Page 58 of 65
maiN
Posted: Wed Jul 19, 2006 9:10 am
by Abdullah Nazir
maiN apni jaan se baRhkar tujhe samjhaa kiyaa lekin
nah kee tuu ne kabhi beemaar-e-furqat kee maseeHaayi.
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Mon Jul 31, 2006 1:09 pm
by hassan_bashir
na gul khile haiN, na unase mile, na mai pii hai,
ajeeb raNg meiN ab ke bahaar guzarii hai!!!!!!!
~ ajeeb / hai ~
Ajeeb
Posted: Tue Aug 01, 2006 4:59 am
by Abdullah Nazir
ajeeb shewa-e-ghamkhwaar hei keh gham de kar
gurez kartaa hei mujh se kisi Adoo kee Tarah.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Aug 05, 2006 10:26 am
by hassan_bashir
gurez kaa naheeN qaayal hayaat se lekin?!
jo suCh kahuN to mujhe maut nagavaar naheeN!!
~ jo / naheeN ~
Posted: Sat Aug 05, 2006 7:04 pm
by zmufti
gaye dino.n kaa suraaG lekar kidhar se aayaa kidhar gayaa vo
ajiib maanuus ajanabii thaa mujhe to hairaan kar gayaa vo
Posted: Sat Aug 05, 2006 9:35 pm
by ummassad
vo gulandaam jinka khaleq sermaiya thaa jeeney ka
vo ben ben ker chirag.e.mahfil.e.jaan yaad aatey hain
wo
Posted: Sun Aug 06, 2006 3:43 am
by Abdullah Nazir
wo unki Zid ke jaayenge nah mere khaana-e-dil se
wo meraa un se kahnaa Theek hei mujh se nah sharmaaou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Aug 06, 2006 6:32 am
by ummassad
wo baat saarey fasaaney main jiska ziker na tha
wo baat unko bahout nagawar guzri hey
wo
Posted: Mon Aug 07, 2006 5:30 am
by Abdullah Nazir
b]
wo apne Ahd-e-muHabbt kaa zikr karte rahe
MaiN chup rahaa keh ah houjaaye meri ruswaayi
wo / ruswaayi
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/b]
Posted: Mon Aug 07, 2006 6:01 am
by zmufti
mai.n ehavaal-e-dil mar gayaa kahate kahate
thake tum na "bas, bas, sunaa!" kahate kahate
Posted: Wed Aug 09, 2006 3:10 pm
by zmufti
chaahiye achchho.n ko jitanaa chaahiye
ye agar chaahe.n to phir kyaa chaahiye
Mirza GHalib
Posted: Wed Aug 09, 2006 3:13 pm
by ummassad
ye kahan ki doosti hey kh bane hain doost nasehe
koi chara saaz hota koi gumgusar hota.
Posted: Wed Aug 09, 2006 7:31 pm
by ummassad
kabhi kabhi vo jo gurbatkadey main aaye hain
mery bahey huvey aansoo jabeen pe laaye hain.
Posted: Thu Aug 10, 2006 2:54 am
by Daanish
haiN ishq ke tamaam yeh nairang_saaziyaaN
matlab hai ek asl meiN naaz-o-niyaaz ka--Rashki Dehalvi
Posted: Sat Aug 12, 2006 2:59 pm
by zmufti
bhiigii hu_ii aa.Nkho.n kaa ye ma.nzar na milegaa
ghar chho.D ke mat jaao kahii.n ghar na milegaa