Page 1 of 1

AIK GHAZAL

Posted: Fri May 13, 2005 6:53 pm
by Waqar Zaidi
GHAZAL


SAB KUCHH BAHA KAR LAY GAYA HAY WAQT KA SAIL E RAWAAN
DIL KA MAKAAN HAY SOKHTA AUR UTH RAHA HAY AB DHUwAAN

BARQ E FALAK NAY DAIKH LI HAY GULSHAN E HASTI KI RAH
AB HO CHUKII haiN gum bahaareN, chaaee HAY har suu KHIZAAN


saya tirii yaadoN ka hay is regzar-e-zeest meiN
har ik QADAM, bas dhoondta hooN tere qadmoN ke nishaan


haiN siskiyaaN hi siskiyaaN, aiy jaan-e-jaaN har har nafas
kis tarah is Gham ki maiN halat karooN tujh se bayaaN


MUDDAT HUI SHEESHA GARAN TO JA CHUKAY HAIN SHEHR SAY
HAN SANG BARI KAY LIYE MAUJOOD haiN KOH E GARAAN

IK ZEHR HAY TANHAAI KA AUR TISHNAGI HAY WASL KI
ab KIA KAROON TOO HI BATA KUCHH, AY MIRI CHASHM E RAWAAN

WAQAR ZAIDI

Posted: Fri May 13, 2005 7:53 pm
by najma
waqar zaidi sahib!
assalam-o-alaikum
aap ki ye khobsoorat ghazal pasandaaee.khoob khayal baandhe haiN aap ne.
sirf chand misr,oN meiN kaheeN laf aagay-peeche ho gaey haiN.shayad typo hay.

dilli daad qubool kijiye
:-)

Posted: Mon May 16, 2005 6:56 am
by little abbasi
SALA/\/\.

WAH WAH AAP KE YE GHAZAL BOHAT ACHI HAI JI.

ATTIQ ABBASI