Page 7 of 9
Posted: Thu Apr 28, 2005 5:04 pm
by Hashmat Usmani
aaj gulistaaN meN phailii hai Khushbuu terii yaadoN kii
mausam-e-gul hai, ham haiN, tanhaa dil par gahraa daaGh liye
Krishn "Adeeb"
Posted: Thu Apr 28, 2005 6:44 pm
by najma
sard mausim meiN kaheeN saaNs na jamne paey
jism ke khol meiN ik shola, sadaa ka rakhna
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:09 pm
by Hashmat Usmani
mumkin hai k tu jisko samajhtaa hai bahaaraaN
auroN kii nigaahoN meN vo mausam ho KhizaaN kaa
'allaamah Iqbaal
Posted: Thu Apr 28, 2005 10:23 pm
by najma
SUN RAHA HOON NAVEED E MAUSAM E GUL
SHAKL AB TAK NAZAR NAHIN AATI
waqar zaidi
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:34 am
by Hashmat Usmani
kaun batlaaye tumheN kaise vo mausam haiN k jo
mujh se hii duur raheN, mujh meN hii baste jaayeN
Ummeed Faazlii
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:57 am
by najma
rut na badle to bhi afsurdah shajar lagta hay
aur mausim ke taghayyur se bhi Dar lagta hay
Posted: Fri Apr 29, 2005 1:17 am
by Hashmat Usmani
mausam ko ishaaroN se bulaa kiuN nahiiN lete
ruuThaa hai agar vo to manaa kiuN nahiiN lete
Zafar Gorakhpuri
Posted: Fri Apr 29, 2005 1:56 am
by najma
mausim kahaaN maantaa hai tahaziib kii bandhishon ko
jismon se baahar nikal ke angaDaa_iyaaN boltii hain
Posted: Fri Apr 29, 2005 2:13 am
by Hashmat Usmani
mere Haal pe Hairat kaisii dard ke tanhaa mausam meN
patthar bhii ro paRte haiN, insaan to phir insaan huaa
MoHsin Naqvii
Posted: Fri Apr 29, 2005 2:53 am
by Hashmat Usmani
kaliyoN ne bhii khil_khil ke rituoN ko sadaa dii hai
pattoN ne bhii hil_hil ke shaaKhoN ko havaa dii hai
mausam pe bahaar aaii, mere dil kaa chaman viraaN
Kumar "AaNsoo"
Posted: Fri Apr 29, 2005 7:53 am
by najma
lutf jo us ke intazaar mein hay
vo kahaaN mausim-e-bahaar meiN hay
Posted: Fri Apr 29, 2005 8:25 am
by syed bilal armaan
koi badal naye MAUSAM ka phir elaan karta hai
khaz'an ke baagh main jab ek pata bhi nahi raheta...
Posted: Fri Apr 29, 2005 8:53 am
by najma
sard mausim meiN kaheeN saaNs na jamne paey
jism ke khol meiN ik shola, sadaa ka rakhna
Posted: Sat Apr 30, 2005 3:46 am
by Hashmat Usmani
jal gayaa saaraa badan in mausamoN kii aag meN
ek mausam ruuH kaa hai jis meN ab zindaa huuN maiN
Athar Nafees
Posted: Sat Apr 30, 2005 11:29 am
by najma
bahar qadam na rakhna tum is andherii shab meiN
pehle ye soch lena mausim hay baarishoN ka
khawar qureshi