Page 7 of 8

Posted: Tue Jul 24, 2007 2:23 am
by ummassad
bin piyee hi sharaab se touba.
yeh jahaalet nahin tu phir kiya hey.

Posted: Tue Jul 24, 2007 12:48 pm
by balvinder
kal daam bhiikh maaNg ke bhii de-deNge saaqiya
pilvaade bahar-e-saaqi-e-kausar udhaar aaj

''naseem'' bharatpuri

Posted: Sun Aug 05, 2007 2:03 pm
by balvinder
kahiiN vaaiz bahak aaya na ho, masjid ke dhokhe meN
koii khaRhkaa rahaa hai, dekhna, zaNjiir-e-maikhaana


abdul latiif ''tapish''

Posted: Sun Aug 05, 2007 10:54 pm
by hassan_bashir
dikhaa k mad-bharii aaNkheN kahaa yeh saaqi ne
haraam kehte haiN jis ko yeh voh sharaab naheeN

Posted: Tue Aug 07, 2007 1:10 pm
by balvinder
majlis-e-vaaiz to, taa-der rahegii ''qaayam''
ye hai maiKhaana, abhii pii ke chale aate haiN

''qaayam'' chandpuri

Posted: Wed Aug 08, 2007 10:58 am
by hassan_bashir
tere gulaabi laboN se jo ras Tapakta hai
hai tashnagi ka taqaaza use sharaab kahooN

Posted: Sat Aug 11, 2007 4:14 am
by ummassad
us chasham e mey faroosh ki daryadili na pouch.
ak boond bhi sharaab hamarey liye nahin.

Posted: Thu Aug 30, 2007 3:00 am
by ummassad
sharaab roohperver hey mahobat nou e ansaan ki.
sikhaya usney mujhko mast be jaam o sabu rehna.

Posted: Sat Sep 01, 2007 5:05 pm
by ummassad
yaroo mujhey ma,aaf kero main nashey main houn.
sheeshey main mai ,mai main nasha main nashey main houn.

Posted: Tue Sep 04, 2007 9:07 pm
by ummassad
bin piye hi SHARAAB se touba .
yeh jahalat nahin tu phir kiya hey.

Posted: Fri Sep 07, 2007 9:10 pm
by ummassad
tooti nahin hey saaqia rindoun ke haath se.
khud hi nashey main choor thi bootal sharaab ki.

Re: Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...

Posted: Sun Jan 31, 2010 7:31 am
by manzar alam
pii ke jab shukr ka sajdah kiya maiKHane meN
be Talab aa gayee mae phir mere paimaane meN

Re: Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...

Posted: Sun Jan 31, 2010 8:03 am
by sbashwar


منہ چھپانے سے پہلے بہرِ کرم * اپنی جھوٹی شراب دے مجھکو
عبداللہ ناظرؔ
[/size][/font]

Re: Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...

Posted: Wed Feb 03, 2010 6:18 pm
by sbashwar
برگِ گل ہو یا ہوں ناظرؔ اس کے لب * جامِ مئے کو منہ لگانا چھوڑدے
عبداللہ ناظرؔ

Re: Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...

Posted: Sat Feb 13, 2010 3:50 pm
by azeezbelgaumi
میرے شعر: