Page 7 of 17

sabaq_aamouz`

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:39 pm
by Abdullah Nazir



"Jaleel aasaaN nahiN aabaad karnaa ghar muHabbat kaa

yeh unkaa kaam hei jou zindagi barbaad karte heiN."-


Shaayer: Jaleel Yaar-Jung (:jaleel: maanikpoori)


Nazir.


Posted: Mon Mar 06, 2006 6:44 am
by ummassad
zafar aadmi usko na janie ga ho vo kysa hi sahib.e.fahim o zaka
jise ayesh main yad.e khuda na rare .jise tyesh main khouf e khuda na raha

sabaqaamouz

Posted: Tue Mar 07, 2006 2:16 am
by Abdullah Nazir
[size-18]


"khaak ko masnad-e-kimkhawaab samajhte heiN faqeer

aur wo jaante heiN masnad-e-kimkhwaab ko khaak."


Shaayer: Bahadur Shaah Zafar


Nazir,

[/size]

Posted: Wed Mar 08, 2006 2:51 am
by Daanish
dahar meiN naqsh-e-wafa, vajh-e-tasalli na hua
hai yeh woh lafz, ke sharminda-e-ma'ani na hua--Ghalib

Sabaq-aamouz

Posted: Fri Mar 10, 2006 3:35 am
by Abdullah Nazir



"kam-zarf agar daulat o zar paataa hei
maanind-e-Hubaab ubhar ke itraataa hei
karte heiN zaraa si baat peh fakhr-e-khasees
tinka thouRi hawaa se uRjaataa hei."


Shaayer: Amjad Hyderabadi.


Nazir.


pasandeedah

Posted: Fri Mar 10, 2006 4:00 am
by Abdullah Nazir



"Abac naalaaN hei is gulshan meiN tuu ai bulbul-e-naadaaN

nahiN yeh rasm yaaN koii kisi ki daad ko pahunche."


Shaayer: Sauda


Nazir.


sabaq-aamouz

Posted: Wed Mar 15, 2006 12:52 pm
by Abdullah Nazir



"chaahtaa hei jab musabbib aap houtaa hei sabab

dakhl is Aalam meiN kyaa hei Aalam-e-asbaab ko".


Shaayer: Meer Taqi Meer


Nazir.


sabaq-aamouz

Posted: Sun Mar 19, 2006 5:05 am
by Abdullah Nazir



"myaa HauSlah afzaa hei Toofaan-e-Hayaat

baRhtaa hei koii, jhijak rahaa hei koii."


Shaayer: Faani Badauni.


Nazir.


Posted: Sat Mar 25, 2006 5:31 pm
by ummassad
bher.e.hasti main houn misaal.e.hubaab
mit hi jata hohn jb ubherta houn

sabaq-aamouz

Posted: Mon Mar 27, 2006 1:24 am
by Abdullah Nazir



"Huzoor dehr meiN aasoodagai nahiN milti
talaash jiski hei wo zindagi nahiN milti
magar maiN nazr ko wo aabgeenah laayaa hooN
jo cheez is meiN hei jannat meiN bhi nahiN milti
jhalakti hei tiri ummat ki aabroo is meiN
Taraabulas ke shaheedaoN kaa hei lahoo is meiN."


Shaayer: Allahamah Iqbal


Nazir.


Posted: Thu Mar 30, 2006 6:25 pm
by ummassad
sacchaye ke rasty main nahin saayebaan koi
chalna hey tuu phir chavoun ki kwahish main na rahna

sabaq-aamouz

Posted: Fri Mar 31, 2006 2:41 am
by Abdullah Nazir



"nizaam-e-beHr meiN khoukar sanbhal jaa
taRap jaa pech kha khaakar badal jaa
nahiN saaHil tiri qismat meiN ai mauj
ubhar kar jis Taraf chaahe nikal jaa".


Shaayer: Allamah Iqbal


Nazir.


pasandeedah

Posted: Tue Apr 11, 2006 3:39 pm
by Abdullah Nazir



"binaaye kaAbah paRti hei jahaaN ham khisht-e-khum rakhdeN

jahaaN saagar paTak deN chashma-e-zam zam ubaltaa hei."



Nazir.


pasandeedah

Posted: Tue Apr 11, 2006 3:39 pm
by Abdullah Nazir



"binaaye kaAbah paRti hei jahaaN ham khisht-e-khum rakhdeN

jahaaN saagar paTak deN chashma-e-zam zam ubaltaa hei."



Nazir.


Posted: Sun Apr 16, 2006 11:24 am
by Daanish
sabz hi hoti nahiN yeh sar zameeN
tukhm-e-khwaahish, dil meiN tu bota hai kyaa?--Meer