Page 1 of 1

Ek Pyaam....Sara ke naam...........

Posted: Sat Jan 01, 2005 4:16 pm
by jawaid badauni

Thee talaash-e rahe adab "Sara"

"Urdubandhan" tak aa gaya "Jawaid"

KheeNch laayee gul-e sukhan ki mahik

Tere gulshan tak aa gaya "Jawaid "



Jawaid Badauni




Membaran ko mera pyar bhara Salaam.

Aapki bazm meN hazir ho gaya hooN ummid hai jald apna leNge.

Shukriya.

Ahqar,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Posted: Sat Jan 01, 2005 4:45 pm
by Shummu
Salaaam Jawaid sahab!

Aap ko yahan dekh kar bahut khushi hui..hum tah-e-dil se aap ka istaqbaal karte hain URDUBANDHAN mein...ummeed hai aap aate rahenge aur aap apne khoobsurat kalaam se hum logon ko mehzooz hone ka mauqa faraham karenge...! :D

~WELCOME ONCE AGAIN~



Talib-e-dua,
Shumaila

Posted: Sat Jan 01, 2005 5:30 pm
by khurram_shaikh
Image


Image


jawaid sahib

Posted: Sat Jan 01, 2005 7:30 pm
by jawaid badauni
Shummu wrote:Salaaam Jawaid sahab!

Aap ko yahan dekh kar bahut khushi hui..hum tah-e-dil se aap ka istaqbaal karte hain URDUBANDHAN mein...ummeed hai aap aate rahenge aur aap apne khoobsurat kalaam se hum logon ko mehzooz hone ka mauqa faraham karenge...! :D

~WELCOME ONCE AGAIN~



Talib-e-dua,
Shumaila
Bahut bahut shukriya. Aapke lab.O.lahje se lagta hai jaise aap mujhe jaante/jaanti haiN shayad.

Mukhlis,

Jawaiod Badauni
Muscat - Oman

Posted: Sat Jan 01, 2005 7:32 pm
by jawaid badauni
khurram_shaikh wrote:Image


Image


jawaid sahib

Pyale khali haiN phir bhi dilkash lagte haiN. Iss khubsurat istaqbal ke liye aapka marhoon-e minnat hooN.

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Posted: Sat Jan 01, 2005 8:12 pm
by Shummu
jawaid badauni wrote:
Shummu wrote:Salaaam Jawaid sahab!

Aap ko yahan dekh kar bahut khushi hui..hum tah-e-dil se aap ka istaqbaal karte hain URDUBANDHAN mein...ummeed hai aap aate rahenge aur aap apne khoobsurat kalaam se hum logon ko mehzooz hone ka mauqa faraham karenge...! :D

~WELCOME ONCE AGAIN~



Talib-e-dua,
Shumaila


Bahut bahut shukriya. Aapke lab.O.lahje se lagta hai jaise aap mujhe jaante/jaanti haiN shayad.

Mukhlis,

Jawaiod Badauni
Muscat - Oman


jee jee hum aap se mukhatib hue the MOHIB jee ki site ALIGARIAN pe....yaad aaya :D

Posted: Sun Jan 02, 2005 1:25 am
by Hashmat Usmani
salaam Jawaid saaHib,

Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman

aaiye, aaiye aur tashreef rakhiiye. aapkaa ham pur-tapaak Khair maqdam karte haiN. ummeed hai ki aapkaa is meHfil meN bitaayaa huaa har lamHa aur har pal Khush-gawaar hogaa. ham aapkii nigaarishaat kaa shiddat se intezaar kareNge. aapkaa namoona-e-kalaam dekh kar talab aur baRh gaii hai. ummeed hai aap hameN apne mazeed kalaam se maHzooz karvaayeNge. shukria.

agar aap hind e shahr "BadaayuuN" se haiN to aap mere paRosii nikle. meraa ta'alluq bhii AligaRh se ek zamaane tak rahaa. maadar e dars_gaah kii abhii bhii bahot yaad aatii hai.

tashreef aavorii kaa ek baar phir se shukria aur Khush-aamded.

faqat muKhlis,

Hashmat

Posted: Sun Jan 02, 2005 3:51 am
by jawaid badauni
Shummu wrote:
jawaid badauni wrote:
Shummu wrote:Salaaam Jawaid sahab!

Aap ko yahan dekh kar bahut khushi hui..hum tah-e-dil se aap ka istaqbaal karte hain URDUBANDHAN mein...ummeed hai aap aate rahenge aur aap apne khoobsurat kalaam se hum logon ko mehzooz hone ka mauqa faraham karenge...! :D

~WELCOME ONCE AGAIN~



Talib-e-dua,
Shumaila


Bahut bahut shukriya. Aapke lab.O.lahje se lagta hai jaise aap mujhe jaante/jaanti haiN shayad.

Mukhlis,

Jawaiod Badauni
Muscat - Oman


jee jee hum aap se mukhatib hue the MOHIB jee ki site ALIGARIAN pe....yaad aaya :D
Ji yaad aaya. To ab hamari aapki khub jamegi yahaN bhii.

Khoosh RaheN

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Re: Ek Pyaam....Sara ke naam...........

Posted: Sun Jan 02, 2005 3:54 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:Jawaid bhai aapke khuloos ne mujhe khushi se ruladiya, aaj mujhe itni khushi Allah ta'ala ne di ke meri dua hai ye khushi aise hi qayem rahe, meri aankhon ke tamaam ansu aise hi phool bane rahe. laakhon shukriya
bhaiyya.

Image
jawaid badauni wrote:
Thee talaash-e rahe adab "Sara"

"Urdubandhan" tak aa gaya "Jawaid"

KheeNch laayee gul-e sukhan ki mahik

Tere gulshan tak aa gaya "Jawaid "



Jawaid Badauni




Membaran ko mera pyar bhara Salaam.

Aapki bazm meN hazir ho gaya hooN ummid hai jald apna leNge.

Shukriya.

Ahqar,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

BahineN hanstee ziyada achchi lagti haiN phir rona kyooN. Allah aap ko hamesha haNsta muskurata rakhe (Aamin).

Shukriya to mujhe kahna chahiye Sara, aap mujhe sahi jagah le aayee haiN.

Ziyada Doa,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Posted: Sun Jan 02, 2005 3:56 am
by jawaid badauni
Hashmat Usmani wrote:salaam Jawaid saaHib,

Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman

aaiye, aaiye aur tashreef rakhiiye. aapkaa ham pur-tapaak Khair maqdam karte haiN. ummeed hai ki aapkaa is meHfil meN bitaayaa huaa har lamHa aur har pal Khush-gawaar hogaa. ham aapkii nigaarishaat kaa shiddat se intezaar kareNge. aapkaa namoona-e-kalaam dekh kar talab aur baRh gaii hai. ummeed hai aap hameN apne mazeed kalaam se maHzooz karvaayeNge. shukria.

agar aap hind e shahr "BadaayuuN" se haiN to aap mere paRosii nikle. meraa ta'alluq bhii AligaRh se ek zamaane tak rahaa. maadar e dars_gaah kii abhii bhii bahot yaad aatii hai.

tashreef aavorii kaa ek baar phir se shukria aur Khush-aamded.

faqat muKhlis,

Hashmat

Hashmat Sahab aap ne dursut samjha hai. Mera ta'alluq Badaun se hi hai aur taleem AMU meN paayeee the. Ab Inshah Allah yahaN aap se roz mulaqat hogi jis ki mujhe bhi bahut khooshi hai.

Khoosh raheN.

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

kHUSH AAMADED MUHTARAM JAWAID BADAAYONI SAAHIB

Posted: Sun Jan 02, 2005 12:50 pm
by Abdullah Nazir
WELCOME

Re: kHUSH AAMADED MUHTARAM JAWAID BADAAYONI SAAHIB

Posted: Sun Jan 02, 2005 4:12 pm
by jawaid badauni
quote="WEBMASTER"]WELCOME[/quote]

Mohtram Nazir Sahab Tasleemat

Izzat afzayee ke line marhoone minnat hooN. Lagta hai Sara mujhe sahi jagah le aayee haiN. Ummid hai aap logoN ki sohbat me achcha waqt guzrega.

DoaoN meN shamil rakhiyega.

Khulooskar,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Posted: Sun Jan 02, 2005 8:58 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

MoHtarami Jawed B SaaHib,

aap ko is meHfil maiN ham , tah-e-dil se khush-aamadeed kehte haiN.
yaqeena" aap ki tashreef-aavarii se meHfil ki ruanqoN maiN izaafa hoga :D . bahut bahut shukriya

mokhliS : Zia Baloch

Posted: Mon Jan 03, 2005 3:53 am
by jawaid badauni
Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

MoHtarami Jawed B SaaHib,

aap ko is meHfil maiN ham , tah-e-dil se khush-aamadeed kehte haiN.
yaqeena" aap ki tashreef-aavarii se meHfil ki ruanqoN maiN izaafa hoga :D . bahut bahut shukriya

mokhliS : Zia Baloch
Shukriya Zia Sa'ab

Mujhe bhi yahaN aaaker bahut achcha mahsoos ho raha hai.

Aapka Mukhlis
Jawaid