Page 1 of 6

lafz "NAZAR/NIGHAA" par ashar

Posted: Tue May 10, 2005 10:26 am
by syed bilal armaan
kafi dinou'n ke badh hazir hua hoon. is hafte ka unwan hai nazar/nighaa .
is unwan par app apne pasandida ashar rawana kijye.

nazar nazar se mila kar sharab pite hain
hum un ko pass bhita kar sharab pite hai...

Posted: Thu May 12, 2005 9:02 am
by najma
is taraf bhi nazar, mire mash,hood!
cheekh,te haiN diloN ke weeraane
najma

"nazar"

Posted: Fri May 13, 2005 4:54 am
by Abdullah Nazir



hijr kii shab jo rahaa silsila-e-vehm o gumaaN

maah o anjum bhii nazar aaye shareeraoN kii TaraH.



Nazir.


Posted: Fri May 13, 2005 5:27 am
by Hashmat Usmani
maiN apne Khowaab se bichhRaa nazar nahiiN aataa
tuu is sadii meN akelaa nazar nahiiN aataa


Wasim Barelvi

Posted: Fri May 13, 2005 6:27 am
by syed bilal armaan
faslaa nazrou'n ka dhoka bhi tou ho sakta hai
woh milye na milye hath badha kar dekho...

Posted: Fri May 13, 2005 7:41 pm
by najma
jo nazar khush-gumaan hotii hay
rooh kii tyarjumaan hotii hay
najma

nazar

Posted: Fri May 13, 2005 11:54 pm
by Abdullah Nazir



raushnii ouRh ke sooraj kii woh soujaataa hei

chaand rehtaa hei kahaaN meri nazar se baahar.



Nazir.


Posted: Sat May 14, 2005 12:01 am
by najma
nazar neechii kii ti haya ban gaee, nazar oonchii ki todua ban gaee
nazar tichii kii to haya ban gaee, nazar pher lii to qazaa ban gaee

Posted: Sat May 14, 2005 1:03 am
by najma
jis samtnazar Daalo, pat,thar hay ya san.naataa
kya khoob huee yaro! is shehr ki barbaadii
najma

Posted: Sat May 14, 2005 8:29 am
by najma
tum ne nazar uThaa ke bhi dekha naheN mujhe
meri nigaah-e-shauq to tum par lagii rahii
najma

Posted: Sat May 14, 2005 4:44 pm
by Hashmat Usmani
nazar meN Dhal ke ubharte haiN dil ke afsane
yeh aur baat hai duniyaa nazar na pahchane


Suufii Ghulaam Mustafa

Posted: Sat May 14, 2005 5:04 pm
by syed bilal armaan
Dekha nahi koi bhi nazar bhar ke mujhe
gaya phir ajj ka bhi din udass kar ke mujhe...

Posted: Sat May 14, 2005 9:43 pm
by najma
hamare dil pe agar-cheh tirii nigaah naheeN
tire siwaa hameN lekin kisi ki chaah naheeN
najma

Posted: Sat May 14, 2005 9:52 pm
by najma
nazar nazar meiN hay ik hashr-e-iztiraab bapaa
ye terii yaad hay, ya aur kuch, khuda jaane
najma

Posted: Sat May 14, 2005 10:32 pm
by najma
teergii ne har nazar se raushnii hi cheen lii
noor barsaata hua ab aaftaab aayaa to kya
bakhsh