Page 1 of 5

Lafz par Ashaar#10--"ARZOO "

Posted: Fri May 20, 2005 1:54 pm
by syed bilal armaan
assalam walekum
is se qabl app ne hasb-e-zail unwanaat par apne pasandida ashar likh chuke hain.
LAHU , MUQADAR , SHABNAM , IBADATH ,BARISH , ZAKHAM , MAUSAM , RAAT /SHAB , NAZAR / NIGHAA ...
aur ab pesh hai is martaba ka lafz "ARZOO".app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhein. (-BILAL)


arzoo-e-hazar rakhte hain
tou bhi hum dil ko maar rakhte hain...

Posted: Fri May 20, 2005 8:38 pm
by zmufti
kabhi kabhi aarzoo k sehra men aa k ruktay hain qaaflay se
woh saari baatien lagao ki si woh sarey unwan wisal k se

Posted: Fri May 20, 2005 9:28 pm
by najma
aarzoo hay, saamne tujhko biThaa kar dekh leiN
apni dunyaa, teri dunya par luTaa kar dekh leiN
najma

Posted: Sat May 21, 2005 6:36 am
by Hashmat Usmani
maiN aarzuu-e-jaaN likhuuN yaa jaan-e-aarzuu
tuu hii bataa de naaz se, iimaan-e-aarzuu!


AKhtar Shiraanii

Posted: Sat May 21, 2005 6:54 am
by Hashmat Usmani
aarzuu hai vafaa kare koii
jii na chaahe to kia kare koii


DaaGh Dehlavii

Posted: Sat May 21, 2005 8:44 am
by najma
aarzoo ka fasanah kaun sune
aarzoo be-zabaan hotii hay
najma

Posted: Sat May 21, 2005 9:47 pm
by najma
ham-nasheeN! mujhko fareb-e-aarzoo khaane bhi de
merii hastii par junooN ko rehm farmaane bhi de
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun May 22, 2005 5:20 am
by Hashmat Usmani
yeh aarzuu hii rahii koii aarzuu karte
Khud apnii aag meN jalte, jigar lahuu karte


Himaayat Ali "Shaayar"

Posted: Sun May 22, 2005 5:30 am
by ZeroPoint

aarazuu hai vafaa kare ko_ii
jii na chaahe to kyaa kare ko_ii

(DaaGh Dehlvi)


Posted: Sun May 22, 2005 8:24 am
by najma
uTh rahaa hay khana-e-dil se dhuwaaN
bujh gaya shayad charaaGh-e-aarzoo

nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun May 22, 2005 11:08 am
by syed bilal armaan
baithe rahe chup chaap ham parda nasheeN ke paas
Musa ki taraH dekhne ki aarzu na ki...

Posted: Sun May 22, 2005 11:11 am
by najma
kitnii hii aarzooeiN, lahuu ho ke reh gaeeN
jazb-e-wafaa ke qaafila-saalaar ke liye
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun May 22, 2005 6:35 pm
by najma
mire dil kidhakanoN meiN tira naam aagayaa hay
mujhe aarzoo thi siki, wo muqaam aagayaa hay

"aarzoo"

Posted: Mon May 23, 2005 11:31 am
by Abdullah Nazir



aarzoo dil kii nah rou roukar kahiN dam touRde

chup nah houjaayeN kahiN pardeh ke andur chooRiyaaN.



Nazir.


Posted: Mon May 23, 2005 1:33 pm
by syed bilal armaan
mujhe yeh Dar hai teri aarzoo na mit jaye
bohat dinoN se tabiat meri udaas naheeN...