Page 7 of 8

Posted: Wed Jan 24, 2007 12:53 am
by Abdullah Nazir



chaand kee kaunsi shab apnaa milan mumkin hei

tum nah boulo nah sahee chaandnee boule tou sahee.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Jan 24, 2007 6:12 pm
by hassan_bashir
aaj kii raat kaa mahamaaN hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar meiN ugate haiN sharar aaj kii raat

Posted: Sat Feb 10, 2007 10:03 am
by balvinder
charaagh-o-aaftaab gum barhee haseen raat thee
shabaab kee naqaab gum barhee haseen raat thee

Posted: Mon Mar 12, 2007 2:05 pm
by Saba
ye urhi urhi si rangat ye khulay khulay say gaisoo

tairi subho keh rahi hay tairi raat kaa fasaanah

Posted: Wed Apr 04, 2007 4:40 pm
by hassan_bashir
zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

Posted: Fri May 11, 2007 4:58 pm
by ummassad
naam badnaam hy nahaq SHAB e tanhai ka
wo bhi ak rukh hey teri anjuman aarai ka.

Posted: Tue May 22, 2007 1:14 am
by ummassad
yaa shab ki saltanut main din ka safeer aaya.
gurbat main aakey chamka gumnaam tha watan main.

Posted: Thu Jun 07, 2007 10:36 pm
by ummassad
raat bher deeda e numnaak main lehratey rahey.
khwaab ki terha se aap aatey rehey jaatey rahey.

Posted: Tue Jun 12, 2007 2:59 pm
by zmufti
raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh
chaa.Nd sitaare shajar hajar Khaamosh

Posted: Mon Jun 18, 2007 5:36 am
by Ibn-e-siddique
pee jis qadar mile shab-e-maahtaab meiN sharaab
is balghamee mizaaj ko garmee hi raas hai

Posted: Wed Jun 20, 2007 9:45 am
by Ibn-e-siddique
din gayaa meri masarrat ka janaazah lay ker
raat aayee hai mire gham meiN izaafah karne

Posted: Thu Jun 21, 2007 3:58 pm
by zmufti
andoh se hu_ii na rihaa_ii tamaam shab
mujh dil-jale ko niiNd na aa_ii tamaam shab


Posted: Tue Jun 26, 2007 6:52 pm
by zmufti
mariiz-e-shab-e-Gam kii saaNs aaKhirii hai
charaaG-e-sahar le rahaa hai sambhaale


Posted: Fri Jul 20, 2007 2:27 pm
by balvinder
din to duniya ke ghamoN se nahiiN faarigh hota
raat har roz sunaatii hai kahaanii terii

saeed akhtar

Raat

Posted: Sun Jul 22, 2007 1:22 pm
by farhafirdous
Subah na aayee kayee baar neend se jaage
Is ek raat ki ham zindagi guzaar chale


Farha