Page 1 of 1
darvaaza band paa kar vaapas na lauT jaayeN...taazah Ghazal
Posted: Sun May 08, 2005 1:46 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
aapkii Khidmat meN yeh Ghazal le kar Haazir huaa huuN is ummeed e qawii ki saath ki yeh aapkii tab'a-e-naazuk par baar-e-giraaN na hogii. aapkii aaraa kaa shiddat se intezaar rahegaa jo mere liye islaah, masarrat aur Hasalah_afzaaii kaa sabab hogii. shukria.
Hashmat
1.
yeh dastakoN pe dastak detii huii hawaayeN
darvaaza band paa kar vaapa na lauT jaayeN
2.
jangal kii aag ne to ik naKhl bhii na chhoRaa
KhaaboN kaa aashiyaaN ham kis shaaKh par sajaayeN
3.
itnaa bhii kam nahiiN hai Ghurbat kii zindagii meN
jin se bichhaR chuke haiN chehre vo yaad aayeN
4.
nikle to haiN makaaN se baahar, magar yeh Dar hai
chehroN kii bheeR meN ham gum ho ke rah na jaayeN
5.
jitne bhii saanHe the ham par guzar chukeN haiN
apne safar kaa, Yaaro! aHvaal kiaa sunaayeN
6.
itraate phir rahe haiN jo dosh par hawaa ke
tinke vo aasmaN ko chhoo kar zaraa dikhaayeN!
7.
mil jaaye qarz, "Sai'hbaa!" ham ko agar kahiiN se
chhoTaa saa ik makaaN ham is shahr meN banaayeN
Bahut khoob waah waah
Posted: Sun May 08, 2005 3:21 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami SaiHbaa Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapkii taazah ghazal ke saare ke saare ashAar bahut pasand aaye. Khaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Nazir.
Posted: Sun May 08, 2005 6:16 am
by Sarwar A. Raz
muHibbee Hashmat "Sai'hbaa" SaaHeb: aadaab!
aap kee Ghazal dekh` kar bohat Khushee huyee. zameen aur beHr donoN hee shiguftah haiN aur aap ne achh`e asha'ar nikaale haiN! meree daad HaaZ^ir hai. qubool keejiYe.
-----------------------------
1.
yeh dastakoN pe dastak detii huii hawaayeN
darvaaza band paa kar vaapas na lauT jaayeN
waah! Khoob kahaa hai! daad!!
-----------------------------
2.
jangal kii aag ne to ik naKhl bhii na chhoRaa
KhaaboN kaa aashiyaaN ham kis shaaKh par sajaayeN
is she'r ko agar aap ph`ir se dekh` leN to harj naheeN hai. "naKhl" ke ma'nee "paudaa" (plant) ke haiN. is ko :ch`oTe peR: ke liYe bh`ee likh` sakte haiN aur :palm tree: ke liYe bh`ee (isee se :naKhlistaan: banaa hai). mushkil yeh hai keh :paudeh: par aashiyaanah naheeN banaayaa jaa saktaa hai aur :palm tree: kee shaaKheN naheeN hotee haiN! mazeed yeh keh :KhwaaboN ke aashiyaaneh: ke liYe :Khwaabee: daraKht kaafee hai. bh`alaa us ko :aSlee: daraKht kee kyaa Z^aroorat hai? goyaa she'r kaa mat^lab :Ghair-waaZ^eh: ho gayaa hai. yaa maiN Ghalat^ samajh` rahaa hooN?
----------------------------
3.
{itnaa bhii kam nahiiN hai} { Ghurbat kii zindagii meN}
jin se bichhaR chuke haiN chehre vo yaad aayeN
she'r achh`aa hai aur hamaaree zindagee ke alamiyeh ko bayaan kar rahaa hai. {---} meN diYe huwe tukRoN ko :adal-badal: kar ke dekh` leN to harj naheeN hai.
----------------------------------
4.
nikle to haiN makaaN se baahar, magar yeh Dar hai
chehroN kii bheeR meN ham gum ho ke rah na jaayeN
5.
jitne bhii saanHe the ham par guzar chukeN haiN
apne safar kaa, Yaaro! aHvaal kiaa sunaayeN
6.
itraate phir rahe haiN jo dosh par hawaa ke
tinke vo aasmaN ko chhoo kar zaraa dikhaayeN!
7.
mil jaaye qarz, "Sai'hbaa!" ham ko agar kahiiN se
chhoTaa saa ik makaaN ham is shahr meN banaayeN
---------------------------------------
ek kaamyaab Ghazal par mubaarakbaad!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Sun May 08, 2005 2:26 pm
by Star Mind
moHtaram janaab Hashmat U'smaani SaaHib, aadaab
aap ki GhazleN hamesha laa-jawaab hoti haiN , aur qaari ke zihn-o-dil par be-iKhtiyaar chhaa jaati haiN , ye Ghazal bhi aap ki fanni maaharat ka moNh boltaa suboot hai , mujhe tamaam ash'aar hi pasand aaye haiN , is lye kesi aek ko maKhSooS nahiN kar rahaa . meri jaanbi se is behtareen taKhleeq par DheroN daad qabool kejeye . shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Posted: Sun May 08, 2005 6:28 pm
by khozema husaini
mohtaram Hashmat saheb
aadaab
aap ko is khoobsoorat ghazal ke liye dili daad pesh karta hoon qubool farmayeN
Husaini
Re: darvaaza band paa kar vaapas na lauT jaayeN...taazah Gha
Posted: Tue May 31, 2005 9:59 pm
by Anmol
Hashmat Usmani wrote:
1.
2.
jangal kii aag ne to ik naKhl bhii na chhoRaa
KhaaboN kaa aashiyaaN ham kis shaaKh par sajaayeN
5.
jitne bhii saanHe the ham par guzar chukeN haiN
apne safar kaa, Yaaro! aHvaal kiaa sunaayeN
6.
itraate phir rahe haiN jo dosh par hawaa ke
tinke vo aasmaN ko chhoo kar zaraa dikhaayeN!
Adaab,
Hashmat Sahib!
Aap ka kalaam Stanvir mushaira per sunti huN aur pasand aata hay, aur aap ki ye ghazal bhi bohot achi hay, daad qubool kijiye.
Posted: Fri Jun 03, 2005 12:03 am
by irfan abid
Usmani Sb, aadaab!
bhaaii, aap Ghazal post kar ke kahaaN Ghaayab ho gaye? leejiye, merii jaanib se bhii daad hazir hai!
niyaazmand,
Irfan :Abid: