Page 1 of 6

Harf-e-"PE" se ash'aar raqam kijiiye...shukria

Posted: Fri May 13, 2005 5:12 am
by Hashmat Usmani
paa-ba-gil sab haiN, rihaaii kii kare tadbiir kaun?
dast-basta shahr meN khole merii zanjiir kaun?


Parveen Shakir

Posted: Fri May 13, 2005 5:23 am
by Hashmat Usmani
paaoN ke zaKhm haiN farsh-e-gul-e-tar hone tak
raah dushvaar hai aaGhaaz-e-safar hone tak


Himaayat Ali "Shaa'ir"

Posted: Fri May 13, 2005 7:40 pm
by najma
phir wohii jalwa sar-e-tuur dikhado inko
aag se khel rahay haiN, to jala do inko
najma

Posted: Sat May 14, 2005 12:59 am
by najma
phir aseeroN meiN nazar aate haiN acaar-e-junooN
aur kuch ooNchii zara deewar-e-zindaaN kijiye
najma

Posted: Sat May 14, 2005 4:41 pm
by Hashmat Usmani
paaraa paaraa huaa pairaahan-e-jaaN
phir mujhe chhoR gaye chaara_garaaN


Sa'eed Raahii

Posted: Sat May 14, 2005 9:38 pm
by najma
pighal gaee hay ghamoN ki jahaaN giraaN sill bhii
hararatoN ka ajab karkhana hay dil bhi
khawar

Posted: Sat May 14, 2005 9:56 pm
by najma
phir kabootar amn ka muxda liye uRne lage
mo.jizah hay phir shikastah aaine juRne lagae
khawar

Posted: Sat May 14, 2005 10:23 pm
by najma
paamaal-e-nashaat aarzueiN or hawas-e-gul
gulshan se abac ham ne ye samaan liya hay
khawar

Posted: Sun May 15, 2005 4:24 am
by Hashmat Usmani
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahiiN
kaisaa baadal hai jiskaa koii saayaa bhii nahiiN


Qateel Shifaaii

Posted: Sun May 15, 2005 10:46 am
by najma
phool sa mukhRa kahaaN se laaooN maiN
dhuul se raahoN ka chehra att gaya
khawar

Posted: Sun May 15, 2005 1:09 pm
by ZeroPoint

phir saavan rut kii pavan chalii tum yaad aaye
phir pattoN kii paazeb bajii tum yaad aaye **

[Nasir Kazmi]


Posted: Sun May 15, 2005 1:57 pm
by najma
panap rahaa hay yahaaN par daroGh-e-hikmat kya?
kisi bhi shakh,s ko ab harf-e-haq ka paas naheeN
bakhsh

Posted: Mon May 16, 2005 2:16 am
by Hashmat Usmani
paas-e-adab meN josh-e-tamannaa liye huye
maiN bhii huuN ek Hubaab meN dariyaa liye huye


AsGhar GonDvii

Posted: Mon May 16, 2005 3:01 am
by najma
pehle to apne dil ki raza jan jaeiyye
phir jo nigaah-e-yar kahay, maan jaiyye

Posted: Mon May 16, 2005 4:55 am
by Hashmat Usmani
pahle to apne dil kii razaa jaan jaaiye
phir jo nigaah-e-yaar kahe maan jaaiye


Qateel Shifaaii