Page 61 of 65
Posted: Wed Sep 13, 2006 7:26 pm
by zmufti
hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
Posted: Wed Sep 13, 2006 9:58 pm
by ummassad
zaraa sa tu dil hey mager shook itna
wahi laantarani suna caahata houn
Posted: Thu Sep 14, 2006 3:21 pm
by Daanish
wahi hai zindagi lekin Jigar yeh Haal hai apna
ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
Posted: Thu Sep 14, 2006 10:25 pm
by ummassad
hai buskh heraik unkey isharey main nasha awr
kerty hin mahoubat tu guzarta hey guman awr
Posted: Fri Sep 15, 2006 2:23 pm
by zmufti
aur ko_ii dam kii hai mehamaa.N guzar jaayegii raat
Dhalate Dhalate aap apanii maut mar jaayegii raat
Posted: Mon Sep 18, 2006 2:16 am
by ummassad
raat bher deeda,e.numnaak main lehratey rahey
khwab ki terh se aap aatey rahey jaatey rahey.
Posted: Wed Sep 20, 2006 3:50 pm
by zmufti
Khvaab in aa.Nkho.n se ab ko_ii churaa kar le jaaye
qabr ke suukhe huye phuul uThaa kar le jaaye
Posted: Thu Sep 21, 2006 4:10 am
by Daanish
ba'ad marne ke miri qabr pe aaya woh Meer
yaad aayi mire eesa ko dawaa mere ba'ad
Posted: Thu Sep 21, 2006 10:29 pm
by ummassad
yaad mazi azaab hey yarub
cheen le mujh se haafiza mera.
Posted: Fri Sep 22, 2006 7:20 am
by zmufti
laakho.n kii sunaa tum ne taqadiir sa.Nvaarii hai
mujh se yahii kah dete ab ke terii baarii hai
"ye"
Posted: Fri Sep 22, 2006 7:37 am
by Abdullah Nazir
yeh meraa saleeqah thaa yeh meri wafaa jaanaaN
rakhkhaa jo tumheN dil meiN chaahaa jo tumheN jaaN se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
(ye)
Nazir.
Posted: Sat Oct 07, 2006 5:13 pm
by ummassad
kiyun nh is shub se naiye dour ka aagaaz karain
bazem.e.khubaan se koi nagmasara doo humko.
bazm
Posted: Tue Oct 31, 2006 12:25 am
by Abdullah Nazir
bazm-e-aHbaab meiN aaye heiN ujaaalaa karne
raushni de nah sakeN ham tou bujhaado ham ko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( raushni / hamko )
Nazir.
gulshan
Posted: Tue Nov 07, 2006 6:48 am
by Abdullah Nazir
b]
gulshan-e-fikr meiN jitne bhee khile taazah gulaab
kardiye nazr tire Husn-e-pazeeraayi ke.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( kardiye / ke )
Nazir.
[/b]
kardiye
Posted: Mon Nov 13, 2006 4:48 am
by Abdullah Nazir
kardiye nazr tujhe ham ne muHabbat ke gulaab
aur dekhaa kiye rangeen mulaaqaat ke khwaab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
(ye)
Nazir.