Page 57 of 65
Posted: Tue Jun 27, 2006 4:41 pm
by ummassad
yeh aik purani film ke ganey ka shair hey .film ka naam yaad nahi raha.
shair kuch istrah hey.
nahin aata wafaoon se hamain daamen bachalena
tum hi per jaan dey dain jey kisi din aazmalena.
Posted: Tue Jun 27, 2006 4:41 pm
by ummassad
tum puwcho awr main na batawoun ayse tuu haalat nahin
aik zara sa dil tutaa hey awr tuu koi baat nahin.
Posted: Tue Jun 27, 2006 6:51 pm
by zmufti
nahiN zabt nawa mumkin to ur ja is gulistaaN se
keh is mehfil se khushtar hai kissi sehra ki tanhaaii
tanhaayi
Posted: Fri Jun 30, 2006 9:54 am
by Abdullah Nazir
tanhaayi-e-ghurbat meiN jab yaad tiri aayi
DhoonDaa kiye ham khud ko Hasrat ke bayaabaaN meiN
DhoonDaa / meiN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jun 30, 2006 1:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
"maiN"
maiN woh aawarah-e-SeHera-e-Gham-e-ja´nanaaN hooN
jise juz khar-e-muGhilaan-e-Dagar yad naheeN.
shae'er Muzaffar Ahmad Muzaffar.
Posted: Fri Jun 30, 2006 6:25 pm
by zmufti
jise ishq kaa tiir kaarii lage
use zindagii kyo.n na bhaarii lage
Posted: Fri Jun 30, 2006 10:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
neem kash teer kar geya pewast
dil peh katbah laga geya koee
shae'er Muzaffar
dil
Posted: Sat Jul 01, 2006 6:26 am
by Abdullah Nazir
"dil peh aaye houe ilzaam se pahchaante heiN
loag ab mujhko tire naam se pahchaante heiN."
Shaayer: Qateel Shifaayi
Nazir.
itna
Posted: Sun Jul 02, 2006 4:11 pm
by Abdullah Nazir
itnaa bhee mujhko door samajhnaa nahiN kabhee
DhoonDoge rouz raat mujhe apne khwaab meiN.
Dhoondoge / meiN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jul 02, 2006 7:26 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ham aese sadah dilooN kee neyaaz mandee se
butooN ne kee haiN jahaN meN khudaiyaaN kiya kiya
faiz aHmad faiz
butaoN
Posted: Mon Jul 03, 2006 2:46 am
by Abdullah Nazir
butaoN ne naaz se andaaz se daaman chuRaayaa hei
zameeN per sar jhukaakar ham khudaa ko yaad karte heiN.
zameeN / heiN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jul 03, 2006 9:16 am
by zmufti
zamii.n pe fasl-e-gul aa_ii falak par maahataab aayaa
sabhii aaye magar ko_ii na shaayaan-e-shabaab aayaa
sabhee
Posted: Tue Jul 04, 2006 12:38 am
by Abdullah Nazir
sabhee yeh kehte heiN deewaanagi hei dil denaa
magar fareb-e-muHabbat zaroor khaate heiN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jul 05, 2006 12:47 pm
by hassan_bashir
huii jinase tavaqqo Khastagii kee daad paane kee
vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teGh-e-sitam nikale
vo / nikale
nahiN
Posted: Tue Jul 18, 2006 3:57 pm
by Abdullah Nazir
nahiN hei furSat-e-izhaar-e-Haal-e-dil mujhko
wagarnah jaan bhee qadmaoN meiN DaaldooN tere
wagarnah / tere
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.