Nah cher unke tassawur meiN aye bahar mujhe (tarahi ghazal)
Posted: Wed May 25, 2005 7:10 am
1. "nah ch`eR un ke taSawwur meN ai bahaar mujh`e"
kissi ki yaad mein rehney day bay qarar mujh`e
2. rahaa nah yaad mah-o-saal kaa shumaar mujh`e
huwaa jo i'shq meN laaHaq yeh intiz^aar mujh`e
3. hawaa nah de mire shauq-e-wafaa ko yooN hamdam
nah kar de Hasrat-e-dil ph`ir gunaahgaar mujh`e
4. jab a'ks dh`undh huwe kis liYe yeh laayaa hai?
chaman meN kh`eeNch ke ph`ir Husn-e-naubahaar mujh`e
5. tiraa naSeeb, Gham-e-dil! kabh`ee to jaage gaa
abh`ee to rehne de Hasrat kaa too shikaar mujh`e
6. anaa huyee th`ee muHabbat kee kyoN Hareef bh`alaa?
kiyaa shikast-e-anaa ne hai sogawaar mujh`e
7. nah jaa,ooN gee kabhee dunyaa-e-Khwaab meN :Zarqa:
nah aaYe gaa kisee wa'deh pah e'tibaar mujh`e