Page 1 of 2

:: Aao hamdam aaj ik w'adaa kareN :: Guz#5

Posted: Thu May 05, 2005 4:31 am
by Star Mind
moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :grin:

aap log soch rahe hoNge k Zia SaaHib ko aaKhir ho kyaa gayaa hai k safar maiN bhi dhaRaa dhaR GhazleN keh rahe haiN :lol: :lol:
kyaa kareN ? aap hi bataayeN safar maiN tanhaaii ka aur kyaa i'laaj kareN ? :lol: .
aaj jaise hi ustaad-e-moHtaram k deye gaye t^araHi misr'a par paRee , foran se paishtar hi Ghazal ka nuzool hogayaa , aur ham chaley aaye aap ki a'dalat maiN us gustaaKh ko paish karne !! :P . ab jo chaaheN aap us k saath sulook kareN ! :lol:

to lejeye Ghazal Haazir hai !!

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1.
aao hamdam aaj ik wa'daa kareN !
i'shq sey aaraai,sh-e-dunyaa kareN ! 8)

2.
ban k baadal, pyaar maiN barsaa kareN !
saath mil kar dasht ko daryaa kareN !! :-)

3.
qarya qaryaa , koo-ba-koo ghomma kareN !
apne apney Husn kaa charchaa kareN !! 8)

4.
kyoN na aye dil koi haNgaamaa kareN ?
kuch nahiN to Hashr hii barpaa kareN !! :twisted:

5.
tum ko socheN yaa tumheN dekhaa kareN ?
"tum hi batlaao k ab ham kyaa kareN ?" :roll:

6.
kon samjheygaa nigaahoN kii zabaaN ? :roll:
kis ko dekheN aap gar pardah kareN ? :evil: :lol:

7.
dushmanoN kaa bhi pataa chal jaaye gaa !
aao aapas maiN koii jhagRhaa kareN ! :twisted:

8.
aaj gulshan ka a'jab andaaz hai !
aaj sab madH-e-ruKh-e-zeebaa kareN ! 8)

9. aap kyaa jaaneN :Zia: kii be-basee ! :roll:
aap to bas shikwa-e-be-jaa kareN ! :evil: :evil:

................................................................................

Hasb-e-ma'mool aap ki raaye ka intezaar rahyega !! :wink:
shukriya

moKhliS : Zia Baloch 8)

Posted: Thu May 05, 2005 12:12 pm
by tahira Masood
mashallah

bohat khoob

girah tau khoob lagaaee hai

hamaari teraF se tau daad Haazir hai

ab dekheN ustaad kaya kehte heN


Posted: Thu May 05, 2005 12:13 pm
by Mahtab Qadr
Zia sahib aap ki ghazal bahut pasand aai mashallah mushkil zameen maiN achay sher nikaale haiN aapne.
khas taur par ye teen sher bahut achay haiN

tum ko socheN yaa tumheN dekhaa kareN ?
"tum hi batlaao k ab ham kyaa kareN ?"


kon samjheygaa nigaahoN kii zabaaN ?
kis ko dekheN aap gar pardah kareN ?


dushmanoN kaa bhi pataa chal jaaye gaa !
aao aapas maiN koii jhagRhaa kareN !

shukria
Mahtab Qadr

Posted: Thu May 05, 2005 10:47 pm
by zaamin
mohtaram zia saheb:

bahut khoobsoorat pesh ki hai aur is furtii ke saath;idhar to ham abhii girah ke misra leke hi baithe hain

merii aur se daad haazir hai

zaamin

Posted: Fri May 06, 2005 8:46 pm
by zmufti
zia sahib
aap ki ghazal achi lagi
meri taraf say daad Qabool kijye
zmufti

Posted: Wed May 11, 2005 8:26 am
by najma
bohat khoob zia baloch sahib!
waah kya kalam inayat farmaya hay aap ne.
ab agar ziyada ta,reef karooNgii to aap-------pehle ki tarah ab bhi takalluf se kaam leN gay.
lekin haqeeqat to haqeeqat hi hotii hay.
aap ko aap k umdahkalaam par daad dena hi hay, kyuuN -k yeh dad ki sarasar mustahiq hay.
so
dheroN daad qubool kijiye
khair andesh
najma

Re: :: Aao hamdam aaj ik w'adaa kareN :: Guz#5

Posted: Sat May 14, 2005 9:53 pm
by Anmol
Star Mind wrote:moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :grin:

Tasleemaat. :grin:

aap log soch rahe hoNge k Zia SaaHib ko aaKhir ho kyaa gayaa hai k safar maiN bhi dhaRaa dhaR GhazleN keh rahe haiN :lol: :lol:

kyaa kareN ? aap hi bataayeN safar maiN tanhaaii ka aur kyaa i'laaj kareN ? :lol: .

:wink: Apne jese kisi aur tanha ko DhoonDiye, jab do tanha mil jayeNge to tanhayi kahiN door chali jayegi. :grin:

aaj jaise hi ustaad-e-moHtaram k deye gaye t^araHi misr'a par paRee , foran se paishtar hi Ghazal ka nuzool hogayaa , aur ham chaley aaye aap ki a'dalat maiN us gustaaKh ko paish karne !! :P . ab jo chaaheN aap us k saath sulook kareN ! :lol:

to lejeye Ghazal Haazir hai !!

:: Roman Version ::

1.
aao hamdam aaj ik wa'daa kareN !
i'shq sey aaraai,sh-e-dunyaa kareN ! 8)

:grin:

2.
ban k baadal, pyaar maiN barsaa kareN !
saath mil kar dasht ko daryaa kareN !! :-)

:grin:

3.
qarya qaryaa , koo-ba-koo ghomma kareN !
apne apney Husn kaa charchaa kareN !! 8)

:grin:

4.
kyoN na aye dil koi haNgaamaa kareN ?
kuch nahiN to Hashr hii barpaa kareN !! :twisted:

Bohot khoob. BaRe naik irade heN. :lol: :twisted:

5.
tum ko socheN yaa tumheN dekhaa kareN ?
"tum hi batlaao k ab ham kyaa kareN ?" :roll:

:wink: :grin:

6.
kon samjheygaa nigaahoN kii zabaaN ? :roll:
kis ko dekheN aap gar pardah kareN ? :evil: :lol:

:-) Bohot khoobsoorat sher hay, is per mujhe apna aik sher yaad aa gaya, ijazat ho to arz karooN?

Gar uTha dooN niqaab chehre se
Hosh meiN aap reh na payeNge :wink:


7.
dushmanoN kaa bhi pataa chal jaaye gaa !
aao aapas maiN koii jhagRhaa kareN ! :twisted:

Very nice one. :-)

8.
aaj gulshan ka a'jab andaaz hai !
aaj sab madH-e-ruKh-e-zeebaa kareN ! 8)

Zahir hay madH to ruKh-e-zeba ki hi ho sakti hay. :wink:

9. aap kyaa jaaneN :Zia: kii be-basee ! :roll:
aap to bas shikwa-e-be-jaa kareN ! :evil: :evil:

chch...kauN heN woh jo aap jese masoom shaks se bejaa giley shikwe karte heN? :evil: Maqta bhi Khoob hay. :-)

................................................................................

Hasb-e-ma'mool aap ki raaye ka intezaar rahyega !! :wink:
shukriya

Hasb-e-mamool maiNe aap ko Dher sara intizaar karwane k baad apni anmol raye pesh kar hi di hay. Bohot khoobsoorat ghazal hay, aur mujhe behad pasand aayi. :-)

moKhliS : Zia Baloch 8)

Posted: Mon May 16, 2005 3:47 pm
by naheedv
kyaa kehne Zia saahab,
aap tau ghazal pe ghazal likhte jaa rahe haiN aur voh bhee "kamaal" kee :)

mashaa'Allah ghazal buhat hee khoob hai aur pasaNd aayee,
aap yaqeenun daad ke mustahiq haiN so haazir.e.khidmat hai.

mukhlis
Naheed

Bahut khoob

Posted: Mon May 16, 2005 9:04 pm
by Abdullah Nazir

Azeezi
Zia Baloch :-)


Purkhuloos Tasleemaat,


Aapki ghazal bahut pasand aayii. Tafseeli tabSirah karne kaa iraadah kartaa rahaa lekin be=panaah masroofiyat ne mujhe shikast de dii. Aaj ittifaaq se dobaarah aapki ghazal paRhne ko milii tou mujhe aapki shaayeri meiN vohi sab kuch nazar aane lagaa jiski mujhe bahut pahle hii se ummeed thii.

Is kaamyaab koushish per meri daad aur mubaarakbaa qubool keejiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Wed May 18, 2005 2:00 pm
by Star Mind
tahira Masood wrote:mashallah

bohat khoob

girah tau khoob lagaaee hai

hamaari teraF se tau daad Haazir hai

ab dekheN ustaad kaya kehte heN

MoHtarama Tahira aapaa , aadaab :)

Ghazal ki pasandeedgee keleye aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN :) bahut bahut sahukriya :)

moKhliS: Zia Baloch :-)

Posted: Fri May 20, 2005 1:01 pm
by Star Mind
Mahtab Qadr wrote:Zia sahib aap ki ghazal bahut pasand aai mashallah mushkil zameen maiN achay sher nikaale haiN aapne.
khas taur par ye teen sher bahut achay haiN

tum ko socheN yaa tumheN dekhaa kareN ?
"tum hi batlaao k ab ham kyaa kareN ?"


kon samjheygaa nigaahoN kii zabaaN ?
kis ko dekheN aap gar pardah kareN ?


dushmanoN kaa bhi pataa chal jaaye gaa !
aao aapas maiN koii jhagRhaa kareN !

shukria
Mahtab Qadr
moHtaram janaab Sarfaraz SaaHib,
ta'Kheer keleye ma'zirat-Khwaah hoN , umeed hai k dar guzar farmaayeNge :)

aap ne jis taraH se meeri HoSla-afzaaii kii hai , yaqeen jaaneye mera zauq aur bhi jawaaN hogayaa hai , nehaayat mamnoon hoN :)

moKhliS: Zia Baloch

Posted: Wed May 25, 2005 10:16 pm
by Star Mind
zaamin wrote:mohtaram zia saheb:

bahut khoobsoorat pesh ki hai aur is furtii ke saath;idhar to ham abhii girah ke misra leke hi baithe hain

merii aur se daad haazir hai

zaamin
moHtaram janaab Zaamin SaaHib, aadaab :)

Ghazal ki pazeeraaye keleye tah-e-dil se mamnoon hoN , shukriyaa qabool kejeye ! shukriyaa

moKhliS : Zia Baloch :-)

Posted: Wed May 25, 2005 10:19 pm
by Star Mind
zmufti wrote:zia sahib
aap ki ghazal achi lagi
meri taraf say daad Qabool kijye
zmufti

moHtarama Zarqaa SaaHiba , aadaab

Ghazal ki pasandeedgee keleye tah-e-dil se mamnoon hoN , bahut bahut shukriyaa !

moKhliS : Zia Baloch :-)

Posted: Sun May 29, 2005 8:43 am
by Star Mind
najma wrote:bohat khoob zia baloch sahib!
waah kya kalam inayat farmaya hay aap ne.
ab agar ziyada ta,reef karooNgii to aap-------pehle ki tarah ab bhi takalluf se kaam leN gay.
lekin haqeeqat to haqeeqat hi hotii hay.
aap ko aap k umdahkalaam par daad dena hi hay, kyuuN -k yeh dad ki sarasar mustahiq hay.
so
dheroN daad qubool kijiye
khair andesh

najma

Najma SaaHiba, ta'Kheer keleye ma'zirat !

nahiN ye aap se kis ne kahaa k maiN takalluf se kaam loNga ? aap khul kar ta'reef kejeye ! hameN wese bhi ...ehem....ehem..shauq hai apni ta'reefeN sun'ne kaa woh bhi bachpan se ! :lol:
aap ko meeri kaavish is qadr pasand aayee hai k sach mere paas shukriya k alfaaz hi nahiN , magar aur keh bhi kyaa sakte haiN , lihaazaa qabool kejeeye ! :wink:

moKhliS : Zia Baloch

Re: :: Aao hamdam aaj ik w'adaa kareN :: Guz#5

Posted: Sun May 29, 2005 8:49 am
by Star Mind
Anmol wrote:
Star Mind wrote:moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :grin:

Tasleemaat. :grin:

shukriyaa :-)


aap log soch rahe hoNge k Zia SaaHib ko aaKhir ho kyaa gayaa hai k safar maiN bhi dhaRaa dhaR GhazleN keh rahe haiN :lol: :lol:

kyaa kareN ? aap hi bataayeN safar maiN tanhaaii ka aur kyaa i'laaj kareN ? :lol: .

:wink: Apne jese kisi aur tanha ko DhoonDiye, jab do tanha mil jayeNge to tanhayi kahiN door chali jayegi. :grin:

jee jee bajaa farmaaya aap ne ......talaash jaari hai :lol:


aaj jaise hi ustaad-e-moHtaram k deye gaye t^araHi misr'a par paRee , foran se paishtar hi Ghazal ka nuzool hogayaa , aur ham chaley aaye aap ki a'dalat maiN us gustaaKh ko paish karne !! :P . ab jo chaaheN aap us k saath sulook kareN ! :lol:

to lejeye Ghazal Haazir hai !!

:: Roman Version ::

1.
aao hamdam aaj ik wa'daa kareN !
i'shq sey aaraai,sh-e-dunyaa kareN ! 8)

:grin:

2.
ban k baadal, pyaar maiN barsaa kareN !
saath mil kar dasht ko daryaa kareN !! :-)

:grin:

3.
qarya qaryaa , koo-ba-koo ghomma kareN !
apne apney Husn kaa charchaa kareN !! 8)

:grin:

4.
kyoN na aye dil koi haNgaamaa kareN ?
kuch nahiN to Hashr hii barpaa kareN !! :twisted:

Bohot khoob. BaRe naik irade heN. :lol: :twisted:

hai na ? wahi to ......wese naik log hamesha naik iraade hi karte haiN :lol:



5.
tum ko socheN yaa tumheN dekhaa kareN ?
"tum hi batlaao k ab ham kyaa kareN ?" :roll:

:wink: :grin:

6.
kon samjheygaa nigaahoN kii zabaaN ? :roll:
kis ko dekheN aap gar pardah kareN ? :evil: :lol:

:-) Bohot khoobsoorat sher hay, is per mujhe apna aik sher yaad aa gaya, ijazat ho to arz karooN?

Gar uTha dooN niqaab chehre se
Hosh meiN aap reh na payeNge :wink:

shukriya janaab ! waah bahut achcha aur qadre Khatarnaak shea'r i'naayat farmaayaa hai aap ne DheroN daad qabool kejeye ! :-)




7.
dushmanoN kaa bhi pataa chal jaaye gaa !
aao aapas maiN koii jhagRhaa kareN ! :twisted:

Very nice one. :-)

shukriya


8.
aaj gulshan ka a'jab andaaz hai !
aaj sab madH-e-ruKh-e-zeebaa kareN ! 8)

Zahir hay madH to ruKh-e-zeba ki hi ho sakti hay. :wink:


to ham ne kab kahaa k ruKh-e-naa-zeeba ki karte haiN ? :evil:



9. aap kyaa jaaneN :Zia: kii be-basee ! :roll:
aap to bas shikwa-e-be-jaa kareN ! :evil: :evil:

chch...kauN heN woh jo aap jese masoom shaks se bejaa giley shikwe karte heN? :evil: Maqta bhi Khoob hay. :-)

wahi to.......par ab nahiN karte ! :wink:


................................................................................

Hasb-e-ma'mool aap ki raaye ka intezaar rahyega !! :wink:
shukriya

Hasb-e-mamool maiNe aap ko Dher sara intizaar karwane k baad apni anmol raye pesh kar hi di hay. Bohot khoobsoorat ghazal hay, aur mujhe behad pasand aayi. :-)

Hasb-e-ma'mool aap ka tabSira nehaayat achcha lagaa ! dil baaGh baaGh howaa ! bahut bahut shukriya ! :-)


moKhliS : Zia Baloch 8)