Page 63 of 65
ham ne
Posted: Fri Dec 01, 2006 12:05 pm
by Abdullah Nazir
"ham ne maanaa ke taghaaful nah karouge lekin
khaak houjaayenge ham tum ko khabar houne tak"
Shaayer: Mirza Ghalib.
Nazir.
Posted: Mon Dec 04, 2006 7:48 am
by hassan_bashir
kaash taqdeer meiN gar aap hamaaaaare hote
apni qeesmat k bhi gardish meiN na taare hote [khaksaar ]
apni ~ hote
Posted: Thu Dec 07, 2006 6:46 am
by hassan_bashir
teraa chehraa kitnaa sunaana lagtaa hai,
tere aage chaaNd puraana lagtaa hai!!
tere ~ hai
"tere"
Posted: Thu Dec 07, 2006 1:19 pm
by Abdullah Nazir
tere baghair kaise guzarti hei kuch nah pooch
aek ek ghaRi Azaab hei faSl-e-bahaar kee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
aek / kee
Nazir.
Ppahloo-e-gul"
Posted: Sun Dec 10, 2006 3:00 am
by Abdullah Nazir
pahlo-e-gul kee Taraf souch samajh kar chalnaa
khaar bhee houte heiN phoolaoN kee Hifaazat ke liye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
khaar / keliye
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 7:09 am
by hassan_bashir
Khaar-Khaar-e-alam-e-hasarat-e-diidaar to hai
shauq gulachiin-e-gulistaan-e-tasallii na sahii
shauq / sahii
shauq
Posted: Sun Dec 10, 2006 12:41 pm
by Abdullah Nazir
shauq-e-bazm aaraayi kaa bhee luTf ab baaqi kahaaN
khud parasti, khud-numaayee, khudsitaayee Aam hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 4:11 pm
by Zee
mera shair ghalat ho gaya;
"ye"
Posted: Mon Dec 11, 2006 6:33 am
by Abdullah Nazir
yuN ik naye khayaal ke saath aayiye HuZoor
jo kuch ghalaT houaa hei use bhool jaayiye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
jo / jaayiye
Nazir.
Posted: Mon Dec 11, 2006 7:49 am
by hassan_bashir
jo dil ne kahii lab pe kahaaaaaaaaN aa'ii hai dekho,
ab mahafil-e-yaaraaN meiN bhii tanhaa'ii hai dekho!
ab / dekho
meree
Posted: Mon Dec 11, 2006 3:35 pm
by Abdullah Nazir
meree khushee houee nah mukammal tire baghair
jab se tiraa khayaal hei, kab mujhko housh hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
jab / hei
Nazir.
"dil"
Posted: Mon Dec 11, 2006 3:55 pm
by Abdullah Nazir
dil meiN tere siwaa nah thaa koii
aur theraa hee pyaar baaqi heii.
Shaayer: Abdullah Nazir.
aur / hei
Nazir.
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:16 pm
by hassan_bashir
aur kyaa ehd-e-wafa hote haiN
log milte haiN judaa hote haiN!!
log / haiN
loag
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:14 am
by Abdullah Nazir
loag kyaa kuch nahiN kehte tire deewaane ko
wo acar legaa agar baataoN kaa marr jaayegaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
wo / marjaayegaa
Nazir.
woh
Posted: Tue Dec 12, 2006 2:52 am
by Abdullah Nazir
wo bhee ik daur thaa gulgasht se dil bhartaa thaa
aaj tum saath nahiN hou tou maiN afsurdah hooN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.