Page 1 of 2

maahaanah [JUNE] muntaKhib sha'ir...Jigar Muradabadi

Posted: Sun Jun 05, 2005 11:49 pm
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

is maah ke liye ham ne 'ishqiya shaa'irii ke shahn_shaah aur tarannum meN adaayegii ke baadshaah Jigar Muradabadi ko muntaKhib kiyaa hai. ummeed hai ki aap zaroor apnii rivaayaaat ko zinda rakhte huye baa-vujood apnii tamaam masroofiiyaat ke aap yahaaN is laRii meN mausoof ke umda o 'aalaa kalaam chaspaaN karte raheNge/raheNgii.

ham aapkaa peshgii shukria adaa karte haiN.

Hashmat

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:06 am
by Hashmat Usmani
Image Image Image
Image
Image

Jigar Moradabadi



Ali Sikandar Jigar Moradabadi belonged to a family of scholars and poets, one of his ancestors had been the tutor of the Mughal emperor Shahjehan, the builder of the Taj Mahal. Jigar was born in Benaras, but when he was six months old his father shifted permanently to Moradabad their hometown.
It was in Moradabad that Jigar received his primary education, Later, at 12 he went with his uncle, an Inspector of Police in Kurwi in Banda district. Here his uncle arranged for him to be tutored in Arabic and Persian. Later his uncle was transferred to Lucknow and Jigar continued his studies in Lucknow, where he received schooling till the IX th Standard. He was not very educated, he spoke some English and adequate Arabic and Persian. When he was fifteen he lost his father.
Jigar's poetic talent though was not dependant on his education but his background and environment.
His great grandfather, Hafiz Noor Mohammad and grandfather, Hafiz Maulavi Amjad Ali were poets. His father, Maulavi Ali Nazar was also a poet with a published Diwan. His uncle, Ali Zafar, with whom Jigar had spent almost his entire adolescence, was a poet too. Likewise, Jigar's father's elder brother, Maulavi Ali Akbar was a too and it he who took Jigar under his wing and started his training as a poet. Though some say that the poet Daagh was Jigar's first mentor it does not seem possible because Daagh died when Jigar was just fifteen, also Daagh spent the last fifteen years of his life in Hyderabad which is in The Deccan and faraway from UP where Jigar lived. Perhaps Jigar sent him some ghazals by post, but there is no evidence of his having visited Daagh.
Rasa Rampuri was the first to tutor Jigar properly in poetry. His talent was later polished by Asghar Godvi. Jigar sold glasses for a living and once by chance met Asghar Godvi, who too dealt in the same trade. Asghar Godvi besides selling spectacles was also a poet and a sufi, he polished not just Jigar's poetic taste but also influenced his spiritual ideas.

Jigar is considered to be one of the leading ghazal poets in Urdu. In his time the poets had become influenced by the experiments with poetry that Iqbal had tried, and hence had moved away from the ghazal. Jigar though refused to give up the ghazal though he was criticized for it heavily. There were many upheavals in his time, the World wars, India's struggle for Independence,etc. Poetry had taken new meanings, it was used to express the new social and political ideas that were taking root. Poets had now a social conscience, they did not write to merely entertain the readers. The ghazal was a reminder of the courts and a more self-indulgent and decadent way of life. Hence most of the poets of the time moved away from it and towards other poetic expressions. Jigar though stuck to the ghazal genre and in doing so added a lot to urdu poetry.
His earlier poetry was about the usual subjects of ghazals, women, wine, lost love, heartache, but later many events shook him and he wrote on more important and relevant subjects. The Bengal famine and the extreme violence hat gripped India during the partition with Pakistan were two such events that made a great impact on him, but he did not lose his belief in the ultimate victory of human values over all misfortunes or over the madness that had gripped the country.
His first two collections are Daagh-e-Jigar and Shola-e-Toor. His third Aatish-e-Gul, established his reputation as a noteworthy ghazal poet who could give expression to new sensibilities in the traditional form of ghazal. In the third collection he is a changed poet who is aware of the unpleasant and even terrible facts of life. He talks of them in his ghazals without damaging the aesthetic and literary values of the form of ghazal

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:15 am
by Hashmat Usmani
Jigar kii yeh Haseen Gahzal aapkii Khidnat meN pesh kar rahaa huN...ummeed hai aapko pasand aayegii...shukria.
Image

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:22 am
by najma
:-)

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:28 am
by Hashmat Usmani
salaam Hamsheerah saaHiba,

Khoob aur bahot hii Khoob inteKhaab rahaa aapkaa. ek ek she'r bar-malaa hai...


haaye! us shoKh bayaaN kii shoKh bayaanii nahiiN jaatii

aise hii pesh kartii rahiiye, shukria.

Hashmat

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:39 am
by najma
insha allaah
:-)

Posted: Wed Jun 08, 2005 11:08 am
by BeeKay
Bhaiyye,
Muradabad kay tou tum bhi ho!! Kiya hazrat-e-jigar say koi dhaaga (geniological) milta hai kaheeN ja kay?? :wink:

Jigar Muradabadi ka tarranum sunnay ki hamaari qismat hi na thee!!! :cry: per kiya un ka kalaam cassettes per mehfooz hai? :? aur kiya hi achchaa ho keh un ki kisi mushairay meN paRhi hui ghazal ki koi sauti file yehaaN upload ho jaye!!! :P

Posted: Wed Jun 08, 2005 10:31 pm
by najma
:idea:

Posted: Wed Jun 08, 2005 10:33 pm
by najma
:idea:

Posted: Fri Jun 10, 2005 1:24 pm
by najma
bohat khoob sara sahiba

aap ne apne aur hamare adabii sarmaey,JIGAR MURADABAADII ka kalaamshare karne ksaath saath unkii taareekh par bhii raushnii dalii.
sada khush rahiyye

:-)

HAMEIN MA,LOOM HAY ====JIGAR MURADABAADII

Posted: Sat Jun 11, 2005 6:55 pm
by najma
:idea:

shabaab-e-husn ka husn-e-shab dekh liya==jigar muradabaadii

Posted: Sat Jun 11, 2005 7:25 pm
by najma
:idea:

Posted: Sun Jun 12, 2005 3:01 am
by shahnaz zafar
ishq me.n laajavaab hai.n ham log
maahataab aafataab hai.n ham log


garche ahal-e-sharaab hai.n ham log
ye na samajho Kharaab hai.n ham log


shaam se aa gaye jo piine par
subah tak aafataab hai.n ham log


naaz karatii hai Khaanaa-viiraanii
aise Khaanaa-Kharaab hai.n ham log


tuu hamaaraa javaab hai tanahaa
aur teraa javaab hai.n ham log


Khuub ham jaanate hai.n qadr apanii
kitane naakaamayaab hai.n ham log


har haqiiqat se jo guzar jaaye.N
vo sadaaqat-m'aab hai.n ham log


jab milii aa.Nkh hosh kho baiThe
kitane haazir-javaab hai.n ham log

Posted: Sun Jun 12, 2005 8:44 am
by najma
shahnaz zafar wrote:ishq me.n laajavaab hai.n ham log
maahataab aafataab hai.n ham log


garche ahal-e-sharaab hai.n ham log
ye na samajho Kharaab hai.n ham log


shaam se aa gaye jo piine par
subah tak aafataab hai.n ham log


naaz karatii hai Khaanaa-viiraanii
aise Khaanaa-Kharaab hai.n ham log


tuu hamaaraa javaab hai tanahaa
aur teraa javaab hai.n ham log


Khuub ham jaanate hai.n qadr apanii
kitane naakaamayaab hai.n ham log


har haqiiqat se jo guzar jaaye.N
vo sadaaqat-m'aab hai.n ham log


jab milii aa.Nkh hosh kho baiThe
kitane haazir-javaab hai.n ham log


bohat shukriya shahnaz zafar sahiba!

aap ne bohat umdah kalam share kiya hay, hameiN bohat pasand aayyaa.


is haseen intikhaab kii daad yaqeenan aapka haq hay.

yaqeen hay keh isi tarah aap hamare saath saath raheNgii

sada khush rahiyee

:-)

Posted: Sun Jun 19, 2005 7:10 am
by Mahtab Qadr
bahut khoob , Jigar sahib ki shayeri waqai apne rang ki munfarid shayeri hai.
bay faida alam nahi , bekaar gham nahi
taufeeq de khuda to ye naimat bhi kam naih