Page 1 of 1
Tarhee Ghazal (Guzarish # 5)..................
Posted: Fri May 13, 2005 4:32 pm
by jawaid badauni
Ghazal
Aap ka ghar hai yeh dil aisa kareN
Har nafas aaya kareN jaya kareN
Qadr kije ya nah kije pyar ki
Iss ko sikkoN meN to nah tola kareN
Shauq se becheN zameer apna magar
Aap saaste meN na yeh sauda kareN
Jo bhi Gham deNge khooshi ban jaayega
Shart yeh hai pyar se baKhsha kareN
Hum bhala kar ke bhi kahlaye boore
"Tum hi batlaao keh ab hum kya kareN"
Yeh zameN kya hai falak hil jayeNge
Bum nihattoN per nah barsaya kareN
Dil ko hai marGhoob "Jawaid" intezar
Oon se kahdo der se aaya kareN
---------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Posted: Fri May 13, 2005 8:50 pm
by Star Mind
moHtaram Jawaid Badauni SaaHib, aadaab :)
umeed hai k aap ka safar mubaarak rahaa hogaa :)
ham aap ko Khush-aamadeed kehte haiN :)
aap ki ye munfarid Ghazal nehaayat pasand aayee , aap ka maKhSooS raNg ki a'kaas Ghazal hai , meeri jaanib se DheroN daad qabool kejeye . shukriya :)
moKhliS : Zia Baloch
Posted: Sat May 14, 2005 8:41 am
by najma
j.badauni sahib!
assalam-o-alaikum
itne haseen aur murass,a kalam par hamari janib se bhar-pur daad qubuul farmaiye, j.badauni sahib!
aap se ek guzarish bhi hay keh ''mushairah''-''kalam-e-sukhanwar'' aur khusoosi taur pe ''afkar-e-nau'' meiN aap jese rah-nimaaoN ki kamii mehsoos kii jatii hay.agar aap apna qeematii waqt yahaaN bhi inayat farmaeiN to ham jese nau-mashqoN ki bhi hausla afzaae hogii.
khair andesh
najma[/quote]
Posted: Sat May 14, 2005 10:03 am
by jawaid badauni
najma wrote:j.badauni sahib!
assalam-o-alaikum
itne haseen aur murass,a kalam par hamari janib se bhar-pur daad qubuul farmaiye, j.badauni sahib!
aap se ek guzarish bhi hay keh ''mushairah''-''kalam-e-sukhanwar'' aur khusoosi taur pe ''afkar-e-nau'' meiN aap jese rah-nimaaoN ki kamii mehsoos kii jatii hay.agar aap apna qeematii waqt yahaaN bhi inayat farmaeiN to ham jese nau-mashqoN ki bhi hausla afzaae hogii.
khair andesh
najma
[/quote]
Najma Sahibah,
Khoosh RaheN
Ghazal bahut sada.O.muKhtasar thee phir bhi aap ne iss qadar pazeeraii farmaii, aapka marhoone minnat hooN.
MaiN Khood tifl-e maktab hooN kisee ki rahnumaii kya karooNga. Waise maiN unn forums meN jata rahta hooN jinka aapne zikr kiya hai.
Aap mujhe J. Badauni ki jagah Jawaid Bhai kah kar muKhatib kareNgee to mereliye ziyada baayis-e masarrat hoga. Deegar sites per bhi Khawateen mujhe isee tarah muKhatiob kartee haiN.
Wassalaam Wa Khair Talab,
Jawaid Badauni
Posted: Sat May 14, 2005 10:06 am
by jawaid badauni
Star Mind wrote:moHtaram Jawaid Badauni SaaHib, aadaab :)
umeed hai k aap ka safar mubaarak rahaa hogaa :)
ham aap ko Khush-aamadeed kehte haiN :)
aap ki ye munfarid Ghazal nehaayat pasand aayee , aap ka maKhSooS raNg ki a'kaas Ghazal hai , meeri jaanib se DheroN daad qabool kejeye . shukriya :)
moKhliS : Zia Baloch
Azeezi Zia Sahab,
Ghazal ki pazeeraii ke liye shukriya. MaiN apni salana ruKhsat ke sabab aap ke sauti Mushaireh meN bhi hissa nahiN le saka tha. Aainda zaroor haziri lagaooNga.
Iss misra-e tarah meN mujhe aap ki Ghazal bhi bahut pasand aaii. Zindabad.
Khair Andesh,
Jawaid Badauni
Bahut khoob waah waah
Posted: Sat May 14, 2005 6:38 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Guzarish No.6 ke TaraHi misreA per aapki ghazal beHad pasand aayii. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN.
Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Nazir.
Re: Bahut khoob waah waah
Posted: Sat May 14, 2005 8:20 pm
by jawaid badauni
MoHtram Abdullah Nazir Sahab, Aadab
Aapka beHad mashkoor hooN. Yeh bahut sada see Ghazal thee magar phir bhi aap ne iss ki pazeeraii farmaii. Shukriya.
Ummid hai aap ke mizaj baKhair hoNge.
Khulooskaar,
Jawaid Badauni
Posted: Sun May 15, 2005 4:12 am
by Hashmat Usmani
salaam moHtaram Jawaid saaHib,
aapkii taraHii Ghazal paRhii aur bahot pasand aayii...masha Allah, sabhii ash'aar achchhe haiN bahot. merii jaanib se ek kaamiiyaab Ghazal par mubaarakbaad qubool kijiiye.
Hashmat
Re: Tarhee Ghazal (Guzarish # 5)..................
Posted: Sun May 15, 2005 5:09 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:jawaid badauni wrote: Ghazal
Aap ka ghar hai yeh dil aisa kareN
Har nafas aaya kareN jaya kareN
Qadr kije ya nah kije pyar ki
Iss ko sikkoN meN to nah tola kareN
Shauq se becheN zameer apna magar
Aap saaste meN na yeh sauda kareN
Jo bhi Gham deNge khooshi ban jaayega
Shart yeh hai pyar se baKhsha kareN
Hum bhala kar ke bhi kahlaye boore
"Tum hi batlaao keh ab hum kya kareN"
Yeh zameN kya hai falak hil jayeNge
Bum nihattoN per nah barsaya kareN
Dil ko hai marGhoob "Jawaid" intezar
Oon se kahdo der se aaya kareN
---------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
salam jawaid saahib,
waah! bohat umdah ghazal likhe hain, sab hi ashaar bohat khoob hain,
Jo bhi Gham deNge khooshi ban jaayega
Shart yeh hai pyar se baKhsha kareN
ye shair bohat ziyada pasand aaya. bohat khoob!
jawaid bhai homepage per apki ghazal zaroor dekhiyega
sara
Sara Bahin Khoosh RaheN
Yeh to bahut hi sada see Ghazal thee. Phir bhi aap ko achchee lagee mujhe bahut Khooshee hoii.
MiaN home page per Ghazal dekh looNga. Shukriya.
Mukhlis
Jawaid
Posted: Sun May 15, 2005 5:18 am
by jawaid badauni
Hashmat Usmani wrote:salaam moHtaram Jawaid saaHib,
aapkii taraHii Ghazal paRhii aur bahot pasand aayii...masha Allah, sabhii ash'aar achchhe haiN bahot. merii jaanib se ek kaamiiyaab Ghazal par mubaarakbaad qubool kijiiye.
Hashmat
MoHtram Hashmat Sahab,
Aapke avtar meN AMU ka logo dekhkar bahut khooshee hoti hai. Abhi char din pahle ki baat hai maiN Aligarh ke station se guzra tha. Main Shatabdee express se Lucknow se Delhi apni flight lene ke liye ja raha tha. Aligarh ka plateform dekha to bahut see yadeN tAAza ho gayeeN. Train wahaN sirf 2 minutes ko rooktee hai iss liye utar nahiN sakaa.
JahaN tak meri Ghazal ka sawal hai yeh to bahut hi sada.o.muKhtasar Ghazal hai. Phir bhi aap ne iss ki pazeeraii ki hai, shukriya.
Khair andesh,
Jawaid Badauni