Page 7 of 29

???

Posted: Mon Dec 19, 2005 12:39 pm
by Abdullah Nazir



dil meiN ik aag lagaane ki zaroorat kyaa thi

mujhko deewaanah banaane ki zaroorat kyaa thi


???


Nazir,


???

Posted: Sat Dec 24, 2005 3:55 am
by Abdullah Nazir



nah jaane kiyuN tire waAde pah iAtibaari kiyaa

maiN raat bhar tire aane kaa intizaar kiyaa.



Nazir.


Posted: Sat Dec 24, 2005 6:34 pm
by RAUSHNEE
ye kis muQaam par hayaat mujh ko leke aa gaii
na bas Khushii pe hai jahaaN na Gham pe iKhtiyaar hai

Posted: Tue Dec 27, 2005 6:18 pm
by ummassad
na puch mujh se ki umar-e-guraiz -e- pa kya
kise khaber ki ye nairang-o-seemiya kye hai

Posted: Thu Dec 29, 2005 5:33 am
by Hashmat Usmani
kab vo suntaa hai kahaanii merii
aur phir vo bhii zabaanii merii


chacha

???

Posted: Thu Dec 29, 2005 8:49 am
by Abdullah Nazir



kaun hei apnaa bhalaa jis se kahooN Haal apnaa

tum se hii jab nahiN ummeed maseeHaayi kii.



Nazir.,


Posted: Thu Dec 29, 2005 4:44 pm
by ummassad
agar hangama hai shoq se hai lamakan khali
khata kiski hai yarab lamakan tera hai ya mera

Posted: Thu Dec 29, 2005 4:49 pm
by ummassad
use subhe azal inkar ki jurat hui qunkar ?
mujhe maloom kya wo razdan tera hai ya mera?

Posted: Thu Dec 29, 2005 4:53 pm
by ummassad
agar kaj ro hain anjum aasman tera hai ya mera ?
mujhe fikre jahan qun ho jahan tera hai ya mera?

Posted: Thu Dec 29, 2005 5:04 pm
by ummassad
baaj-e-bihishet se mujhe hukum-e-safer diya tha qun?
kaar-e-jahan daraz hai ab mera intizar ker?

Posted: Mon Jan 02, 2006 7:16 pm
by ummassad
pakde jate hain farishtoon ke likhey per nahiq
aadmi koi hamara dame-e- tahreer bhi tha

Posted: Thu Jan 05, 2006 12:40 pm
by Shummu
ai mere rone vaalo! Khudaara javaab do!!
voh baar baar puuChhte haiN: "kaun mar gaya?"

Posted: Thu Jan 05, 2006 3:32 pm
by ummassad
bujhne ko hy carag-e-tamana kab aaoge
chane laga hy gam ka andhera kab aaoge
--------------------------------------------------
aangan main mere aayega kab masam_ bahar
nazroun ka bus yahi hai takaza kab aaoge

Posted: Fri Jan 06, 2006 5:45 pm
by ummassad
wafa kaisi kahan ka ishq jab ser phodna thera
tuu phir ay sangdil tera hi sang- aastan gyun ho?

Posted: Sun Jan 08, 2006 3:22 am
by Abdullah Nazir



kis ko hei khwaahish-e-aasoodagi-e-jaaN :Nazir:

sar chupaane ke liye chaak girebaaN hei bahujt.



Nazir.