Page 1 of 44
PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sun Jun 12, 2005 9:34 pm
by najma
sathiyo!
aadaab
yahaan aap apni pasand k ash,aar ham se share kijiye. aur shair ka naam ma,loom ho to saath zaroor likhiye ga.
shukriya
Gham ke mujrim, khushii ke mujrim haiN
log ab zindagii ke mujrim haiN
saGhar siddiqui
Re: PASANDEEDA AS,AAR
Posted: Mon Jun 13, 2005 12:39 am
by najma
sara_j wrote:najma wrote:sathiyo!
aadaab
yahaan aap apni pasand k ash,aar ham se share kijiye. aur shair ka naam ma,loom ho to saath zaroor likhiye ga.
shukriya
Gham ke mujrim, khushii ke mujrim haiN
log ab zindagii ke mujrim haiN
shukriya sara j
acha laga k apkoye thread pasand aayaa
she,r bhi bohat acha laga
zindagii ik maiy hay, jisko pee ke maiN barbaad hooN
aatish-e-dunyaa meiN maiN sho,la-numaa aabaad hooN
saGhar siddiqui
waah najma ji ye tou bohat acha silsila shuru kiye hain aap.
leejiye meri pasand ka pehla shair:
yeh karb ke ta'abe zabt nahi shayed hai daami'e aakhir ka makie-n
yeh dard ki shiddat ka aalam araam se pehle aata hai
mujhe shayar ka naam yaad nahi.
Posted: Mon Jun 13, 2005 1:06 am
by najma
sara_j wrote:abke baras aye fasle baharaan tuu jo humare sath hui
zakhme wafa se khushbu mehki ashkon ki barsaat hui
(najma ji darasl ye ahsaar meri diary se likh rahi hoon jahan maine shayr ke naam nahi likhi )
no prob
khizaaNiltifaat us pe kartii bajaa tha
ye Ghuncha chaman meiN abhii waa hua tha
meer
Posted: Mon Jun 13, 2005 3:11 am
by shahnaz zafar
Lijiye mera pasandeeda shair
Nahee tera nasheman qasrey sultani kee gumbad per
to shaheen hai baseyra kar paharon ke chattano per
Iqbal
Posted: Mon Jun 13, 2005 9:13 am
by najma
bohatkhoob shahnaz sahiba
jafa-o-jaur ki dunya sanwaar dii ham ne
zahay-naseeb keh hans kar guzaar dii ham ne
saGhar
Posted: Tue Jun 14, 2005 3:43 am
by shahnaz zafar
jo mai.n sar-ba-sajdaa kabhii huaa to zamii.n se aane lagii sadaa
teraa dil to hai sanam-aashanaaa tujhe kyaa milegaa namaaz me.n
Posted: Tue Jun 14, 2005 12:08 pm
by najma
nikle sadaf kii aaNkh se motii maray huwe
phooTay haiN chaandnii meiN shiguufe jalay huwe
saGhar
Posted: Tue Jun 14, 2005 5:01 pm
by shahnaz zafar
zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N
Posted: Tue Jun 14, 2005 7:11 pm
by najma
zindagii ik maiy hay, jisko pee k maiN barbaad hooN
aatish-e-dunyaa meiN maiN sho,la-numaa aabaad hooN
Posted: Wed Jun 15, 2005 11:29 am
by najma
wo afsanah, jise anjaam tak lana na ho mumkin
use ik khoobsoorat moR de kar choRna acha
Posted: Thu Jun 16, 2005 8:21 am
by najma
husn be-qaid sahii ishq bhi mehdood nahi
mujhko paayenge jahaan tak voh numayaan hounge
Posted: Thu Jun 16, 2005 5:37 pm
by najma
samjhii hay jisko saya-e-ummeed, aql-e-khaam
saGhar ka hay khayal, baRee tez dhoop hay
saGhar
Posted: Thu Jun 16, 2005 11:06 pm
by shahnaz zafar
Hamarey sar kii phati topiyon per tanz na kar
hamarey taj ajaib gharon mai rakhey hain
Posted: Thu Jun 16, 2005 11:55 pm
by najma
rah-bar samajh liya hay tujhe, gard-e-karawaaN
chalte raheNgay ham bhi, jahaaN tak Ghubaar hay
najma
"---"
Posted: Fri Jun 17, 2005 7:17 am
by Abdullah Nazir
"zaraa unki shoukhi tou dekhiye, liye zulf-e-khamshudah haath meiN
mire peeche aaye dabe dabe, mujhe saanp kehke Daraadiyaa."
===