Kijiye zulm woh mujhper keh mujhe yaad rahe....
Posted: Sat May 28, 2005 8:18 am
Azeezan-e Gramee! Tasleemat.
"Urdu Duniya" ke pahle mahana tarhee Mushaireh ke liye lamhoN meN ek sada see Ghazal kahi thee. Aaj azeezi Zia Sahab ki Ghazal dekh kar khyaal aaya kyooN na maiN bhi apni Ghazal Urdubandhan waloN ki nazr karooN. Ummid hai apne graNqadr tabsare se nawazewNge.
Niyazmand,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
G H A Z A L
MiTne wale ki doa hai woh sadaa shaad rahe
Jis ne barbaad kiya hai mujhe aabaad rahe
Umr guzree hai aseeri ke azaaboN men sadaa
Yoon to kahne ko hamesha hi hum aazaad rahe
Hafiza mera hai kamzor bhoola deta hooN
"Kijiye zulm woh mujhper keh mujhe yaad rahe"
FaKhr se paaooN dabaate they jo ustadoN ke
Ab woh shaagird haiN baaqi nah woh ustaad rahe
Meri khaamoshi ko kamzori samajhne waale!
MaiN bhi rakhta hooN zubaN monh meN tujhe yaad rahe
Jaam Takrake yeh maiKhwaroN ne maangee hai doa
Hum raheN ya nah raheN maikada aabaad rahe
Aaj :Jawaid: kahaN aisa koii ahl-e junooN
Apni SheeriN ke liye banke jo Farhaad rahe