Page 7 of 10

Posted: Sun Sep 10, 2006 3:19 am
by Daanish
'dil'

dil ek shaahid-e-ma'ani sahii, magar, phir bhi
tumhaare saamne hum benaqaab kya karte
--Jigar

dil

Posted: Sun Sep 10, 2006 4:39 am
by Abdullah Nazir



rangeeN raateN dilkash baateN haaye wo Ahd-e-guzishtah kee

kis ko apne dil se bhulaaden kisko musalsal yaad kareN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Sep 10, 2006 8:23 am
by Daanish
'dil'


dard-e-dil se mujhe ik dum kabhi taskeeN na mili
gum hu'a sub^H tau phir shaam bohat sa paaya
--Mus'Hafi

dil

Posted: Sun Sep 10, 2006 11:21 pm
by Abdullah Nazir



Haqeeqat-e-dil-e-beemaar chup nahiN sakti

bhalaa khayaal karo mujh ko yaa buraa samjho


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Sep 11, 2006 2:29 am
by Daanish
'dil'


a'alam-e-yaas meiN ghhabraaye na insaan bohat
dil salaamat hai tau Hasrat bohat, armaan bohat
--DaaGh

Posted: Mon Sep 11, 2006 11:46 am
by Daanish
'dil'


taa chand, josh-e-ishq se dil ki HifaazateiN
meri balaa se, ab woh junooni kahiiN rahe
--Jigar

Posted: Mon Sep 11, 2006 5:27 pm
by PK Swami
dil.e barbaad ko bhee kahne wale dil hee kahte haiN
khizaaN dedaaH chaman ko bhee chaman kahnaa hee paRtaa hai !


PK Swami

dil

Posted: Mon Sep 11, 2006 6:16 pm
by Abdullah Nazir



talkhiy-e-waHshat-e-dil hei rag o pai meiN saari

ab sanbhaltaa hee nahiN deeda-e-tar kyaa keeje


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Sep 12, 2006 2:14 am
by Daanish
junooN meiN jitni bhi bakaar guzri hai
agarche dil pe Kharaabi hazaar guzri hai
--Faiz

Posted: Tue Sep 12, 2006 2:39 am
by Daanish
dil gaya, raunaq-e-Hayaat gayi
Gham gaya, saari kaaenaat gayi
dil dhhaDakte hi phhir gayi woh nazar
lab tak aayi na thhi ke baat gayi
--Jigar

Posted: Fri Sep 15, 2006 2:49 am
by Daanish
'dil'

ubharne hi nahiN deti yahaN bemaaigi dil ki
nahiN tau kaun qatrah hai, jo dariya ho nahiN sakta

Posted: Sat Sep 16, 2006 2:27 am
by Daanish
'dil'


kya jaanuN chashm-e-tar se udhar dil pe kya hu'a
kis ko Khabar hai Meer samandar ke paar kii

dil

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:42 am
by Abdullah Nazir



kyaa duAa kaisi duAa tere mareeZ-e-dil kee

ai maseeHaa jo tire haath meiN ta'ceer nah hou.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Sep 16, 2006 3:35 pm
by Daanish
dil

uske dil meiN ab Khayaal-e-qatl har dum aaye hai
maut ko kis ne ilaahi mera ghar dikhlaa diya
--Momin

Posted: Sat Sep 16, 2006 4:52 pm
by ummassad
haal.e.dil nahin maloom lekin isqader yanee
hum ney baarha dhounda ;tumney barha cahaa.