Page 1 of 2

EK GHAZAL: ye baat alag, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay

Posted: Fri May 13, 2005 8:46 pm
by najma
sathiyo!
adaab
phir ek ghazal ke saath hazir hooN :P

apni aa,raa se nawaziye ga.
asaatizah kiraam se rah-numaee ki darkhaast hay. :-)
khair andesh
najma

ye baat alag, ehd-e-jahaaNgeer naheeN hay
sab kuch hay, magar adl ki zanjeer naheeN hay

aiy dost! mubarak ho tujhaty tark-e-ta,alluq
shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay

hay aaj bhi majboori-e-insaan, mohabbat
ye baat alag, is meiN wo taaseer naheeN hay

haq is pe hay kuch mere bhi mazloom lahuu ka
ye sheh,r faqat aap ki jaageer naheeN hay

zinda ho, to phir zinda ujaaloN ko bhi samjho
dunya ye, faqat kaaGhazi tasweer naheeN hay

insaaN ke liye zehr liye phirta hay inaasN
kya is ke liye koee bhi ta,zeer naheeN hay?

insaaniyat ab sirf kitaboN meiN hay NAJMA!
iblees ka koee bhi inaaN-geer naheeN hay

NAJMA ANSAR NAJMA

Posted: Mon May 16, 2005 12:22 am
by najma
sara_j wrote:najma sahiba,

salaam.

aapki ghazal nazar nawaaz hui aur parh ker bohat mehzooz hui.

poori ghazal lajawaab hai sab ashaar aek se barh ker aek.

dhair saari daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara

sara j sahiba!
apki be-had mamnoon hooN is hausla afzaaee ke liye
sada khish rahiye
:-)

Posted: Mon May 16, 2005 12:45 am
by Hashmat Usmani
---------------------sorry DELETED due to DOUBLE posting-----------------------

Posted: Mon May 16, 2005 12:45 am
by Hashmat Usmani
salaam hamsheerah saaHiba,

aapkii Ghazal to mujhe nazar hii nahiiN aa rahii :( kia karuuN? :(

kia aapne ise "INVISIBLE" mode meN post kii hai ya mujhe ab moTa sa ai'nak lagaanaa paRegaa? lol

Hashmat

Posted: Mon May 16, 2005 12:57 am
by najma
:shock:
herat hay baradaram!
sara j sahiba ne to reply bhi diya hay.
zara chashma hi aur mota laga lijiye ya apna computer badal lijiye
:(

Posted: Mon May 16, 2005 6:27 am
by waqar_masood
Hashmat Usmani wrote:salaam hamsheerah saaHiba,

aapkii Ghazal to mujhe nazar hii nahiiN aa rahii :( kia karuuN? :(

kia aapne ise "INVISIBLE" mode meN post kii hai ya mujhe ab moTa sa ai'nak lagaanaa paRegaa? lol

Hashmat
assalam o alaikum

mein aap ki raye say 101% ittefaq kerta hoon.
:roll: :roll:
wassalam

Posted: Mon May 16, 2005 8:49 am
by zmufti
Najma jee
Ghazal kahan hai
kal se kai bar dekah
dhonde se nahin milli
Aakhir kahan gayii
zarqa

Posted: Mon May 16, 2005 1:24 pm
by naheedv
Dear Najma jee,

aap kee ghazal paRhee aur pasaNd aayee.
aap ne buhat hee hassaas mozoo' par she'r nikaale heN jo ke dil ko choo' gaye.
iss umdah kaavish par daad qubool kijiye!

mukhliS
Naheed

Posted: Fri May 20, 2005 8:24 pm
by zmufti
Najma jee
Aap ki ghazal prhi aur is kay mazameen pasand aaye
masiwa matla kay sabhi sher achay hain matla kay pehlay misray kuch kami hai
mujh`e khaas tor per yeh sher pasand aaya

insaaN ke liye zehr liye phirta hay inaasN
kya is ke liye koee bhi ta,zeer naheeN hay?
regards
zarqa

Re: EK GHAZAK: ye baat laga, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay

Posted: Sat May 21, 2005 12:42 am
by najma
najma wrote:sathiyo!
adaab
phir ek ghazal ke saath hazir hooN :P

apni aa,raa se nawaziye ga.
asaatizah kiraam se rah-numaee ki darkhaast hay. :-)
khair andesh
najma

ye baat Ghalat, ehd-e-jahaaNgeer naheeN hay
sab kuch hay, magar adl ki zanjeer naheeN hay

aiy dost! mubarak ho tujhay tark-e-ta,alluq
shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay

hay aaj bhi majboori-e-insaan, mohabbat
ye baat alag, is meiN wo taaceer naheeN hay

haq is pe hay kuch mere bhi mazloom lahuu ka
ye sheh,r faqat aap ki jaageer naheeN hay

zinda ho, to phir zinda ujaaloN ko bhi samjho
dunya ye, faqat kaaGhazi tasweer naheeN hay

insaaN ke liye zehr liye phirta hay inaaN
kya is ke liye koee bhi ta,zeer naheeN hay?

insaaniyat ab sirf kitaaboN meiN hay NAJMA!
iblees ka koee bhi inaaN-geer naheeN hay

NAJMA ANSAR NAJMA

Posted: Sat May 21, 2005 8:01 am
by Mahtab Qadr
Najma sahiba bahut khoob ghazal hazb e mamool saari ghazal bahut achi hai, magar

haq is pe hay kuch mere bhi mazloom lahuu ka
ye sheh,r faqat aap ki jaageer naheeN hay

ye sher khas taur par bahut pasand aaya.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Sun May 22, 2005 4:27 pm
by waqar_masood
ye baat Ghalat, ehd-e-jahaaNgeer naheeN hay
sab kuch hay, magar adl ki zanjeer naheeN hay

haq is pe hay kuch mere bhi mazloom lahuu ka
ye sheh,r faqat aap ki jaageer naheeN hay

insaaniyat ab sirf kitaboN meiN hay NAJMA!
iblees ka koee bhi inaaN-geer naheeN hay
Assalam o alaikum

buhut khoob najma ji , hamesha ki terah phir ik khubsoorat kalam, parh ker maza a gia , meri janib say daad hazir hay

wassalam

niaz mand
waqar masood

Posted: Sun May 22, 2005 8:17 pm
by irfan abid
najma sahiba, aadaab!

aap kii Ghazal Khuub hai. daad qubuul keejiye! matla kaa pahlaa misra kuchh mubham saa lagaa. aap shaayad kahnaa chaah rahii haiN ki ye daur koii ahd-e-jahaaN.geer :nahiiN hai:. lekin shuruu.a meN :ye baat Ghalat: kahne se matlab ulTaa nikal rahaa hai. yaa maiN Ghalatii par huuN?

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Re: EK GHAZAK: ye baat laga, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay

Posted: Sun May 22, 2005 8:19 pm
by gurya
Aslamu Alikum
kesi hai ap?
ap ki ye ghazal bhi baki sab ghazlon ki tarha bohot he achi thi bohot pasanad ai mughe isi tarha acha acha likhti rahe aur hum sab k sath share karti rahe

aiy dost! mubarak ho tujhaty tark-e-ta,alluq
shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay

Posted: Tue May 24, 2005 2:04 am
by najma
naheedv wrote:Dear Najma jee,

aap kee ghazal paRhee aur pasaNd aayee.
aap ne buhat hee hassaas mozoo' par she'r nikaale heN jo ke dil ko choo' gaye.
iss umdah kaavish par daad qubool kijiye!

mukhliS
Naheed

naheedv sahiba
aadaab
aap ki is qadar pazeeraaee hamare sir aaN khoN par. :-)
hausla afzaaee ke liyebe-had mamnoon haiN ham.
nawazish
:-)