Page 62 of 65
Posted: Thu Nov 16, 2006 6:53 am
by hassan_bashir
hai ishq-e-junuuN-peshaa haaN ishq-e-junuuN-peshaa,
aaj ek sitamagar ko haNs haNs ke rulaanaa hai !!!!!!!!
aaj ~ hai
Posted: Fri Nov 17, 2006 12:20 pm
by Shummu
aaj ke daur meiN ai dost ye maNzar kyuN hai?
zaKhm har sar pe har ik haath meiN patthar kyuN hai?
zaKhm/hai
Posted: Fri Nov 17, 2006 12:32 pm
by hassan_bashir
zaKhm ko phuul to sar-sar ko sabaa kahate haiN
jaane kyaa daur hai kyaa log haiN kyaa kahate haiN
jaane ~ haiN
Posted: Mon Nov 20, 2006 1:57 pm
by hassan_bashir
is naaz is aNdaaz se tum haaye chalo ho
roz ek Ghazal ham se kahalavaaye chalo ho
roz ~ ho
"roz"
Posted: Tue Nov 21, 2006 5:33 am
by Abdullah Nazir
roz o shab dil meiN heiN yaad-e-yaar kee parchaayiaaN
dasht-e-ghurbat meiN junoon-e-shauq kee Had hougayi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "ye" )
Nazir.
"gard-e-safar"
Posted: Tue Nov 21, 2006 6:25 am
by Abdullah Nazir
gard-e-safar hei aur maiN raah-e-wafaa meiN gaamzan
dil ke mashaqqtaoN kee ab kaun sunegaa daastaaN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( dil / daastaaN )
Nazir.
Posted: Thu Nov 23, 2006 11:39 am
by hassan_bashir
haath seene pe jo rakh do to qaraar aa jaaYe!
dil ke ujaRe hue gulashan meiN bahaar aa jaaYe!!
dil ~ jaaye
Posted: Fri Nov 24, 2006 11:37 am
by hassan_bashir
kyooN Raza aaj gali suuni hai, uTh mire dhuum machaane vaale!
aaNkheN ro ro k sujaane vaale, jaane vaale naheeN aane vaale!!
aaNkheN ~ vaale
aankheN
Posted: Sat Nov 25, 2006 7:50 am
by Abdullah Nazir
aankheN dikhaarahe hou jou chupkar niqaab meiN
Soorat agar dikhaaou tou houjaaooN muTma'in.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "Soorat / MuTma'in" )
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:40 am
by hassan_bashir
jaayeN bhi us galii meiN to muNh se jaayeN ham?!
yeh baat soCh soCh k aaNsoo bahaaaayeN ham!!
yeh ~ ham
"yeh"
Posted: Tue Nov 28, 2006 7:45 am
by Abdullah Nazir
yeh seHr-e-ahl-e-dunyaa hei wagarnah
kami kab thee duAa'aoN ke acar meiN..
Shaayer: Abdullah Nazir.
kami / meiN
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 1:00 pm
by muhammad_19k
meiN akaila hi chala thaa janib e manzil magar,
log saath aate ga-aye oar karwaaN bantaa gayaa.
Posted: Tue Nov 28, 2006 1:00 pm
by muhammad_19k
words for next shair,
log----- gayaa.
"tum"
Posted: Wed Nov 29, 2006 3:31 am
by Abdullah Nazir
tu hee nahiN kuch malool yaaro
uRti hei yahaaN bhee dhool yaaro.
Shaayer: Abdullah Nazir.
uRti / yaaro
Nazir.
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:37 am
by hassan_bashir
ab agar aao to jaane k liYe mat aanaa
sirf ehsaan jataane k liYe mat aanaa
sirf ~ aanaa