::zaraa ik nigaah-e-karam dosto ! ::-)
Posted: Sun May 29, 2005 7:16 am
Yaraan-e-meHfil , aadaab :)
Khilaaf-e-ma'mool , aaj maiN aek moKhataSar waqfe k baa'd apnee nayee Ghazal paish karnaa chaahoNga . is ka sabab Anmol SaaHiba ki Haaliyaa Ghazal:-
("hooN har soo ranj-o-alam dosto
kahaaN jaa k chhup jaayeN ham dosto ?")
hai ! ye Ghazal usee zameen maiN hai..lihaazaa maiN ise Anmol SaaHiba k naam kartaa hoN , jin ki wajh se itnee achchi Ghazal taKhleeq hogayee . ummed hai ye sitam aap seh leNge ! is ka ye matlab nahiN k ab maiN har taKhleeq se muta'ccir ho k pay dar pay GhazleN post karoNga ! bas ye sitam bardasht karlejye kyoN k LOHAA abhi garm hai ! moqa' bhi hai , dastoor bhi !
to lejeye Ghazal Haazir-e-Khidmat hai ! :D
:: Urdu Version ::
:: Roman Version ::
1.
chalo aaj koo-e-Sanam dosto !
waheeN par hai baaGh-e-iram dosto ! :D
2.
chalo soo-e-maqtal chaleN shaan se !
qadam se milaa kar qadam dosto ! 8)
3.
kareN ham koii daastaan-e-junooN !
jigar k lahoo se raqam dosto ! 8)
4.
zameeroN ka suada howaa hai yahaaN !
kahaaN hai faqeeh-e-Haram dosto ?
5.
jalaado darindoN k maskan sabhii !
saho ab na koii sitam dosto ! :)
6.
ham apne a'zeezoN ko DhoNRheN kidhar ?
kahaaN hai ye mulk-e-a'dam dosto ? :?
7.
fizaa-e-bayaabaaN ne dii hai Khabar
koii Qais legaa janam dosto ! :D
8.
zamaane ko neechaa dikhaana hai ab
moHabbat ka thaamo a'lam dosto ! 8)
aur ab maqt^a' shareef
9.
maSaai`b maiN kab se ghiraa hai :Zia:
zaraa ik nigaah-e-karam dosto ! :D
............................................................................................
Hasb-e-ma'mool aap ki qeemati aaraa ka intezaar rahyegaa ! shukriya
moKhliS : Zia Baloch