Page 1 of 1

Ghazal: "go aaj Khaak-e-paa ..."

Posted: Sat May 14, 2005 4:09 am
by irfan abid
aadaab, dosto!

aaj ek Ghazal Saghar Siddiqui kii zameen meN pesh kar rahaa huuN. ummeed hai pasand aayegii. hasb-e-saabiq, aap ke taassuraat kaa intizaar rahegaa.

Ghazal

go aaj Khaak-e-paa huuN, mujhe yaad keejiye
mahmaan-e-dil rahaa huuN, mujhe yaad keejiye

karte haiN ek baar to dushman kaa bhii Khayaal
phir maiN to ham.navaa huuN, mujhe yaad keejiye

jis marhale pe aap ne chhoRaa thaa meraa saath
ab bhii vahiiN khaRaa huuN, mujhe yaad keejiye

umr-e-daraaz Dhal gayii, dunyaa badal gayii
maiN raah dekhtaa huuN, mujhe yaad keejiye

apne lahuu se aap kii raaheN sajaaii haiN
chaahat kii intihaa huuN, mujhe yaad keejiye

donoN jahaan chhoR diye aap ke liye
maiN paikar-e-vafaa huuN, mujhe yaad keejiye

jis ne kiyaa thaa aap ko kal Khud se aashnaa
maiN hii vo aainaa huuN, mujhe yaad keejiye

puujaa thaa jaan-o-dil se kabhii aap ne mujhe
:ulfat kaa devtaa: huuN, mujhe yaad keejiye

:Abid: kahiiN hai aaj bhii seene meN aap ke
ye baat jaantaa huuN, mujhe yaad keejiye

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sat May 14, 2005 4:31 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Irfan SaaHeb:aadaab!

aaj hee kaheeN aur maiN ne aap se Zikr kiyaa hai keh koyee nayee Ghazal sunaa,iYe aur idh`ar aayaa to yeh dilkash Ghazal dekh`ne ko milee. is achh`ee kaavish par daad qubool keejiYe. sab hee asha'ar Khoob haiN aur aap ke maKhSooS andaaz ke aa,eenah-daar!

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Re: Ghazal: "go aaj Khaak-e-paa ..."

Posted: Sat May 14, 2005 8:58 am
by najma
irfan abid wrote:aadaab, dosto!

aaj ek Ghazal Saghar Siddiqui kii zameen meN pesh kar rahaa huuN. ummeed hai pasand aayegii. hasb-e-saabiq, aap ke taassuraat kaa intizaar rahegaa.

Ghazal

go aaj Khaak-e-paa huuN, mujhe yaad keejiye
mahmaan-e-dil rahaa huuN, mujhe yaad keejiye

karte haiN ek baar to dushman kaa bhii Khayaal
phir maiN to ham.navaa huuN, mujhe yaad keejiye

jis marhale pe aap ne chhoRaa thaa meraa saath
ab bhii vahiiN khaRaa huuN, mujhe yaad keejiye

umr-e-daraaz Dhal gayii, dunyaa badal gayii
maiN raah dekhtaa huuN, mujhe yaad keejiye

apne lahuu se aap kii raaheN sajaaii haiN
chaahat kii intihaa huuN, mujhe yaad keejiye

donoN jahaan chhoR diye aap ke liye
maiN paikar-e-vafaa huuN, mujhe yaad keejiye

jis ne kiyaa thaa aap ko kal Khud se aashnaa
maiN hii vo aainaa huuN, mujhe yaad keejiye

puujaa thaa jaan-o-dil se kabhii aap ne mujhe
:ulfat kaa devtaa: huuN, mujhe yaad keejiye

:Abid: kahiiN hai aaj bhii seene meN aap ke
ye baat jaantaa huuN, mujhe yaad keejiye

niyaazmand,
Irfan :Abid:


janab irfan abid sahib
assalam-o-alaikum
bohat khoob
itne haseen aur murass,a kalam ke har she,r par hamari janib se bhar-pur daad qubuul farmaiye.

aap se ek guzarish bhi hay keh ''mushairah''-''kalam-e-sukhanwar'' aur khusoosi taur pe ''afkar-e-nau'' meiN aap jese rah-nimaaoN ki kamii mehsoos kii jatii hay.agar aap apna qeematii waqt yahaaN bhi inayat farmaeiN to ham jese nau-mashqoN ki bhi hausla afzaae hogii.
:-)
khair andesh
najma[/quote]

Posted: Mon May 16, 2005 7:11 am
by little abbasi
SALA/\/\.

WAH BOHAT KHOOB GHAZAL HAY JI.

ATTIQ ABBASI

Posted: Fri May 20, 2005 2:56 am
by irfan abid
muhtaram Sarwar Sb, aadaab!

dekhiye aap ke hukm saadir karne se qabl hii us kii taameel ho gayii! :-) daad ke liye behad ahsaan.mand huuN. bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Fri May 20, 2005 3:00 am
by irfan abid
najma sahiba, v'assalaam!

daad aur izzat.afzaaii kaa bahut bahut shukriya! yuuN to maiN na teen meN huuN na terah meN, phir bhii aap kaa hukm sar aaNkhoN par! vaqt aur haalaat jis qadar muhlat deNge, maiN Khidmat meN haazir hotaa rahuuNgaa.

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sun May 22, 2005 8:20 pm
by irfan abid
Attiq Sb, v'assalaam!

Ghazal kii pazeeraii kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sun May 22, 2005 8:22 pm
by irfan abid
Sara sahiba, v'assalaam!

mujhe behad Khushii hai ki ye koshish aap ne pasand farmaayii. daad kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Mon May 23, 2005 6:17 am
by Mahtab Qadr
wah wah Irfan Abid sahib aap ka har sher ghazal ki zameen mai lahlahata huva qari ko mas'hoor kar raha hai. bahut shukria daaad qubool farmaiye.
Mahtab Qadr

Posted: Sun May 29, 2005 10:18 pm
by irfan abid
mukarramee Mahtab Sb, aadaab!

Ghazal kii pazeeraaii ke liye ahsaanmand huuN. meraa pur.Khuluus shukriya qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid