aik gahzal
Posted: Sat May 21, 2005 6:15 pm
dooston jis behr main naheed shiba nay ghazal tahreer ki hay main nay bhi us behr main aik ghazal likhi thi paish karnay ki jisarat kar raha hoon
rizwan
rizwan
Aek aatishfishaaN khud meiN khoulaa huaa dekhnaa
Barf kaise phghalne lagii kyaa houaa dekhna[qipte]
SheAr bahut achchaa hei lekin bahut se aHbab ko barf kii talmeeH samajhne meiN diqqat pesh aasakti hei.
Aise manzar kii Aadi nigaahoN ko kiyunkar houaa
Aek khwaab-e-giraaN tujhko jaataa houaa dekhnaa
Is sheAr ke pahle misreA meiN Aadi kii bajaye Aadat kaa lafz munaasib hei aur doosre misreA meiN taAqeed hei.. Housaktaa hei sheAr ka vazn barabar rakhne meiN yeh taAqeed paidaa houii hei. (aek khwaab-e-giraaN tujhko jaataa houaa dekhna) ke kyaa mani nikaale jaasakte heiN? Housaktaa hei ke agar ham is misreA ko yooN kardeN tou koii baat bane: (aek khwaab-e-giraaN tuhko jaate houe dekhnaa) wagarnah vazeh ibaarat tou yooN hei ke
(tujhko jaate same aek khwwab-e-giraaN dekhnaa)
Kitni purshour thii rehguzar, kitne chup chaap ham
Bas kii khiRkii se ik haath hiltaa houaa dekhnaa
Agar doosre misreA meiN aap kisi se yeh kehnaa chaahte heiN "bas kiii khiRkii se ek haath hiltaa houaa dekhnaa (dekhnaa bamani dekho) to durust hei. SheAr bahut achchaa hei.
Phir palaT bhii sake yaa nahiN kisko maAloom hei
Shaam kii jhaTpate meiN ravaanah hawaa dekhnaa
SheAr bahut achchaa hei. Doosre misreA meiN agar aap "kii" kii bajaye ke kardeN tou ziyaadah munaasib hei. (mera maqsad hei shaam ke jhaTpaTe meiN).
Jiska unwaan koii nahiN naam koii nahiN
Ik wo lamHah zamaanaoN per phailaa houaa dekhnaa
Waah waah bahut hii dilkash sheAr hei lekin vazn ke liHaaz se doosre misreA meiN lafz "per" kii jagah "pah" munaasib hei.
Raas aayi kab hameN qurb kii koii soorat
Kab moyassar houaa vasl houtaa houaa dekhnaa
Pahla misraA beHr se khaarij hei. Usko yooN kiyaa jaasaktaa hei: "raas aayi kahaaN qurb kii koii soorat hameN". Waise doosre misreA ke maAni bhii vaazeH nahiN. (apnaa vasl yaa kisi aur kaa vasl dekhnaa moyassar nahiN houaa)?
Jaane kitne zamaanoN se dil barf kii sil houaa
Ab ragaoN meiN faqt paani behtaa houaa dekhnaa.
Rizwan jee,Dawood_Rizwan wrote:dooston jis behr main naheed shiba nay ghazal tahreer ki hay main nay bhi us behr main aik ghazal likhi thi paish karnay ki jisarat kar raha hoon
rizwan