Page 59 of 65

Posted: Wed Aug 16, 2006 4:07 pm
by Daanish
shayr ke doosre misre'a......

hai kaun aap meiN jo milay tujh se mast-e-naaz
zauq-e-Khabar hi ne tau humeiN beKhabar kiya--Meer

zauq/kiya

Posted: Wed Aug 16, 2006 6:56 pm
by hassan_bashir
kiyaa hai pyaar jise ham ne zindagii kee tarah
voh aashnaa bhii milaa ham se ajnabii kee tarah

~ vo / tarah ~

Posted: Thu Aug 17, 2006 4:26 am
by Daanish
woh tau kal dair talak dekhta iidhar ko raha
hum se hi Haale-e-tabaah apna dikhaaya na gaya--Meer



'hum/gaya'

Posted: Thu Aug 17, 2006 3:41 pm
by hassan_bashir
ham ko ma'aluum hai jannat kee haqeeqat lekin
dil ke khush rakhne ko "Ghalib" yeh khayaal aChha hai

~ dil / hai ~

Posted: Thu Aug 17, 2006 8:38 pm
by ummassad
dil tujhey dey bhi gaiye apna sila ley bhi gaiye
aakey bythey bhi nh they awr nikaley bhi gaiye

aake

Posted: Fri Aug 18, 2006 12:31 pm
by Abdullah Nazir



aakeh meHfil meiN kahaa mujh se keh khaamoush rahooN

dil kee baataoN ko rakhuN raaz meiN aur kuch nah kahooN


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


haaye

Posted: Wed Aug 23, 2006 4:11 am
by Abdullah Nazir



haaye kis moNh se kahooN Haal-e-dil-e-khanah-kharaab

her Taraf ghour andheraa hei tiri furqat meiN.


her / meiN

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Aug 23, 2006 4:23 am
by ummassad
her gaam pe thukraakey gira jata houn.
manind.e.naqshey kuf.e. pa bun key mitajata houn.
tu bhi tu sambhal aey mery deney waaley.
main baar.e. ammanat se dabba jaata houn.

Posted: Wed Aug 23, 2006 6:15 am
by zmufti
maiN thak gaya thaa buhat pe ba pe uranoN se
jabhi to daam bhee is baar aashiana laga

jabhee

Posted: Wed Aug 23, 2006 5:00 pm
by Abdullah Nazir



jabhee tou maiN ne yeh samjhaa keh din nikal aayaa

nazar jo aayi rukh-e-yaar kee saHar mujhko.


nazar / mujhko

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Aug 24, 2006 3:14 am
by Daanish
nazar maiN hai hamaari jaada-e-raah-e-fanaa Ghalib
ke yeh shiiraazah hai, a'alam ke ajzaa-e-pareshaaN ka

Posted: Thu Aug 24, 2006 4:25 pm
by PK Swami
kaam rukne kaa naheeN ai dil.e naadaaN koi
khud.ba.khud ho jayegaa ghaib se samaaN koi


PK Swami

Posted: Fri Aug 25, 2006 2:56 am
by ummassad
koi mery dil se pouchey tery teer.e.neemkush ko
yeh khalish kaahan se hoti jo jiger ky paar hota.

"yeh"

Posted: Fri Aug 25, 2006 3:55 am
by Abdullah Nazir



yeh aarzoo thee tiri anjuman meiN rehne tak

judaa nah hounge kabhi rooH tan meiN rahne tak.

judaa / rahne tak

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


tumhaara

Posted: Fri Aug 25, 2006 5:02 am
by Abdullah Nazir



tumhaaraa kuch nah bigRegaa mujhe barbaad karne se

magar maiN bhool paaoongaa nah yeh ranj o miHan dil ke.


magar / dilke

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.