Page 7 of 43

Posted: Thu Apr 28, 2005 1:57 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:thee khabar NAJMA, wo aaeingay yahaN khanjar-ba-kaff
talib-e-shauq-e-shahaadat sir jhukaa kar reh gaey
najma
waah Hamsheerah saaHibah...kia Khoob kahaa!

abhii aur tez kar le sar-e-Khanjar-e-adaa ko
mere KhuuN kii hai zaruurat terii shoKhii-e-Hinaa ko


Ali Sardaar Ja'frii

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:06 am
by najma
khooN-naab-e-gul, shafaq ka tabassum, hina ka rang :o
surkhii mire lahuu ki kahaaN tak chali gaee :shock:
nafis ahmad siddiqui

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:19 am
by Hashmat Usmani
na mere zaKhm khile haiN, na teraa rang-e-Hinaa
mausam aaye hii nahiiN ab ke gulaaboN_waale


AHmad Faraaz

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:24 am
by najma
kis raah meiN hay mausim-e-gul, dhoond ke laao
zakhmoN se mire hogii mudaaraat kahaaN tak
najma

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:50 am
by Hashmat Usmani
yuuN to muuNh pher ke dekho bhii nahiiN ho
jab waqt paRe hai to madaaraat karo ho


Kaleem Ai'jaaz

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:05 am
by najma
yuuN gaey, muR kar na dekha, rahii-e-mulk-e-adam!
dekhiye! mat jaaiyye! ham bar-malaa kehte raghay
najma

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:28 am
by Hashmat Usmani
pinhaaN thaa daam saKht qariib aashiyaaN ke
uRne na paaye the k giraftaar ham huye


Ghaalib

Posted: Thu Apr 28, 2005 11:10 am
by najma
maiN qafas ko saath hi lekar na uR jaaooN kaheeN
kijiye! sayyad ko mera nighebaaN kijiye

nafis ahmad siddiqui

Posted: Thu Apr 28, 2005 11:14 am
by Hashmat Usmani
dekhiye kia gul khilaatii hai bahaar ab ke baras
Khowaab meN dekhaa hai, "Faani" ne, qafas kaa dar khulaa


Faanii Badaayuunii

Posted: Thu Apr 28, 2005 11:39 am
by najma
wahshat meiN girebaaN phaaRne ka kis ne banaya mansoobah
rah-e-amal meiN deewaanoN ke, hote haiN ijlaas kahaaN
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:25 pm
by Hashmat Usmani
ai shab-e-Gham! ham haiN aur baateN dil-e-naa_kaam se
sote haiN naam-e-Khudaa sab apne ghar aaraam se


Shaad Azeemabaadi

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:34 pm
by najma
mujhe raat kaaTnii hay, mujhe jaagna paRega
jo wo sogaya, to soey baRe shauq se zamanah
najma

Posted: Thu Apr 28, 2005 5:36 pm
by Hashmat Usmani
duniyaa ke sitam yaad, na apnii hii vafaa yaad
ab mujh ko nahiiN kuchh bhii moHabbat ke sivaa yaad


Jigar Muradabadi

Posted: Thu Apr 28, 2005 6:35 pm
by najma
iltijaeiN to bohat keeN sitam-eejaadoN se
koee matlab naheeBNN nikla miree faryaadoN se
nafis ahmad siddiqui

Posted: Thu Apr 28, 2005 8:24 pm
by Hashmat Usmani
rahii baalaa_nashiiN uftaad merii
falak_parvaaz hai faryaad merii


Seemaab Akbarabadi