Page 7 of 44
pasandeedah
Posted: Sat Aug 06, 2005 3:17 am
by Abdullah Nazir
"baat karte meiN raqeebaoN se abhi TooT gayaa
dil bhii shayad usi bad-Ahd kaa paimaaN hougaa".
Nazir.
Posted: Sun Aug 07, 2005 3:10 am
by shahnaz zafar
kehkashan chand na khushboo na kanwan kehtey hain
zindagi ham tujeh Ghalib kii ghazal kehtey hain
pasandeedah
Posted: Sun Aug 07, 2005 3:42 am
by Abdullah Nazir
"naazuki us ke lab kii kyaa kehiye
pankhaRi ik gulaab kii sii hei"
Meer Taqi Meer
Nazir.
pasandeedah
Posted: Sun Aug 07, 2005 6:02 am
by Abdullah Nazir
"taare aankheN jhabak rahe thay
thaa baam per kaun jalvahgar raat."
Mumin.
Nazir.
p
Posted: Mon Aug 15, 2005 3:31 am
by Abdullah Nazir
khizaaN kaa daur hou yaa fasl-e-gul hou kuch bhii hou
chaman meiN dast-e-sitamgar se kyaa umeed-e-karam.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Aug 17, 2005 5:51 am
by Abdullah Nazir
"Pattah pattah booTaa booTaa Haal hamaara jaane hei
jaane nah jaane gul hii nah jaane baagh tou saara jaane hei".
Meer taqi Meer.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Aug 17, 2005 1:25 pm
by Abdullah Nazir
"pilaa her aek ko har aek per navaazish kar
magar yeh sharT hei pahle mujhe pilaa ke pilaa".
Nazir.
pasandeedah
Posted: Thu Aug 18, 2005 9:14 am
by Abdullah Nazir
"gale se lagte hii jitne gile thay bhool gaye
wagarnah yaad theeN ham ko shikaayateN kyaa kyaa"
Nazir.
pasandeedah
Posted: Fri Aug 26, 2005 11:07 pm
by Abdullah Nazir
raat kii tareeki meiN qamar too chaandni lekar
chupke se aajaa ghar meiN darwaazah khulaa hei.
Nazir.
Posted: Sun Aug 28, 2005 4:13 am
by Abdullah Nazir
"bhalaa kyaa iAtibaar ai Mumin aisi paarsaayi kaa
keh bekhud hougaye tum dekhkar tasveer sheeshe ki".
Nazir.
Aatish kaa sheAr
Posted: Fri Sep 02, 2005 3:59 am
by Abdullah Nazir
"baad ke jhounke ke lagne se heiN maile houte
naazukii khatm hei un phool se rukhsaaraoN per"
:aatish:
Nazir.
[/b][/size][/color]
Posted: Thu Sep 15, 2005 7:57 am
by hassan_bashir
koee wada nahiN kiya lekin kyuN tera intezaar rehtaa hai
be wajah jab qaraar mil jaaye dil baRa be qaraar rehata hai
Posted: Mon Nov 28, 2005 2:13 am
by Hashmat Usmani
raHam, ai Gham-e-jaanaaN! baat aa gaii yaaN tak
dasht-e-gardish-e-dauraaN aur mere garebaaN tak
Shamiim Jaipurii
Posted: Wed Nov 30, 2005 4:10 am
by rahmed25682
SAABIT KARAY GA KIA KOI HUM PE JAFA KA JURM
IK ROZ DHUL HE JAYE GA ILZAAM HE TO HAY
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
ASAK
Posted: Mon Dec 12, 2005 3:28 pm
by ummassad
HER GAM PE THUKRA KE GIRA JATA HOUN
MANIND .E.NAQASE KAFE PA BANKE MITA JATA HOUN
TU BHI TU SAMBHAL AE MARE DENE WALE
MAIN BAR.E. AMANAT SE DABA JATA HOUN