Page 1 of 1

DHALTAA LAMHAA==BY KHAWAR QURESHII

Posted: Fri Jun 10, 2005 9:23 pm
by najma
:idea:

Posted: Sat Jun 11, 2005 1:49 am
by najma
meri pasand ko pasand farmane ka shukriya saraa j sahiba

khush rahiyye

:-)

Posted: Sat Jun 11, 2005 9:50 pm
by Ameen Asim
Assalam o Alaikum

Mohtarama Najma Sahiba

aap nay baot achchi nazm ka intikhaab kia, khoob soorat nazm hay, kia yeh nazm North Nazim Abad, Karachi Walay hi Khawar Quraishi marhoom ki hay, ya koi aur heiN ye shair? pls wazaahat kijiyay, aap ka shukr guzaar hooN ga,

kiooN k mairay aik mohsin Khawar Quraishi Karachi kay thay,, un ka naam parr kar un ki yaad aa gai, Allah un ko jawaar-e-rehmat meiN jaga day (Ameen)
Wassalam
Ameen Asim

Posted: Sat Jun 11, 2005 10:18 pm
by najma
Ameen Asim wrote:Assalam o Alaikum

Mohtarama Najma Sahiba

aap nay baot achchi nazm ka intikhaab kia, khoob soorat nazm hay, kia yeh nazm North Nazim Abad, Karachi Walay hi Khawar Quraishi marhoom ki hay, ya koi aur heiN ye shair? pls wazaahat kijiyay, aap ka shukr guzaar hooN ga,

kiooN k mairay aik mohsin Khawar Quraishi Karachi kay thay,, un ka naam parr kar un ki yaad aa gai, Allah un ko jawaar-e-rehmat meiN jaga day (Ameen)
Wassalam
Ameen Asim


Janab Ameen Asim sahib!

aap yaqeenan durust haiN.ham unko zaati taur pe to naheeN jante, lekin unki hamsheerah hamarii bohat achi dost haiN.unhi ki ma,rifat hamare paas marhoom ka majmooa'' dwwear-e-shab '' hay, jo ''bazm-e-qaumi adabiyaat(baqaa) '' ke zer-e-ehtimaam shaaya huee hay.
bohat mi,aarii kalam hay marhoom ka.itna aa,laa kalam hay keh ham unhii ke ziyada-tar ash,aar bait bazii meiN bhi dete haiN aur unka naam bhi zaroor likhte haiN.
itne azeem sho,raa ko zinda rakhna hamara farz hay.hamarii dua hay keh Allah ta,aalaa un ko jawaar-e-rehmat meiN jaga day (Ameen)

pasandeedgii ka bohat shukriya

:-)