Page 1 of 9
Harf e tay se ashaar
Posted: Sat May 21, 2005 8:12 am
by Mahtab Qadr
Harf e tay se ashaar ka silsila shuroo kar raha hoN umeed ke aap bhi shareek hoNge
lijye sara sahiba ne joun alia ki ghazal asatiza ki shayeri mai pesh ki aur mujhe tay se sher mil gaya.. jaun alia ka sher hai.
thoka hai khoon mai ne hamesha mazaaq mai
mera mazaaq aap hameshaa urhaai ye
shukria
Posted: Sat May 21, 2005 8:30 am
by zmufti
tujh ko kitnon ka laho chahiye aye arz-e-watan
jo tere aariz-e-bay rang ko gulnar karen
Posted: Sat May 21, 2005 8:35 am
by najma
zmufti wrote:tujh ko kitnon ka laho chahiye aye arz-e-watan
jo tere aariz-e-bay rang ko gulnar karen
bohat khoob zara!
waaah
acha she,r hay
ta,assubaat ka khush-rang ik labaadah laga
maiN kya kahooN , ke mujhe to mizaj-e-ehl-e-nazar
khawar
Posted: Sat May 21, 2005 6:59 pm
by zmufti
tere jamal say har subah par wazoo lazim
har aik shab tere dar par sajood ki paband
Posted: Sat May 21, 2005 7:02 pm
by najma
tamaam shab mire teemaar-daar baiThe rahay
huee na ek dua bhi girao kushaa mujhko
khawar
Posted: Sun May 22, 2005 6:55 am
by Mahtab Qadr
tadbeer ke dast e zarreiN se taqdeer numaayaN hoti hai
Allah karam farmaata hai jab koshish e insaaN hoti hai.
Posted: Sun May 22, 2005 6:59 am
by Mahtab Qadr
tum ne to thak ke dasht mai khaimay lagaa liye
tanhaa katay kisi ka safar tum ko is se kiya
PARVEEN SHAKIR
Posted: Sun May 22, 2005 8:23 am
by najma
teh meiNutar gaey haiN ehsaas-e-bartarii se
ma,moora-e-anaa meiN dekhe haiN log wo bhii
khawar
Posted: Sun May 22, 2005 6:31 pm
by najma
tuu hi bataa! keh tera diwaana kahaaN jaey?
rah-e-wafa meiN soorat-e-deewaar jab hoN Gham
Posted: Mon May 23, 2005 10:18 pm
by najma
chehrah gulaab, aur ye aaNkheN, kanwal kahooN
tujhko Ghazal kahooN, keh maiN jaan-e-Ghazal kahooN
najma
Posted: Tue May 24, 2005 4:14 am
by najma
tasweer tirii dil mira behlaa na sakegii
ye terii tarah mujh se to sharmaa na sake gii
Posted: Tue May 24, 2005 4:17 am
by zmufti
teri mehfil bhi gayi chahnay waley bhi gaye
shab ki aahieN bhi gayieN subah kay naalay bhi gaye
Posted: Tue May 24, 2005 4:17 am
by Hashmat Usmani
taasiir-e-chashm-e-tar na dikhaa duuN to baat kia
unko bhii ek din na rulaa duuN to baat kia
Shamim Jaipuri
Posted: Tue May 24, 2005 4:19 am
by najma
tuu jo naheeN hay to kuch bhi naheeN hay
ye mana keh mehfil jawaaN hay haseeN hay
Posted: Tue May 24, 2005 4:38 am
by Hashmat Usmani
tamhiid-e-sitam aur hai, takmiil-e-jafaa aur
chakhne kaa maza aur hai, piine kaa maza aur
Shakeel Badaayuunii