Page 1 of 2

Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)

Posted: Tue Jun 07, 2005 5:31 pm
by jawaid badauni


Ghazal




MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro

Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro

Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro

Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------

Bahut bahut khoob

Posted: Tue Jun 07, 2005 6:20 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Jawaid Badayuni Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Guzarish 6 ke misreA per aapki ghazal laajavaab hei. Saare ke saare ashAaar bahut pasand aaye. Aap ne tou kamaal kardiyaa hei.

Aek baat zaroor hei keh aapke ashAar, mujhe apni TaraHi ghazal kehne meiN madadgaar caabit hounge. Waah waah bahut khoob.

Khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: Bahut bahut khoob

Posted: Tue Jun 07, 2005 8:13 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Jawaid Badayuni Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Guzarish 6 ke misreA per aapki ghazal laajavaab hei. Saare ke saare ashAaar bahut pasand aaye. Aap ne tou kamaal kardiyaa hei.

Aek baat zaroor hei keh aapke ashAar, mujhe apni TaraHi ghazal kehne meiN madadgaar caabit hounge. Waah waah bahut khoob.

Khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Mohtarmee wa maKhdoomi Nazir Sahab, Aadab

Aapki tahseen meN aapka Khuloos-e bekaraN shamil ho gaya hai. MaiN Ghazal ki behud.o.beshumar pazeeraaii per shaminda so ho gaya hooN. MaiN to aap se yeh ummid lagaye rahta hooN keh aap kuch ilmi aur funny ghaltiyon ki nashandihi farmayeNge, jo hamara aap per haq banta hai.

Gushishta dinoN dushmanoN kee tabeeyat kuch Kharab thee. Aaj aap ki post dekh kar yeh bhi itmenaan ho gaya keH ab Masha' Allah aap ke mizaaj baKhair haiN.

Khairtalab,

Jawaid Badauni
Muscat -Oman
Camp: Dubai (UAE)

Posted: Thu Jun 09, 2005 2:59 pm
by Taskeen
Jawaid Bhai.....ASAK,
Bahut hi umda ghazal itne mushkil kaafiye par Subhaan allah, Zabardast kaawish hai....Daad-e-tehseen wa mubarakbaad qabool farmaiye.

Talib-e-Dua

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)

Posted: Thu Jun 09, 2005 7:06 pm
by najma
jawaid badauni wrote:

Ghazal




MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro

Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro

Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro

Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------

bohat khoob jawaid bhaee

bohat umdahklam hay

dilii daad qubool kijiye

khair andesh

najma

Posted: Thu Jun 09, 2005 10:22 pm
by jawaid badauni
Taskeen wrote:Jawaid Bhai.....ASAK,
Bahut hi umda ghazal itne mushkil kaafiye par Subhaan allah, Zabardast kaawish hai....Daad-e-tehseen wa mubarakbaad qabool farmaiye.

Talib-e-Dua

To aap yahaN bhi maujood haiN Taskeen sahab. Masha' Allah. Mere tA'Aqqub men rahiye insha Allah faaide meN raheNge.

Bhaai ghazal ki pazeeraai ke liye bahut bahut shukriya.

Khoosh raheN,

Mukhlis, Jawaid

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)

Posted: Thu Jun 09, 2005 10:24 pm
by jawaid badauni
najma wrote:
jawaid badauni wrote:

Ghazal




MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro

Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro

Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro

Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------

bohat khoob jawaid bhaee

bohat umdahklam hay

dilii daad qubool kijiye

khair andesh

najma

Bahut bahut shukriya Bahin Najma Ansaar Sahibah. Aapki daad.o.tahseen se meri hausla afzaaii hoi hai.



Mukhlis, Jawaid Badauni

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)

Posted: Sun Jun 12, 2005 9:08 pm
by Anmol
jawaid badauni wrote: MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro

Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------
Waah waah waah. Kya khoob rawaaN dawaaN ghazal irshaad farmayi hay Jawed Sahib aap ne. Girah bhi Khoob hay, aur quoted ashaar bhi bohot pasand aaye, aur maqta ka to jawab nahiN. :P

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)

Posted: Mon Jun 13, 2005 3:44 am
by jawaid badauni
Anmol wrote:
jawaid badauni wrote: MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro

Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------
Waah waah waah. Kya khoob rawaaN dawaaN ghazal irshaad farmayi hay Jawed Sahib aap ne. Girah bhi Khoob hay, aur quoted ashaar bhi bohot pasand aaye, aur maqta ka to jawab nahiN. :P

Azeeza Anmol SahibaH

Tasleemaat

Ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ka mamnoon hooN. Himmat afzaaii ke liye ek baar phir shukriya.

Mukhlis
Jawaid

Posted: Mon Jun 13, 2005 4:17 pm
by Ameen Asim
Assalam o Alaikum Jawaid Badauni sahib

aap ki tareeh Ghazal parri , bahot achchi ghazal kahi hay aap nay, mairi jaanib say dili daad qabool kijiyay

Wassalam
Ameen Asim

Posted: Mon Jun 13, 2005 4:55 pm
by jawaid badauni
Ameen Asim wrote:Assalam o Alaikum Jawaid Badauni sahib

aap ki tareeh Ghazal parri , bahot achchi ghazal kahi hay aap nay, mairi jaanib say dili daad qabool kijiyay

Wassalam
Ameen Asim
Ameen Asim Sb
WAAS

Ghazal ki pazeeraaii ke liye bahud mamnooN hooN aap ka.

Jawaid

Posted: Sun Jun 19, 2005 7:20 am
by Mahtab Qadr
ustaad e sukhan jawaid badauni sahib . bahut khoob
achi ghazal irshad farmai hai , khas taur par ye sher,

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro

Posted: Sun Jun 19, 2005 8:26 am
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:ustaad e sukhan jawaid badauni sahib . bahut khoob
achi ghazal irshad farmai hai , khas taur par ye sher,

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
AshAAr ki pazeeraai ke liye marhooNe minnat hooN Mahtaab Qadr Sahab. MaiN ne yeh ghazal sub se pahle bhej dee thee shayad aap ne aaj hi dekhi hai.

Aap ki tarahee ghazal ka intezaar hai.

Mukhlis
Jawaid

Posted: Sun Jun 19, 2005 11:06 am
by Mahtab Qadr
Janab e aali ham to hazal bhi sahi nahi kahsakte , misra e tarah to hamare bas ki baat kahaN huzoor, aap ke kalam se istefaada karleiN yahi ghaneemat hai.
niazmand
mahtab qadr

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)

Posted: Sun Jun 19, 2005 5:38 pm
by tahira Masood
jawaid badauni wrote:

Ghazal




[colore=darkblue]MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”[/colore][/b]



bohaaaaaaat khoobsurat giraah lagaae hai Wallah Mashallah

Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro


waaaaaah zabardast!!!!

Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro

:rose achaa hai

TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro

:rose :rose

Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro

:shock: :shock: =D> =D> =D>

Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro


areal nice one indeed

Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro

kayaa Haqeeqat bayaan fermaaee hai janaab merHabaa!!!

Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro

:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

aik murassah gahazal inaayat fermaane per dilee shukeriyah.

wassalam

-----------------------------------------