Page 7 of 8

Posted: Thu Jun 16, 2005 5:38 pm
by najma
jin se zinda ho yaqeen-o-aagahii ki aabruu
ishq ki raahoN meiN kuch ese gumaaN karte chalo
saghar

"ishq"

Posted: Fri Jun 17, 2005 7:46 am
by Abdullah Nazir



waadiy-e-ishq hei purkhaar sanbhal kar chaliye

Husn ke roop meiN aazaar-e-jahaaN miltaa hei.



Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 7:59 am
by najma
tamaam umr maiN khana-kharab-e-ishq rahooN
yehi hay aap ki marzii, to koee baat naheeN
ishtiaq kamil

Posted: Fri Jun 17, 2005 12:07 pm
by najma
jin se zindah ho yaqeen-o-aagahii ki aabroo
ishq ki raahoN meiN kuch esay gumaaN karte chalo
saGhar

ASAK

Posted: Sun Dec 18, 2005 5:48 pm
by ummassad
YEH ISHQ NAHIN AASAN BUS ITNA SAMAJH LIJIYE

AK AAG KA DARYA HAI AOR DOOB KE JANA HAI

ishq

Posted: Sat Apr 15, 2006 2:56 am
by Abdullah Nazir



ishq meiN furSat kahaaN, kaar-e-khiradmandi bhi ho

dasht meiN hooN aek aawaarah bagoule ki TaraH.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Apr 20, 2006 6:43 pm
by zmufti
ishq pesha na rahe daad ke haqdaar yahaN
pesh aate haiN raoonat se jafakaar yahaN

ishq

Posted: Tue May 09, 2006 1:01 pm
by Abdullah Nazir



garmiy-e-ishq se khoon-e-dil-betaab jalaa

jisko dil maiN ne diyaa thaa vohi qaatil niklaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Aug 06, 2006 6:53 am
by ummassad
ishq wadi.e.hijran main hua mahwe kiraam
kharzaroun main koi aabla pa ho jaise

ishq

Posted: Tue Aug 08, 2006 4:58 am
by Abdullah Nazir



ishq meiN daulat-e-dil waardee us per maiN ne

zindagi hijr meiN kaTti hei baRee usrat meiN[/u

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Aug 09, 2006 1:51 pm
by Daanish
ai ishq ab ke woh tiri taaseer kya hu'i
shor-e-junooN kidhar gaya, zanjeer kya hu'i?
--Ghulam Samdani Mus'Hafi

Posted: Sat Aug 12, 2006 4:17 pm
by Daanish
faash mii goyam-o-az gufta-e-Khud dilshaadam
bandah-e-ishqam az har do jahaan aazaadam
-Haafiz Shiraazi

Posted: Tue Aug 22, 2006 5:09 am
by Daanish
'ishq'


'Sauda' qimaar-e-ishq meiN shireeN se kohkan
baazi agarche paa na saka sar tau kho sakaa

Posted: Thu Aug 24, 2006 5:27 pm
by PK Swami
tum isii ko vazah.e tarab kaho,ham isii ko baaies.e gham kaheN
vahee ek fasaana.e ishq hai, kabhee tum kaho kabhee ham kaheN !


Qamar Muradabadee


PK Swami

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Sun Jan 31, 2010 2:37 pm
by manzar alam
asar-e-ishq hai peeri meN bhi itna baaqi
dekh leti hai HaseenoN ki Taraf door se aaNkh