Page 1 of 17
sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Posted: Mon May 30, 2005 10:47 pm
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
ab waqt aa gaya hai ki ham sabaq_aamoz ash'aar qalam_band karne ka silsila shur'u kareN...to she'r 'arz hai:
phool kii patti se kaT sakte hai heere kaa jigar
mard e naadaaN par kalaam e narm o naazuk be_asar
'allaamah Iqbaal
Posted: Tue May 31, 2005 12:22 am
by najma
baiTho gay gar aag ke paas jaa kar
uThogay tum ik roz kapRe jala kar
ye manaa keh kapRe bachaatee rahay tum
magar seNk to roz khaate rahay tum
Posted: Tue May 31, 2005 10:16 pm
by Anmol
Adaab,
Aaj pehli bar is forum meiN ayi huN, acha silsila hay. Aik sawaal kar sakti huN? kya sabaq'amooz ashaar apne zaati bhi ho sakte heN?
Lijiye meri taraf se sher,
Baatin meiN ubhar, kar zabt-e-fugaaN, le apni nazar se kaar-e-zabaaN
Dil josh meiN laa, faryaad na kar, taaseer dikhaa, taqreer na kar
(Akbar Allahabadi)
Posted: Tue May 31, 2005 10:48 pm
by najma
Anmol wrote:Adaab,
Aaj pehli bar is forum meiN ayi huN, acha silsila hay. Aik sawaal kar sakti huN? kya sabaq'amooz ashaar apne zaati bhi ho sakte heN?
Lijiye meri taraf se sher,
Baatin meiN ubhar, kar zabt-e-fugaaN, le apni nazar se kaar-e-zabaaN
Dil josh meiN laa, faryaad na kar, taaseer dikhaa, taqreer na kar
(Akbar Allahabadi)
khush amde anmol!
masarrat huee apko yahaaN dekh kar.yaqeen hay keh aap aainda bhi baqaaidagii se hamare saath apni is bazm meiN shareekraheNgii.
aap anjuman meiN apne ash,aar bhi de saktii haiN.
jawaan apna, jawano! ye walwalalah rakhna
diyaa, diye se jalaane ka silsilah rakhna
najma
Posted: Tue May 31, 2005 11:55 pm
by Anmol
Shukria!
Acha to phir apne ashaar sunati huN.
Arz kia hay,
Kisi baat per to qanaa'at kare
Bashar kyooN hamesha shikaayat kare
Usey yaad rakho jo mohsin bane
Bhula do usey jo adaawat kare
(by AnmoL)

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:00 am
by najma
bohat khoob anmol
waaah
chehroN pe aziizoN ke hay leh,r raqabat kii
apne na hoN jab apne, kya faaida rishtoN se
khawar
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:23 am
by Hashmat Usmani
yuN to Saiyad bhii ho, Mirzaa bhii ho, AfGhaan bhii ho
tum sabhii kuchh ho bataao ki musalmaan bhii ho
'allaamah Iqbaal
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:29 am
by najma
umeed-o-beem meiN kab tak rahegaa qaid shu,oor
karo bhi khatm ye jhagRaa bas ab, khudaa ke liye
khawar
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:38 am
by Anmol
Dard-e-dil ke waaste peda kia insaan ko
Warna ataa'at ke liye kum na they karr-o-bayaaN
(Allama Iqbal)
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:44 am
by Hashmat Usmani
yahaaN kotaahii-e-zauq-e-'amal hai Khud giraftaarii
jahaaN baazoo simaTte haiN, vahiiN saiyaad hotaa hai
AsGhae GoNDvii
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:45 am
by Anmol
Khudi ko kar buland itna k har taqdeer se pehle
Khuda bande se Khud pooche, bataa teri raza kya hay?
(IQBAL)
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:46 am
by najma
tirii raahoN meiN aaeiN gay masaaib bhi, hawadic bhi
zara daaman bacha kar in shararoN se guzar jaanaa
najma
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:48 am
by Anmol
NahiN tera nasheman qadr-e-sultani ke guNbad per
Tu shaheen hay, basera kar pahaaRoN ki chaTaanoN meiN
(IQBAL)
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:52 am
by Hashmat Usmani
nazar ko Khairah kartii hai chamak tahzeeb-e-Haazir kii
yeh sannaa'ii magar jhooTe nagoN kii reza_kaarii hai
'allaamah Iqbaal
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:53 am
by najma
yehii hay shart, keh ponhcho khalaaoN meiN jab tum
watan ki khaak se apna muaamlah rakhnaa
najma