Page 1 of 1

jalvoN se chheR_chhaaR kii jurrat nahiiN rahii<><&g

Posted: Sun May 08, 2005 1:04 pm
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

Khumaar Baarabankawii kii ek bahot hii Khoob_soorat Ghazal nazar_guzaar huii, sochaa aapkii Khidmat emN pesh kartaa chaluuN.

to, Ghazal mulaaHizah farmaaiye:



Khumaar Baarahbankawii


aisaa nahiiN k un se moHabbat nahiiN rahii
jazbaat meN vo pahlii sii shiddat nahiiN rahii

sar meN vo intezaar kaa saudaa nahiiN rahaa
dil par vo dhaRkanoN kii Hukuumat nahiiN rahii

pai'ham tavaaf-e-kuucha-e-jaanaaN ke din gaye
pairoN meN chalne_phirne kii taaqat nahiiN rahii

chehre kii jhurriyoN ne bhayaanak banaa diyaa
aaiinaa dekhne kii bhii himmat nahiiN rahii

kamzorii-e-nigaah ne sanjiidaa kar diya
jalvoN se chheR_chhaaR kii jurrat nahiiN rahii

Allaah jaane maut kahaaN mar gaii, "Khumar!"
ab mujhko zindagii kii zaruurat nahiiN rahii

Posted: Sun May 08, 2005 9:28 pm
by brainheater
asslamualikum


ek khoobsurat ghazal sjare karney ka buhat buhat shukriya

Posted: Sun May 08, 2005 10:18 pm
by najma
bohat umdah intikhaab hay aapka
pasand aya
bohat shukriya
:-)

Posted: Mon May 09, 2005 5:08 am
by little abbasi
SALA/\/\.

BOHAT BOHAT KHOOB JI

ATTIQ ABBASI