Page 1 of 1
Tarhi Ghazal tum se shayed koi sawaal na ho
Posted: Sun Jan 02, 2005 2:41 pm
by Mahtab Qadr
chahe chahat pari jamaal naho
phir bhi uski koi misaal naho
sab ko hai tootna bikharjaaana
koi shae hai jisay zawaal na ho?
vo khyaaloN mai kab se haiN meray
unko shayed yahi khyaal na ho
un se milte raho magar itnaa
door hoN to bahut malaal na ho
mahwe hairat ho kisllye mahtab
mehrbaani bhi unki chaal na ho
Mahtab Qadr
Re: Tarhi Ghazal tum se shayed koi sawaal na ho
Posted: Mon Jan 03, 2005 4:49 pm
by Shummu
Mahtab Qadr wrote:
sab ko hai tootna bikharjaaana
koi shae hai jisay zawaal na ho?
vo khyaaloN mai kab se haiN meray
unko shayed yahi khyaal na ho
un se milte raho magar itnaa
door ho to bahut malaal na ho
wah..bahut khoob Sarfaraz jee..ye dekh kar bahut accha lag raha hai ke aajkal khoob aamad ho rahi hai...well done and keep it up :D
Shumaila
tarmeem
Posted: Tue Jan 04, 2005 4:10 pm
by Mahtab Qadr
shukria Shummu ji aur Hashmat sahib ..aapki sitayesh yaqeenan mere lye qabil e qadr hai. aakhri sher ko tarmeem kardia hai maine balke maqta banadia hai.
shukria
MQ
Bahut achchi ghazal kahii hei aap ne
Posted: Sat Jan 08, 2005 6:58 pm
by Abdullah Nazir
Muhtarami
Mehtaab Qadr Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Aapki TaraHi ghazal be had pasand aayi. Izhaar-e-raaye meiN takheer ke liye maAzirat-khwaah hooN jiske asbaab aapko maAloom heiN.
Sirf aik sheAr meiN mujhe ruknaa paRaa wo yeh hei:
"un se milte raho magar itnaa
door ho to bahut malaal na ho "
Un se milte raho magar itnaa (is sharT meiN zameer un kaa isteAmaal houaa doosre misreA meiN "door ho" kii bajaye "door houN" ka taqaazah karrahaa hei. Housaktaa hei ke aap ke zehn meiN koiee mukhtalif baat hou. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: Tarhi Ghazal tum se shayed koi sawaal na ho
Posted: Sun Jan 09, 2005 4:24 pm
by Star Mind
Mahtab Qadr wrote:chahe chahat pari jamaal naho
phir bhi uski koi misaal naho
sab ko hai tootna bikharjaaana
koi shae hai jisay zawaal na ho?
vo khyaaloN mai kab se haiN meray
unko shayed yahi khyaal na ho
un se milte raho magar itnaa
door ho to bahut malaal na ho
mahwe hairat ho kisllye mahtab
mehrbaani bhi unki chaal na ho
Mahtab Qadr
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami M.Q SaaHib,
janaab aap ki ye kaavish mujhe nihaayat hi pasand aayee :D .
tamaam asha'aar hi dil-kash haiN, maiN tu jhoomta reh gayaa .
meri jaanib se DheeroN daad qabool kejeye. shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Posted: Sun Jan 09, 2005 8:11 pm
by jawaid badauni
Bahut haseen ghazal pesh farmayee hai aap ne Mahtab Sahab. Meri janib se dili mubarkbaad aur beshumar daad.O.tahseen qubool farmaiyega.
Mukhlis,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman