Page 1 of 1

intezaar unka,intezaar e ghazal

Posted: Sat Jun 11, 2005 8:40 am
by Mahtab Qadr
intezaar unka,intezaar e ghazal
raah takna hai,rahguzaar e ghazal

jab se baad e naseem e deed mili
dil bhi apna huva hai daar e ghazal

misl e mahtaab unki khaamooshi
guftagu unki aabshaar e ghazal

mujh maiN taab e sukhan kahaN itni
maiN huva kitna sharmsaar e ghazal

vo saraapa ghazal sahi par, hai
apne hathoN mai iqtedaar e ghazal

shukria
Mahtab Qadr

Posted: Sat Jun 11, 2005 12:13 pm
by najma
waaah

vo saraapa ghazal sahi par, hai
apne hathoN mai iqtedaar e ghazal


bohat khoob janab mahtab qadr sahib


daad qubool kijiye

bohat khoob

:-)

Bahut khoob

Posted: Sat Jun 11, 2005 5:50 pm
by Abdullah Nazir

Janab Mahtaab Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

waah aap ne tou kamal hii kardiyaa. Bahut jald hii aap ne ghazal mukammal karli aur bhii muraSSaA ashAar ke saath. Saare ke saare ashAar bahut pasand aaye.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool famraayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


shukria

Posted: Sun Jun 12, 2005 6:29 am
by Mahtab Qadr
Inayat hai Najma sahiba aap ki ,daad hausle barhaati hai. shukria
bahut bahut
Mahtab Qadr
najma wrote:waaah

vo saraapa ghazal sahi par, hai
apne hathoN mai iqtedaar e ghazal


bohat khoob janab mahtab qadr sahib


daad qubool kijiye

bohat khoob

:-)

Re: Bahut khoob

Posted: Sun Jun 12, 2005 6:32 am
by Mahtab Qadr
Abdullah bhia Nawazish ke aapne apne kamaal e shafqat se in chand bemaya misroNko sharaf e qubooliat baksha.
shukria
Mahtab Qadr
WEBMASTER wrote:
Janab Mahtaab Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

waah aap ne tou kamal hii kardiyaa. Bahut jald hii aap ne ghazal mukammal karli aur bhii muraSSaA ashAar ke saath. Saare ke saare ashAar bahut pasand aaye.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool famraayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: shukria

Posted: Sun Jun 12, 2005 9:04 am
by najma
Mahtab Qadr wrote:Inayat hai Najma sahiba aap ki ,daad hausle barhaati hai. shukria
bahut bahut
Mahtab Qadr
najma wrote:waaah

vo saraapa ghazal sahi par, hai
apne hathoN mai iqtedaar e ghazal


bohat khoob janab mahtab qadr sahib


daad qubool kijiye

bohat khoob

:-)

mahtabqadr sahib!

aadaab

aap ne durust farmaya.shair ki hausla afzaee karni hi chahiye.
:-)
najma

Posted: Mon Jun 13, 2005 9:59 am
by Mahtab Qadr
shukria Mukarrar :)

Posted: Mon Jun 20, 2005 6:43 am
by Mahtab Qadr
sara ji

misl e mahtaab unki khamooshi
guftagu unki aabshaar e ghazal
agar isay maqta tasawwur karlia jaaye to kaisa rahega :)

shukria
Mahtab Qadr

Posted: Wed Jun 22, 2005 8:25 am
by Mahtab Qadr
ji sahi bilkul sahi kaha aapne ,maqta ghazal ka akhri sher hona chahiye kioNke maqta ke maane khatm karne wala ya aakhri ya muqata karne waala hi hai. laikin aajkal log aksar shora maqta ko nazarandaz kardete haiN yani sare se hota hi nahi maqta yani takhallus wala sher.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Wed Jun 22, 2005 8:28 am
by Mahtab Qadr
aur haN maqta mai Mahtab ke m ko capitalize karne wali baat ,
dar asl takhallus ka zumaana istemal maqte ko ziada khoobsurat bana dete hai. islye uski zaroorat nahi maslan agar aap apni ghazal mai yoN kahieN
"ham se saara jahaan dekh lia"

saara aap ka takhallus bhi hai aur yahaN maanwi aitebar se bhi istemal ho gaya. theek hai na!
SHUKRIA
Mahtab Qadr