Page 1 of 2
ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
Posted: Mon May 16, 2005 8:00 am
by riaz ahmed saraa
Re: ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
Posted: Mon May 16, 2005 1:21 pm
by naheedv
janaab Riaz saahaab,
waah!!, aap ne buhat hee umdaah ghazal sunaayee hai.
aik khushgawaar havaa ke jhoNke kee maaniNd
kehne kee zaroorat naheeN hai ke aap kee ghazal pasaNd aayee magar phir bhee daad qubool kijiye!
mukhliS
Naheed
Posted: Mon May 16, 2005 5:20 pm
by waqar_masood
assalam o alaikum
wah
wah
riaz sahib
kis kis sheeer ki daad di jayee, janab kamal ker dia aap nay aisee haseen ghazal likh ker..maza aa gia parh ker ...kabhi aap ki awaz mein sunnay ko milay to lutf dobalaa ho jayee...is khubsoorat takhleeq per meri janib say daad hazir hay.
wassalam
waqar masood
Posted: Mon May 16, 2005 8:06 pm
by zmufti
Riaz sahib,
Aap ki ghazal buhat pasand aayii
share karnay ka shukria
zmufti
Posted: Mon May 16, 2005 9:45 pm
by Mahtab Qadr
khoob riaz sahib , ghazal apne riwayati manoN mai ubhar kar samne aai hai. balke in mauzuaat ko tark kardia jaye to ghazal ka sara maza hi jaata rahta hai. aap ke tamam sher khoobsurat kalioN pholon jaise lagay mahtaab o aaftaab ki tashbeehat bhi pasand aiN.
shukria
Re: ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
Posted: Thu May 19, 2005 5:21 am
by riaz ahmed saraa
naheedv wrote:
janaab Riaz saahaab,
waah!!, aap ne buhat hee umdaah ghazal sunaayee hai.
aik khushgawaar havaa ke jhoNke kee maaniNd
kehne kee zaroorat naheeN hai ke aap kee ghazal pasaNd aayee magar phir bhee daad qubool kijiye!
mukhliS
Naheed
Naheed saHiba
aadaab
aap ne is ghazal ko paRha aur saraah meiN aap kaa beHad mamnoon huN ummeed hai aaiNda bhi Hosala afzaaii farmaati rahaiN gi
hamaisah khuh rahaiN
niaz maNd
riaz
Re: ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
Posted: Thu May 19, 2005 5:52 am
by little abbasi
SALA/\/\.
WAH WAH BOHAT ACHI GHAZAL HAY SHARE KARNAY KA SHUKRIYA.
ATTIQ ABBASI
Re: ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
Posted: Fri May 20, 2005 2:48 pm
by riaz ahmed saraa
Naheed saHiba
aadaab
aap ne is ghazal ko paRha aur saraah meiN aap kaa beHad mamnoon huN ummeed hai aaiNda bhi Hosala afzaaii farmaati rahaiN gi
hamaisah khuh rahaiN
niaz maNd
Posted: Mon May 23, 2005 5:25 am
by riaz ahmed saraa
waqar_masood wrote:assalam o alaikum
wah
wah
riaz sahib
kis kis sheeer ki daad di jayee, janab kamal ker dia aap nay aisee haseen ghazal likh ker..maza aa gia parh ker ...kabhi aap ki awaz mein sunnay ko milay to lutf dobalaa ho jayee...is khubsoorat takhleeq per meri janib say daad hazir hay.
wassalam
waqar masood
Waqaar Masood saHib
aadaab
janaab meiN aap kaa beHad mamnoon huN ka aap ne mairy ghazl ko paRha aur ise saraaha
ji kabhi aap ko zaroor sunaa'eeN ge apni aavaaz meiN pata naheeN avaaza bardaasht ho sake yaa naheeN aap se
bohat shukria is pazeeraai kaa
niaz maNd
riaz
Posted: Mon May 23, 2005 5:40 am
by riaz ahmed saraa
zmufti wrote:Riaz sahib,
Aap ki ghazal buhat pasand aayii
share karnay ka shukria
zmufti
Zarqa saHiba
aadaab
beHad mamnoon huN k aap ne ghazl ko paRha aur ise pasaNd faramaaya
umeed hai aaiNda bhi hosala afzaaii farmati rahaiN gi
bohat navaazish
riaz
Posted: Tue May 24, 2005 5:16 am
by riaz ahmed saraa
Mahtab Qadr wrote:khoob riaz sahib , ghazal apne riwayati manoN mai ubhar kar samne aai hai. balke in mauzuaat ko tark kardia jaye to ghazal ka sara maza hi jaata rahta hai. aap ke tamam sher khoobsurat kalioN pholon jaise lagay mahtaab o aaftaab ki tashbeehat bhi pasand aiN.
shukria
Janab-e-Mahtab Qadr saHib !
aadaab arz jao
jabaab beHad mamnoon huN k aap ne mairy kavish ko paRha aur ise saraaha.
aap ke alfaaz marie lli'ae bohat baRaa a'zaaz hai
niaz mand
riaz
Aapki ghazal pasand aayi
Posted: Tue May 24, 2005 2:56 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami Riaz Ahmed Sara Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi lekin uske ashAar apni nazar se dekhkar un per tabsirah karne kii jasaarat karrahaa hooN jis se aapka muttafiq hounaa zaroori nahiN hei.
ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
jab hathaili pe usay cheraa tikaa'ae daikhaa
MaTlaA bahut khoob hei lekin mujhe aapki tashbeeh ghair manoos maloom houi. Aap kii tashbeeh se yeh zaahir hourahaa hei ke aap hatheili ko mehtaab aur chere ko khursheed se tashbeeh de rahe heiN.
ham ne daikhe haiN gale milte hu'ae shaam-o-saHar
jab HaseeN rukh pe usey zulf giraa'ae daikhaa
Bahut hii achcha sheAr hei. Waah waah.
jis ne ik baar bhi daikhe haiN woh aaNkhaiN- usko
umr bhar HairtaiN aaNkhooN meiN basaa'ae daikhaa
pahle misreA meiN jis ne ik baar bhi dekhi heiN hounaa chaahiye kiyooNkeh lafz "ne" ka isteAmal is qaaAide kii paabandi ko laazim qaraar detaa hei agar faa'Ail mufrad hou tou "dekhii" saheeh hei. Waise sheAr achcha hei.
us ke hooNtooN pe jo halkaa saa tabasum THeraa
phool kaliooN ko bhi kashkool baRhaa'ae dikhaa
SheAr bahut achcha hei.
jis se do bool kahe us ne moHabbat ke riaz
usko sab raNj-o-alam, dard bhulaa'ae daikhaa
Aapke maqTeA ke pahle misreA meiN "jis se" kii bajaaye "jis ne" hou tou misraA barabar houjayega
lekin ibaarat ko vaazeh karne ke liye us misreA ko yooN karnaa paRega: "jis ne do boul muHabbat ke kahe dil se Riaz". Is TaraH maqteA kaa mafhoom bhii samajh meiN aajaega. Doosre misreA meiN ranj-o-alam, dard meiN "aur" yaa Harf-e-Atf kii kami meHsoos hourahi hei. isko yooN kardeN to ibaarat vaazeh houjayegi"usko sab ranj o gham o dard bhulaaye dekhaa
Aakhir meiN aapki is bahut hii dilkash ghazal per mubaarakbaad pesh kartaa hooN. Meri dili daad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
Posted: Fri May 27, 2005 3:26 am
by riaz ahmed saraa
sara_j wrote:
riaz saahib,
salaam.
bohat khoob! bohat hi khoob!
aapki ghazal bohat pasand aayi, haseen khayalaat ko bohat hi haseen alfaaz mein qalamband kiye hain.
baRi muddat baad aek haseen tehreer paRhi dil khush hua.
daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
Sara saHbiba
aadaab
aap kaa bohat shukr guzaar huN k aap ne mairy kaavish ko paRha aur ise saraa
ghazal ki pasaNdeedagi par bhi bohat mamnoon huN
hamaisha khuh rahain
riaz
Posted: Sat May 28, 2005 5:36 am
by jawaid badauni
Riaz Sb.,
Nihayat murassa Ghazal per meri janib se mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis,
Jawaid Badauni
Re: ham ne mehtaab ko khursheed uthaa'e dikhaa
Posted: Mon May 30, 2005 4:00 am
by riaz ahmed saraa
little abbasi wrote:
SALA/\/\.
WAH WAH BOHAT ACHI GHAZAL HAY SHARE KARNAY KA SHUKRIYA.
ATTIQ ABBASI
Attiq Abbasi saHib
aadaab
janaab mamnoon huN k aap ne ghazal ko paRha aur ise apni raa'ae se navaaza.
ummeed hai k aaNida bhi Hosala afzaaii farmaate rahaiN ge
niaz mand
riaz