Page 1 of 8

Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Fri Jun 03, 2005 3:27 pm
by syed bilal armaan
is martaba ka unwan hai"ISHQ ". is unwan par app apne pasandeeda ashae bhejein jis tarha app ne pichle unwan'oun par bheja. (-BILAL)

ishq laa mehduud jabh tak raahnumaa hota naheeN
zindagee se zindagee ka haq adaa hota naheeN
waqt aata hai aisa bhi sar-e-bazm-e-jamaal
saamne hote haiN vo aur saamna hota naheeN ...

Posted: Fri Jun 03, 2005 5:15 pm
by najma
yaad haiN ishq-o-mohabbat ke fasane ab tak
naqsh hay dil pe har-ik baat, tumheN kya ma,loom
najma

"ishq"

Posted: Fri Jun 03, 2005 5:43 pm
by Abdullah Nazir


daulat-e-dil bhii ga'yee jaan bhi hei muskil meiN

kyaa yehi ishq meiN inAam-e-wfaa houtaa hei.



Nazir.


Posted: Fri Jun 03, 2005 6:46 pm
by najma
har tamanna ko mila kar khaak meiN
ishq ki rak,khii hay ham ne aabroo
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sat Jun 04, 2005 11:11 am
by najma
aaj raahi jahaaN se daaGh hua
khana-e-ishq, be-charaaGh hua

Posted: Sun Jun 05, 2005 12:36 am
by najma
kya huey wo din, keh mehv-e-aarzoo thay husn-o-ishq
rabt tha donoN meiN, go rabt-e-shinasaaee na tha

Posted: Sun Jun 05, 2005 12:39 am
by Hashmat Usmani
yeh 'ishq nahiiN aasaaN, itnaa to samajh liije
ik aag kaa daryaa hai, aur Dooob ke jaanaa hai


Jigar Muradabadi

Posted: Sun Jun 05, 2005 12:42 am
by najma
hay ishq ka fasanah mera yahaaN zabaaN-zad
har shehr meiN huee hay ye daastaan zabaaN-zad
meer

Posted: Sun Jun 05, 2005 1:29 am
by Hashmat Usmani
'ishq kii maar baRii dardiilii, 'ishq meN jii na phaNsaanaa jii
sab kuchh karnaa, 'ishq na karnaa, 'ishq se jaan bachaanaa jii


Ganesh Bihari Tarz

Posted: Sun Jun 05, 2005 1:53 am
by najma
iahq ka ikhtitaamkarte haiN
dil ka qissah tamaam karte haiN
saba

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:03 am
by Hashmat Usmani
'ishq kii Thokar, maut kii hichkii, donoN kaa hai ek asar
ek kare ghar ghar rusvaaii, ek kare afsaanaa jii


Ganesh Bihari "Tarz"

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:08 am
by najma
qaazii hazar tarha ke jhagRoN meiN aasakaa
lekin na husn-o-ishq ka qissa chuka saka
soz

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:15 am
by Hashmat Usmani
'ishq kii ne'mat phir bhii, yaaro! har ne'mat par bhaarii hai
'ishq kii TiiseN deN Khudaa kii, 'ishq se kia ghabraana jii


Ganesh Bihari "Tarz"

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:17 am
by najma
ham jaante to ishq na karte kasoo ke saath
ly jaate dil ko khaak meiN is aarzoo ke saath
meer

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:25 am
by Hashmat Usmani
'ishq kii nazroN meN yaksaaN, Ka'ba kia, but_Khaana kia
'ishq meN duniyaa uqbaa kia hai, kia apnaa be_gaana jii


Ganesh Bihari "Tarz"