Page 1 of 1

Karo mujh pe itne sitam dosto

Posted: Wed Jun 08, 2005 12:29 pm
by Anmol
Ghazal

1. Karo mujh pe itne sitam dosto!
K saanseN bhi paR jayeN kum dosto!

2. Jo har'soo hoN ranj-o-alam dosto!
KahaN ja ke chup jayeN hum dosto!

3. MaiN raah-e-wafa per chalooNgi sadaa
RukeNge na mere qadam dosto!

4. Abhi tak judayi ka Ghum hay mujhe
Abhi tak ye aankheN heN num dosto!

5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !

6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN
Abhi se na chheeno qalam dosto!

:Anmol:

Posted: Wed Jun 08, 2005 12:45 pm
by BeeKay
Arayyyyyyyyyy Waaaaah wah wah!!! :rose :rose :rose :rose :rose
Kiya kehnay haiN!!! =D> =D> =D>
Bahut khoob!!!

(tum tou waaqayiiiiiiiiiiiiiiiii Shairah ban gayi ho!!! :wink: )

Posted: Wed Jun 08, 2005 1:34 pm
by waqar_masood
wah

wah

wah

anmool ji buhut khoob, kia matla , kia hi khoob ashaar aur kia hi khubsoorat maqta hay .. daad hazir hay ..kia hi khubsoorat ghazal kahi aap nay ,

waqar masood

Re: Karo mujh pe itne sitam dosto

Posted: Wed Jun 08, 2005 2:49 pm
by najma
Anmol wrote:Ghazal

1. Karo mujh pe itne sitam dosto!
K saanseN bhi paR jayeN kum dosto!

2. Jo har'soo hoN ranj-o-alam dosto!
KahaN ja ke chup jayeN hum dosto!

3. MaiN raah-e-wafa per chalooNgi sadaa
RukeNge na mere qadam dosto!

4. Abhi tak judayi ka Ghum hay mujhe
Abhi tak ye aankheN heN num dosto!

5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !

6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN
Abhi se na chheeno qalam dosto!

:Anmol:

waah waah anmol!


bohat khoooooob.


itna umdah kalam hay, baar baar paRhaa aur har baar ik naya lutf paya.

5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !


wah kya baat hay
bohat hi khoob
bhar-pur daad qubool karo

aur

sada khushraho

:-)

Bahut khoob waah waah

Posted: Wed Jun 08, 2005 7:26 pm
by Abdullah Nazir

A N M O L

Purkhuloos Tasleemaat, :-)


Waah Anmol, kyaa kehne, aaki yeh ghazal beHad pasand aayiee. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN aur paRhne waale ke dil per gehraa acar chouRne waale heiN. KiyuN nahiN, aek do din kii riyaazat thouri hii hei. Saalhaa saal kii mashq-e-sukhan ne aapko is qaabil banaayaa hei.

Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Thu Jun 09, 2005 12:34 am
by Anmol
BeeKay wrote:Arayyyyyyyyyy Waaaaah wah wah!!! :rose :rose :rose :rose :rose
Kiya kehnay haiN!!! =D> =D> =D>
Bahut khoob!!!

(tum tou waaqayiiiiiiiiiiiiiiiii Shairah ban gayi ho!!! :wink: )
:shock: To aap mujhe ab tak kya samajh rahay they?

Wese baqol-e-shayir,

Abhi to nikharna hay fann ko bohot
Abhi aur Khoon-e-jigar dosto! ----> (Zia Baloch)


:-) Thanks BK, aap ki jaanib se tareefi sanad paa kar Khushi hui.

Posted: Thu Jun 09, 2005 12:36 am
by Anmol
waqar_masood wrote:wah

wah

wah

anmool ji buhut khoob, kia matla , kia hi khoob ashaar aur kia hi khubsoorat maqta hay .. daad hazir hay ..kia hi khubsoorat ghazal kahi aap nay ,

waqar masood
Waqar Sahib, adaab!

Aap ki besaakhta daad se bohot hosla'afzayi hui. :grin: Mere adna se kalaam ko is qadar saraahne ka behad shukria.

:-)

Re: Karo mujh pe itne sitam dosto

Posted: Thu Jun 09, 2005 12:38 am
by Anmol
najma wrote:
waah waah anmol!


bohat khoooooob.


itna umdah kalam hay, baar baar paRhaa aur har baar ik naya lutf paya.

5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !


wah kya baat hay
bohat hi khoob
bhar-pur daad qubool karo

aur

sada khushraho

:-)
Dear Najma Ji, adaab!

Ghazal per aap ki is qadar waah waah dekh kar dil ko yaqeen ho chala hay k ghazal waqai kisi laaiq hogi tabhi aap sab ko pasand aayi hay. :wink:

Pazeerayi k liye behad mamnoon huN, shukria. :-)

Re: Bahut khoob waah waah

Posted: Thu Jun 09, 2005 12:42 am
by Anmol
WEBMASTER wrote:
A N M O L

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Waah Anmol, kyaa kehne, aaki yeh ghazal beHad pasand aayiee. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN aur paRhne waale ke dil per gehraa acar chouRne waale heiN. KiyuN nahiN, aek do din kii riyaazat thouri hii hei. Saalhaa saal kii mashq-e-sukhan ne aapko is qaabil banaayaa hei.

Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Mohtaram Nazir Sahib, adaab!

:P Aap jese mohtaram ustaad se shabbashi paa kar bohot Khushi mehsoos ho rahi hay. Aaj jis maqaam per huN, us tak aap asatiza ne hi to pohnchaya hay.

Yunhi hosla'afzayi farmate rahiyye, shukria. :-)

Posted: Fri Jun 10, 2005 3:57 pm
by BeeKay
To aap mujhe ab tak kya samajh rahay they?
"ghazal pehlay aisee kahii tou na thii,
yeh kis pay huwa hai sitam, dosto!!!?"
:wink: (beekay)

Posted: Sat Jun 11, 2005 7:59 pm
by zmufti
anmol jee
Aadaab
buhat khoob
dair se hi sahi
meri janib se daad qabool kijye
tamam sher buhat khoob hain
take care
zarqa

Posted: Sun Jun 12, 2005 8:42 pm
by Anmol
sara_j wrote: dear anmol,

salaam.

waah bohat khoob ghazal kahi ho,

6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN
Abhi se na chheeno qalam dosto!

waah awesome! bohat khoob!

aek dilkush kavish per dhairon daad aur mubarakbaad qubool karo.

tumhari is ghazal se mutassir hokar bohatse
sukhanwar ne bhi taba azmaii ki hai,zara ye link bhi dekhna meri aek achi saheli ni bhi koshish ki hai:

http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=1242

:grin: sara.
Thanks Sara, tumhari daad se behad Khushi hui, :grin: tumhari dost ki ghazal bhi dekhi, Khoob hay.

Posted: Sun Jun 12, 2005 8:43 pm
by Anmol
zmufti wrote:anmol jee
Aadaab
buhat khoob
dair se hi sahi
meri janib se daad qabool kijye
tamam sher buhat khoob hain
take care
zarqa
Der aayad durust aayad.

Zarqa ji aap ki daad sar aankhoN per. Meri jaanib se pyaar bhara shukria qubool kijiye. :-)