Page 1 of 1

Rona Bhee Jo Chhahain....Dr.Hasan Rizvi

Posted: Fri Dec 31, 2004 4:08 am
by rahmed25682
Aadab Dosto..

aaj aap kee khidmat main Dr.Hasan Rizvi(marhoom) kee aik khoobsurat ghazal paish kar raha hooN.
Dr.Hasan Rizvi aik maroof ustaad aur aik umda shayer thay.UnhoN nay Pakistani films kay liye bhee likha aur Ustad Nusrat Fateh Ali Khan aur Madam Noor Jahan nay bhee un kay kalam ko apni khoobsurat aawazoN main dhala. Dr.sahab bohat see kitaaboN kay musannif thay jin main say aik mashHoor kitaab KABHI KITAABON main PHOOL RAKHNA bhee hay..

khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Image

Posted: Fri Dec 31, 2004 8:02 am
by Hashmat Usmani
salaam RaHeel saaHib,

aapne kia hii Khoob Ghazal pesh kii hai, maza aa gayaa. shukria share karne kaa. shaa'ir ka ta'arruf aapne achchhaa kiyaa jo de diyaa kiuNki maiN india se huN is liye Hasan Rizvii saaHib marHoom se waaqif nahiiN thaa magar kalaam paRh kar laga ki yaqeenan mausoof paaye ke shaa'ir the. is Ghazl ko paRh kar mujhe marHoom Akbar Allahabadi kii Ghazal ka yeh she'r yaad aa gayaa:


aaNkheN mujhe talvoN se vo malne nahiiN dete
armaan mire dil kaa nikalne nahiiN dete


aur ustaad Zauq ka yeh she'r:

aaNkheN mirii talvoN se mal jaaye to achchhaa
hai hasrat-e-paa_bos, nikal jaaye to achchhaa


aur aaKhir meN Hasrat Jaipurii ka yeh gaanaa:

yeh zulf agar khul ke bikhar jaaye to achchhaa
is raat kii qismat bhi saNwar jaaye to achchhaa


shukria aapkaa ek baar phir se.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat

Posted: Fri Dec 31, 2004 8:14 pm
by rahmed25682
SARA sahiba aur HASHMAT sahab ...

share kee gayee ghazal pasand karnay ka bay-hadd shukria ... Inshallah aainda bhee apny koshish yehi hogy kay achha aur mayari kalam share kiya jaaye ..

HASHMAT sahab ... is ghazal kay hawalay say mazeed asha'ar denay ka bhee shukria ... :)

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed