Page 60 of 65

Posted: Fri Aug 25, 2006 5:56 am
by Daanish
dil ke Khoon hone se ai jaan! na itna ghhabra
ek din tuu bhi Gham-e-yaar ki mehmaani hai--Aatish

ek/hai

Posted: Fri Aug 25, 2006 8:14 am
by zmufti
hai aik teer jismeN donoN chide pare haiN
vo din gaye keh apna dil se jigar juda thaa

Posted: Fri Aug 25, 2006 11:55 am
by hassan_bashir
voh aur hoN ge tujh se milii jin ko zindagi
ham par to jab bhii aaNkh paRi aur mar gaye

~ ham / gaye ~

Posted: Fri Aug 25, 2006 12:17 pm
by Daanish
hum kahaN qismat aazmaane jaayeN
tuu hi jab Khanjar_aazmaa na hua--Ghalib

tuu/hua

Posted: Fri Aug 25, 2006 12:28 pm
by Mayank
juda

KahuuN Kaise kee tuu sar-e-raah mujh se judaa thaa
jigar e laKht laKht meiN naam tera khudaa thaa..


- Manish Bansal 'Mayank'

Posted: Fri Aug 25, 2006 12:32 pm
by hassan_bashir
tuu kahiiN bhii rahe sar par tire ilzaam to hai
tire haathoN kii lakeeroN meiN mira naam to hai

~ tire / hai ~

Posted: Fri Aug 25, 2006 1:57 pm
by Mayank
tere

lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher Gazal kaa lagataa hai
sharm se cheharaa laal gulaabii phuul kamal kaa lagataa hai. Anonymous


[chehreaa]

Posted: Sat Aug 26, 2006 1:19 am
by ummassad
hai buskey her aak unkey isherey main nasha aor
kertey hain mahobt tu guzerta hey guman aor.

Posted: Sat Aug 26, 2006 6:31 pm
by PK Swami
Aur to sab naama.e aamaal se jaane gaye
Dil ke daaghoN se tere ushaaq pehchaane gaye !


PK Swami

Posted: Sun Aug 27, 2006 2:48 am
by Daanish
dil se abas hai, gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak meiN ushaaq ki Ghubaar nahiN hai--Ghalib

'Khaak'/'hai'

Posted: Sun Aug 27, 2006 1:37 pm
by hassan_bashir
aur kyaa ahd-e-vafaa hote haiN
log milate haiN judaa hote haiN

~ log / haiN ~

Posted: Sun Aug 27, 2006 5:09 pm
by ummassad
hain aour bhi duniya main sukunwar bahout acchey
kahtey hain kh galib ka hey andaz.e.bayan aour.

Posted: Mon Aug 28, 2006 7:14 pm
by zmufti
kahate hai.n mujhase ishq kaa afasaanaa chaahiye
rusavaaii ho gaii tumhe.n sharmaanaa chaahiye

Posted: Wed Sep 13, 2006 3:07 am
by Daanish
chaliye is silisilay ko aage baRhaate haiN. 'zillat' se koi shayr zehn meiN nahiN hai...'se' se mumkin nahiN! so 'fasaane' se aage baRhte haiN:

'fasaana-e-shab-e-Gham unko ik kahaani thhi
kuchh ai'tebaar kiya, kuchh na ai'tebaar kiya'
--DaaGh

kuchh/kiya

Posted: Wed Sep 13, 2006 3:52 am
by ummassad
kuchh baat hey ki hesti mittey nahin hamari
sadiyoun raha hey dushmen dour.e.zaman hamara

sadyoun ;hamara