Page 7 of 65
Posted: Thu Feb 17, 2005 8:04 pm
by Ibn-e-siddique
ik mohabbat ke ivaz arz-o-samaaN de dooN ga
tujh se kaafir ko to maiN apna khudaa de dooN ga
tujh / ga
Posted: Sat Feb 19, 2005 11:25 am
by Shummu
wah kya sher hai@AMJAD JEE!!
tujh se kis tarah mai.n izhaar-e-tamannaa karataa
lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii
lafz/dii
Posted: Thu Feb 24, 2005 5:56 am
by Hashmat Usmani
Saara, Ghaalib ka poora deevaan chhaan maaraa ek bhii she'r lafz e "hone" se na milaa...majbooran Khud saaKhta she'r [tuk-bandii] pesh kar rahaa huuN, gar qubool ho!
hone
hone se kia hua hai zamaana e Kharaab meN
do gaz zamiiN na mil skii us Khaana e Kharaab meNhuaa?
Hashmat Usmani
lafze-e-"do" ya lafz-e-"meN" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Thu Feb 24, 2005 12:49 pm
by Shummu
do sitaaron ka zameeN par hai milan aaj ki raat
saari dunyaa nazar aati hai dulhan aaj ki raat
saari/raat
Posted: Sat Feb 26, 2005 8:37 am
by Shummu
Chaand se maand sitaroN ne kaha aakhir-e-shab,
Kaun kerta hai vafa, ehd-e-vada, aakhir-e-shab
kaun/shab
Posted: Sat Feb 26, 2005 9:19 am
by fatimah
aslaam_u_alikam
kon jaaney kab yeh saans saath denaa choor dein
is qadar anbuwa key sang bhaagnaa achaa nahin
is/ nahin
Posted: Sun Feb 27, 2005 7:39 am
by Ibn-e-siddique
nahin nahin ye khabar dushmanon ne di ho gi
vo aaye, aa ker chale bhi gaye, mile bhi nahin
vo / nahin
vo /panah
Posted: Sun Feb 27, 2005 11:07 am
by Abdullah Nazir
Vo zakhm de ke bhii kehte heiN mujh se uff nah karuN
Ajeeb Tarz-e-muhabbat hei yeh khudaa kii panaah
Nazir.[/i]
Posted: Sun Feb 27, 2005 6:22 pm
by Shummu
wah kya sher hai!!
Ajeeb khauf hai andar ki Khamoshi ka Mujhe
Ke Raaston sey guzarti hoon Gungunaate hue
Ke/hue
hei
Posted: Sun Feb 27, 2005 7:01 pm
by Abdullah Nazir
keh ham se bhool nah houjaye raah-e-ulfat meiN
hameshah naam usi kaa zubaN pah rehtaa hei
'hei"
Nazir
Posted: Mon Feb 28, 2005 12:11 pm
by Shummu
Hamesha Dar Ke Raho Waqt Ke Haathon "Sabir"
Bhikar Gaye To Savarane Ki Baat Mat Karna
Bhikar/karna
bikharne
Posted: Mon Feb 28, 2005 2:15 pm
by Abdullah Nazir
bikhar gayaa miraa sheeraaza-e-hayaat magar
woh apne banne saNwarne kii baat karte heiN
Nazir.
hou /se
Posted: Wed Mar 02, 2005 12:51 am
by Abdullah Nazir
[cikir=blue]
hougaieeN saarii umeedeN nazr-e-chashm-e-kam nazar
kyaa milaa Musaa ko Nazir jalvahgaah-e-Toor se
"kyaa/ se"
[/color]
Nazir.
Posted: Wed Mar 02, 2005 9:00 am
by fatimah
kia jaaniye her aan badalti hui dunya
kab dil se koi naqsh miTaane chali aaye
kab / aaye
heiN / loag
Posted: Thu Mar 03, 2005 1:53 am
by Abdullah Nazir
HeiN kaise anjaane loag
Meri baat nah maane loag
meri / loag
Nazir.