Page 1 of 1

kuchh iss ada se aaj wo pehlu nasheeN rahey - Jigar

Posted: Thu Dec 30, 2004 3:33 pm
by Mohib
aadaab !!

Jigar ki ek ghazal pesh-e-khidmat hai.

---------------

kuchh iss ada se aaj wo pehlu nasheeN rahey
jab tak hamaray pass rahey ham naheeN rahey

Yaa Rab! kisi ke Raaz-e-mohabbat ki khair ho
Dast-e-junoon rahey na rahey aasteeN rahey

dard-e-gham-e-firaaq ke yeh sakht marhalaay
Hairaan hoon main ke phir bhi tum itnay HaseeN rahey

Allah re chashm-e-yaar ki moajiz bayaniyaan
her ek ko ye gumaaN hai mukhatib hami rahey

jaa aur koii Zabt ki duniya talash kar
ae Ishq ham to ab teray qaabil naheeN rahey

Iss Ishq ki talaafi-e-mafaat dekhnaa
ronay ki HasrataiN haiN, jab Ansoo nahi rahey

Posted: Fri Dec 31, 2004 4:10 am
by rahmed25682
Aadab Mohib sahab

bohat shukriya kay aap nay JIGAR MURADAABADI kee aik khoobsurat ghazal paish kee ... is ghazal ka lutf us waqt do-bala ho jata hay jub is ko ABIDA PERVEEN kee aawaz main suna jaaye...

Khus rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Fri Dec 31, 2004 7:40 am
by Hashmat Usmani
salaam Mohib saaHib,

ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

bahot hii Khoob. aapkii pasand hamaarii pasand hai aur ham aapkii pasand qaabil sataaish hai. yeh Ghazal mujhe bhi bahot hai. shukria share karne ke liye.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat