Page 1 of 1

Soch banti hai to parhti hai amal ki bunyad taza ghazal

Posted: Fri Jun 10, 2005 10:34 pm
by Mahtab Qadr
GHAZAL Mahtab Qadr

Soch banti hai to parhti hai amal ki bunyad
Aaj ki fikr o nazar hai mere Kal ki bunyad

Amn ham sab ki zaroorat hai, isaay aam karo
Muttahid ho, ke mitay jang o jadal ki bunyad

sazishoN ko na hawa do ke larhati haiN bahut
mat rakho aur kisee jang e jamal ki bunyad

feel good karte huve dha gaya manzar sara
hal gai singhal o adwani atal ki bunyad

tum bhi zinda raho, ham shah jahaN bhi to nahi
kion rakheiN aur kisee taj mahal ki bunyad

Jo ghazal sabko pasand aati hai aksar mahtab
Vo ghazal rakhti hai ek aur ghazal ki bunyad


Posted: Sat Jun 11, 2005 7:34 am
by Mahtab Qadr
sara ji shukria ,

Posted: Sat Jun 11, 2005 12:10 pm
by najma
bohat khoob mahtab qadr sahib

ap ka kalaam hamesha ki tarah pasand aayya.

daad qubool kijiye

:-)

Bahut khoob

Posted: Sat Jun 11, 2005 5:44 pm
by Abdullah Nazir

Janab Mahtab Qadr Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Bahut khoob waah waah. Naye andaaz kii ghazal hei jis meiN Atal aur Advaani bhii shaamil heiN.

Khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sat Jun 11, 2005 8:24 pm
by irfan abid
Mahtab Sb, aadaab!

aap kii Ghazal pur.lutf hai aur pasand aayii. daad haazir hai!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sun Jun 12, 2005 12:02 pm
by Mahtab Qadr
Najma Sis Hamesha ki tarah daad o tahseen ke lye behad mashkoor hoN. shukria
Mahtab Qadr