeed / kii

Shaayer: Abdullah Nazir.

Nazir.


Posted: Sat Jun 24, 2006 8:52 pm
by zmufti
ki mire qatl ke baa'd us ne jafaa se taubah
haaye us zood pashemaaN ka pashemaaN hona

haaye

Posted: Sun Jun 25, 2006 5:28 am
by Abdullah Nazir



haaye kis naaz se moNh mouRke wo jaate heiN

Arz-e-Haal-e-dil-e-betaab kii furSat bhee nah dee.


ArZ / dee

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


jis

Posted: Sun Jun 25, 2006 5:55 am
by Abdullah Nazir



jis dil meiN aarzoo-e-mulaaqaat reh gayi

betaab aaj bhi hei tumhaare firaaq meiN.


betaab / meiN

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Jun 25, 2006 3:15 pm
by zmufti
mai.n ne puuchaa pahalaa patthar mujh par kaun uThaayegaa
aa_ii ik aavaaz ki tuu jis kaa mohasin kahalaayegaa

aayi

Posted: Mon Jun 26, 2006 5:04 am
by Abdullah Nazir



aayi hei taSveer tumhaari khwaab meiN kyaa samjhaane ko

tum hee bataanaa vaSl ki shab, maAloom nahiN deewaane ko.


tum / ko

Shaayer: Abdullah Nazir


Nazir.


Posted: Mon Jun 26, 2006 3:26 pm
by zmufti
hai bas ki har ik unake ishaare me.n nishaa.N aur
karate hai.n muhabbat to guzarataa hai gumaa.N aur

karte

Posted: Tue Jun 27, 2006 2:22 am
by Abdullah Nazir



karte rehte heiN bayaan-e-Haal-e-dil muddat se ham

lekin unko furSat-e-fikr o nazar milti nahiN.


lekin / nahiN

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


karte

Posted: Tue Jun 27, 2006 2:23 am
by Abdullah Nazir



karte rehte heiN bayaan-e-Haal-e-dil muddat se ham

lekin unko furSat-e-fikr o nazar milti nahiN.


lekin / nahiN

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


karte

Posted: Tue Jun 27, 2006 2:24 am
by Abdullah Nazir



karte rehte heiN bayaan-e-Haal-e-dil muddat se ham

lekin unko furSat-e-fikr o nazar milti nahiN.


lekin / nahiN

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Jun 27, 2006 11:33 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
naheeN aata moHabbat meN hameeN daman bacha lena
tumheeN ham jan de deeN ge kisee din aazma lena

na ma'loom