Page 64 of 65
Posted: Thu Dec 14, 2006 6:36 am
by zmufti
vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT luu.N
bikharaa hu_aa hayaat kaa daftar sameT luu.N
Posted: Thu Dec 14, 2006 7:36 am
by hassan_bashir
bikharaa paRaa hai tere hii ghar meiN teraa vajuud
bekaar mahafiloN meiN tujhe DhuuNDhtaa huuN maiN
bekaar / maiN
bekaar
Posted: Fri Dec 15, 2006 2:20 am
by Abdullah Nazir
bekaar gayi saAy-e-mudaawaay-e-gham-e-dil
Nazir nah tamanna karo phir chaarah-gari kee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir /keer.
Nazir.
"miltaa"
Posted: Sat Dec 16, 2006 5:59 am
by Abdullah Nazir
miltaa hei kab kisi se mire qalb ko sukooN
us bewafaa ne rakhkhaa mujhe pech o taab meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"us /. meiN"
Nazir.
Posted: Sat Dec 16, 2006 8:13 am
by hassan_bashir
us ki hasrat hai jise dil se miTaa bhi na sakoooooooN
DhuNDane us ko chalaa hooN jise paa bhi na sakooN
DhuNDane / sakooN
DhoonDne
Posted: Sun Dec 17, 2006 6:19 am
by Abdullah Nazir
Dhoondne se bhee kahaaN miltaa hei dunyaa meiN sukooN
ab wo pahli see muHabbat nahiN insaanaoN meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
ab / meiN:
Nazir.
jis
Posted: Mon Dec 18, 2006 3:41 am
by Abdullah Nazir
jis din se dil meiN aaye hou kuch soojhtaa nahiN
rehtaa hooN intizaar meiN shaam-e-viSaal ke.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"rehtaa / ke"
Nazir.
kab
Posted: Mon Dec 18, 2006 7:48 pm
by Abdullah Nazir
kab tak ai dil wo nazar-nandaaz kardenge tujhe
ik nah ik din meri chashm-e-nam se sharmaa jaayenge.
Shaayer: Abdullah Nazir.
ik / jaayenge
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 7:56 pm
by hassan_bashir
ik intazaaaaaaaar saa thaa ab nazar meiN vo bhii naheeN
safar meiN marane kii fursat thii ghar meN vo bhii naheeN
safar / naheeN
naheeN
Posted: Tue Dec 19, 2006 2:42 pm
by Abdullah Nazir
nahiN yaas o HirmaaN se ham ko taAalluq
magar HasrataoN ke yeh baar aur kab tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.:
Nazir.
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:11 am
by hassan_bashir
kab tak dil kii Khair manaayeN, kab tak raah dikhaaoge?
kab tak chain kii mohalat doge, kab tak yaad na aaoge?
Kab / aaoge
shab
Posted: Sat Dec 23, 2006 6:20 am
by Abdullah Nazir
"shab-e-viSaal bujhaado tum in charaaghaoN ko
khushee kee bazm meiN kyaa kaam jalne waalaoN kaa".
Shaayer: naamaAloom
khushee / kaa
Nazir.
Posted: Sun Dec 24, 2006 6:04 am
by hassan_bashir
Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai raNj-o-Gham ne paalaa hai
guloN ne beruKhii kee hai to kaaaaaaaaNToN ne saNbhaalaa hai
Posted: Mon Dec 25, 2006 10:14 am
by balvinder
hai tumhare liye kuchh aisee aqeedat dil main
apne haatho'n mein duaao'n sa utha lein tum ko
Posted: Tue Jan 16, 2007 6:44 am
by hassan_bashir
apne ham-raaaaah jo aaaaate ho idhar se pahle
dasht paRtaa hai miyaaN ishq meiN ghar se pahle
dasht / pahle